"vaa-e-naadaani ye hasrat thi ki hotaa dar khulaa ham qafas raaz-e-asiri kyaa kahein kyunkar khulaa fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhaDkon ne haae ab chhuri sayyaad ne li ab qafas kaa dar khulaa allaah allaah ik duaa-e-marg ke do do asar vaan khulaa baab-e-ijaabat yaan qafas kaa dar khulaa uf is aazaadi-e-be-hangaam ki majburiyaan main qafas ke paas yuun baiThaa hi rahtaa par khulaa ujlat-e-parvaaz jab milne bhi de raah-e-gurez yuun to khulne ko qafas kaa dar khulaa aksar khulaa band hai baab-e-qafas ho sar to paTke jaaiye ham ne dekhaa hai qafas ki tiliyon mein dar khulaa kam to kyaa sayyaad be-taabi sivaa ho jaaegi tu ne naahaq tiliyon mein rakh diyaa khanjar khulaa aasmaan garam-e-talaafi chaahiye kaisaa qafas bijliyon ke ik ishaare mein qafas kaa dar khulaa likh chuke ham jaa chukaa khat gar yahi haalat rahi haath mein aayaa qalam aur shauq kaa daftar khulaa dil mein zakhm ashkon mein khuun surat ba-bin-aalam-mapras vo nigah uf vo mizha naavak chhupaa nashtar khulaa dam-ba-khud sakte kaa aalam murdani chhaai hui rang meri zindagi kaa meri mayyat par khulaa dil mein teraa dhyaan ik muddat rahaa begaana-vaar khulte hi khulte khulaa aur kyaa hi sharmaa kar khulaa dekhiye kyaa gul khilaati hai bahaar ab ke baras khvaab mein 'faani' ne dekhaa hai qafas kaa dar khulaa"
khudaa asar se bachaae is aastaane ko — Fani Badayuni
"khudaa asar se bachaae is aastaane ko du'aa chali hai miri qismat aazmaane ko na puchhiye ki mohabbat mein mujh pe kyaa guzri na chheDiye mire bhule hue fasaane ko ye sho'bade ye karishme kise mayassar the tiri nigaah ne sikhlaa diye zamaane ko chaman mein barq ne jhaankaa ki ham laraz uTThe ab is se aag hi lag jaae aashiyaane ko khayaal-e-yaar bhi khoyaa huaa saa rahtaa hai ab un ki yaad bhi aati hai bhuul jaane ko nigaah-e-lutf na farmaa nigaah-e-naaz ke baa'd jigar mein aag lagaa kar na aa bujhaane ko zamaana bar-sar-e-aazaar thaa magar 'faani' taDap ke ham ne bhi taDpaa diyaa zamaane ko"
خدا اثر سے بچائے اس آستانے کو دعا چلی ہے مری قسمت آزمانے کو نہ پوچھئے کہ محبت میں مجھ پہ کیا گزری نہ چھیڑئیے مرے بھولے ہوئے فسانے کو یہ شعبدے یہ کرشمے کسے میسر تھے تری نگاہ نے سکھلا دیئے زمانے کو چمن میں برق نے جھانکا کہ ہم لرز اٹھے اب اس سے آگ ہی لگ جائے آشیانے کو خیال یار بھی کھویا ہوا سا رہتا ہے اب ان کی یاد بھی آتی ہے بھول جانے کو نگاہ لطف نہ فرما نگاہ ناز کے بعد جگر میں آگ لگا کر نہ آ بجھانے کو زمانہ بر سر آزار تھا مگر فانیؔ تڑپ کے ہم نے بھی تڑپا دیا زمانے کو
ख़ुदा असर से बचाए इस आस्ताने को दु'आ चली है मिरी क़िस्मत आज़माने को न पूछिए कि मोहब्बत में मुझ पे क्या गुज़री न छेड़िए मिरे भूले हुए फ़साने को ये शो'बदे ये करिश्मे किसे मयस्सर थे तिरी निगाह ने सिखला दिए ज़माने को चमन में बर्क़ ने झाँका कि हम लरज़ उठ्ठे अब इस से आग ही लग जाए आशियाने को ख़याल-ए-यार भी खोया हुआ सा रहता है अब उन की याद भी आती है भूल जाने को निगाह-ए-लुत्फ़ न फ़रमा निगाह-ए-नाज़ के बा'द जिगर में आग लगा कर न आ बुझाने को ज़माना बर-सर-ए-आज़ार था मगर 'फ़ानी' तड़प के हम ने भी तड़पा दिया ज़माने को

More by Fani Badayuni
View all →"mizaaj-e-dahr mein un kaa ishaara paae jaa jo ho sake to bahar-haal muskuraae jaa bahaar-e-sad-chamanistaan-e-aarzu ban kar mire khayaal ki ranginiyon mein aae jaa khirad-navaaz nigaahon ki aaD mein rah kar fazaa-e-aalam-e-divaangi pe chhaae jaa pilaae jaa ki abhi hosh-e-be-khudi hai mujhe pilaae jaa mujhe saaqi abhi pilaae jaa dil o jigar pe guzar jaaegi jo guzregi tiri nazar se jo fitne uThein uThaae jaa zaraa Thahr ki ab anjaam-e-soz-e-gham hai qarib charaagh-e-zist bhaDakne ko hai bujhaae jaa sukut-e-mayyat-e-'faani' hai ik fasaana-e-shauq lab-e-khamosh se har muddaaa ko paae jaa"
"ziist kaa haasil banaayaa dil jo goyaa kuchh na thaa gham ne dil ko dil banaayaa varna kyaa thaa kuchh na thaa vo to mere saamne the dekhne ki der thi main ne aankhein band kar liin varna pardaa kuchh na thaa yaa alam-koshi rahi yaa khud-faraamoshi rahi dil kisi din dil na thaa yaa dard thaa yaa kuchh na thaa kuchh samajh kar khud hi ham ne jaan de di dil ke saath un ki nazron kaa abhi aisaa taqaazaa kuchh na thaa aap kaa divaana thaa ye iddaaa baatil sahi 'faani'-e-divaana divaana bhi thaa yaa kuchh na thaa"
"kuchh kam to huaa ranj-e-faraavaan-e-tamannaa aaghaaz-e-junun go nahin paayaan-e-tamannaa phir yaas ne rakkhaa hai qadam khaana-e-dil mein yaani hai ab allaah nigahbaan-e-tamannaa go chaak huaa dil magar armaan na nikle be-faaeda kholaa dar-e-zindaan-e-tamannaa afsaana miraa khvaab-e-zulekhaa-e-mohabbat jalva hai tiraa yusuf-e-kanaan-e-tamannaa juz vaada-e-baatil nahin buniyaad kuchh us ki dil kaanp uThaa dekh ke aivaan-e-tamannaa ik jaan hai vo khair se vaarafta-e-gham hai ik dil hai so hai sokhta-saamaan-e-tamannaa 'faani' kaa dam ik din tire qadmon pe nikal jaae dil ki ye tamannaa hai ab ai jaan-e-tamannaa"
"ibtidaa-e-ishq hai lutf-e-shabaab aane ko hai sabr rukhsat ho rahaa hai iztiraab aane ko hai qabr par kis shaan se vo be-naqaab aane ko hai aaftaab-e-subh-e-mahshar ham-rikaab aane ko hai mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai haae kaisi kashmakash hai yaas bhi hai aas bhi dam nikal jaane ko hai khat kaa javaab aane ko hai khat ke purze naama-bar ki laash ke hamraah hain kis DhiTaai se mire khat kaa javaab aane ko hai naa-umidi maut se kahti hai apnaa kaam kar aas kahti hai Thahar khat kaa javaab aane ko hai ruuh ghabraai hui phirti hai meri laash par kyaa janaaze par mere khat kaa javaab aane ko hai bhar ke saaqi jaam-e-mai ik aur laa aur jald laa un nashili ankhDiyon mein phir hijaab aane ko hai khaana-e-tasvir mein aane ko hai tasvir-e-yaar aaine mein qad-e-aadam aaftaab aane ko hai phir hinaai hone vaale hain mire qaatil ke haath phir zabaan-e-tegh par rang-e-shahaab aane ko hai gudgudaataa hai tasavvur chuTkiyaan letaa hai dard kyaa kisi be-khvaab ki aankhon mein khvaab aane ko hai dekhiye maut aae 'faani' yaa koi fitna uThe mere qaabu mein dil-e-be-sabr-o-taab aane ko hai"
"justuju-e-nashaat-e-mubham kyaa dil mayassar hai lazzat-e-gham kyaa masti-e-hosh ke fasaane hain jashn-e-parvez o ishrat-e-jam kyaa ek aalam ko dekhtaa huun main ye tiraa dhyaan hai mujassam kyaa izn hangaama-e-nigaah na de kyaa hamaari bisaat aur ham kyaa nang-e-rahmat hai ehtiyaaj-e-duaa intizaar-e-gadaa-e-mubram kyaa meri fitrat hai gosh bar aavaaz sun rahaa huun navaa-e-mehram kyaa miT gayaa naam-e-aashiqi ab aur chaahtaa hai vo husn-e-barham kyaa kaash puchho to kuchh bataaein ham haasil-e-shikva haae baaham kyaa dil kamaal-e-hayaat hai 'faani' dil ke maare huon kaa maatam kyaa"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"