SHAWORDS

ik qadam uTh gayaa ravaani mein — Aslam Rashid

HomeAslam RashidGhazal
"ik qadam uTh gayaa ravaani mein dard phir aa gayaa kahaani mein koi to chaand ko sikhaataa hai Dubnaa roz roz paani mein sirf tu ne nigaah pheri hai moD saa aa gayaa kahaani mein us ki aankhon mein Duub kar dekhaa tishnagi baDh gai hai paani mein kuchh diye raat-bhar rahe raushan ek jugnu ki mezbaani mein main akelaa khaDaa thaa sach ke saath mujh ko marnaa hi thaa kahaani mein"
Urdu

اک قدم اٹھ گیا روانی میں درد پھر آ گیا کہانی میں کوئی تو چاند کو سکھاتا ہے ڈوبنا روز روز پانی میں صرف تو نے نگاہ پھیری ہے موڑ سا آ گیا کہانی میں اس کی آنکھوں میں ڈوب کر دیکھا تشنگی بڑھ گئی ہے پانی میں کچھ دیئے رات بھر رہے روشن ایک جگنو کی میزبانی میں میں اکیلا کھڑا تھا سچ کے ساتھ مجھ کو مرنا ہی تھا کہانی میں

Hindi

इक क़दम उठ गया रवानी में दर्द फिर आ गया कहानी में कोई तो चाँद को सिखाता है डूबना रोज़ रोज़ पानी में सिर्फ़ तू ने निगाह फेरी है मोड़ सा आ गया कहानी में उस की आँखों में डूब कर देखा तिश्नगी बढ़ गई है पानी में कुछ दिए रात-भर रहे रौशन एक जुगनू की मेज़बानी में मैं अकेला खड़ा था सच के साथ मुझ को मरना ही था कहानी में

ik qadam uTh gayā ravānī meñ
Aslam Rashid
Aslam Rashid
Aslam Rashid
poet35 quotes

More by Aslam Rashid

View all →

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud