SHAWORDS

justuju-e-nashaat-e-mubham kyaa — Fani Badayuni

HomeFani BadayuniGhazal
"justuju-e-nashaat-e-mubham kyaa dil mayassar hai lazzat-e-gham kyaa masti-e-hosh ke fasaane hain jashn-e-parvez o ishrat-e-jam kyaa ek aalam ko dekhtaa huun main ye tiraa dhyaan hai mujassam kyaa izn hangaama-e-nigaah na de kyaa hamaari bisaat aur ham kyaa nang-e-rahmat hai ehtiyaaj-e-duaa intizaar-e-gadaa-e-mubram kyaa meri fitrat hai gosh bar aavaaz sun rahaa huun navaa-e-mehram kyaa miT gayaa naam-e-aashiqi ab aur chaahtaa hai vo husn-e-barham kyaa kaash puchho to kuchh bataaein ham haasil-e-shikva haae baaham kyaa dil kamaal-e-hayaat hai 'faani' dil ke maare huon kaa maatam kyaa"
Urdu

جستجوئے نشاط مبہم کیا دل میسر ہے لذت غم کیا مستئ ہوش کے فسانے ہیں جشن پرویز و عشرت جم کیا ایک عالم کو دیکھتا ہوں میں یہ ترا دھیان ہے مجسم کیا اذن ہنگامۂ نگاہ نہ دے کیا ہماری بساط اور ہم کیا ننگ رحمت ہے احتیاج دعا انتظار گدائے مبرم کیا میری فطرت ہے گوش بر آواز سن رہا ہوں نوائے محرم کیا مٹ گیا نام عاشقی اب اور چاہتا ہے وہ حسن برہم کیا کاش پوچھو تو کچھ بتائیں ہم حاصل شکوہ ہائے باہم کیا دل کمال حیات ہے فانیؔ دل کے مارے ہوؤں کا ماتم کیا

Hindi

जुस्तुजू-ए-नशात-ए-मुबहम क्या दिल मयस्सर है लज़्ज़त-ए-ग़म क्या मस्ती-ए-होश के फ़साने हैं जश्न-ए-परवेज़ ओ इशरत-ए-जम क्या एक आलम को देखता हूँ मैं ये तिरा ध्यान है मुजस्सम क्या इज़्न हंगामा-ए-निगाह न दे क्या हमारी बिसात और हम क्या नंग-ए-रहमत है एहतियाज-ए-दुआ इंतिज़ार-ए-गदा-ए-मुबरम क्या मेरी फ़ितरत है गोश बर आवाज़ सुन रहा हूँ नवा-ए-मेहरम क्या मिट गया नाम-ए-आशिक़ी अब और चाहता है वो हुस्न-ए-बरहम क्या काश पूछो तो कुछ बताएँ हम हासिल-ए-शिकवा हाए बाहम क्या दिल कमाल-ए-हयात है 'फ़ानी' दिल के मारे हुओं का मातम क्या

justujū-e-nashāt-e-mub.ham kyā
Fani Badayuni
Fani Badayuni
Fani Badayuni
poet181 quotes

More by Fani Badayuni

View all →
Quote
"mizaaj-e-dahr mein un kaa ishaara paae jaa jo ho sake to bahar-haal muskuraae jaa bahaar-e-sad-chamanistaan-e-aarzu ban kar mire khayaal ki ranginiyon mein aae jaa khirad-navaaz nigaahon ki aaD mein rah kar fazaa-e-aalam-e-divaangi pe chhaae jaa pilaae jaa ki abhi hosh-e-be-khudi hai mujhe pilaae jaa mujhe saaqi abhi pilaae jaa dil o jigar pe guzar jaaegi jo guzregi tiri nazar se jo fitne uThein uThaae jaa zaraa Thahr ki ab anjaam-e-soz-e-gham hai qarib charaagh-e-zist bhaDakne ko hai bujhaae jaa sukut-e-mayyat-e-'faani' hai ik fasaana-e-shauq lab-e-khamosh se har muddaaa ko paae jaa"
Fani BadayuniFani Badayuni
Quote
"ziist kaa haasil banaayaa dil jo goyaa kuchh na thaa gham ne dil ko dil banaayaa varna kyaa thaa kuchh na thaa vo to mere saamne the dekhne ki der thi main ne aankhein band kar liin varna pardaa kuchh na thaa yaa alam-koshi rahi yaa khud-faraamoshi rahi dil kisi din dil na thaa yaa dard thaa yaa kuchh na thaa kuchh samajh kar khud hi ham ne jaan de di dil ke saath un ki nazron kaa abhi aisaa taqaazaa kuchh na thaa aap kaa divaana thaa ye iddaaa baatil sahi 'faani'-e-divaana divaana bhi thaa yaa kuchh na thaa"
Fani BadayuniFani Badayuni
Quote
"kuchh kam to huaa ranj-e-faraavaan-e-tamannaa aaghaaz-e-junun go nahin paayaan-e-tamannaa phir yaas ne rakkhaa hai qadam khaana-e-dil mein yaani hai ab allaah nigahbaan-e-tamannaa go chaak huaa dil magar armaan na nikle be-faaeda kholaa dar-e-zindaan-e-tamannaa afsaana miraa khvaab-e-zulekhaa-e-mohabbat jalva hai tiraa yusuf-e-kanaan-e-tamannaa juz vaada-e-baatil nahin buniyaad kuchh us ki dil kaanp uThaa dekh ke aivaan-e-tamannaa ik jaan hai vo khair se vaarafta-e-gham hai ik dil hai so hai sokhta-saamaan-e-tamannaa 'faani' kaa dam ik din tire qadmon pe nikal jaae dil ki ye tamannaa hai ab ai jaan-e-tamannaa"
Fani BadayuniFani Badayuni
Quote
"ibtidaa-e-ishq hai lutf-e-shabaab aane ko hai sabr rukhsat ho rahaa hai iztiraab aane ko hai qabr par kis shaan se vo be-naqaab aane ko hai aaftaab-e-subh-e-mahshar ham-rikaab aane ko hai mujh tak us mahfil mein phir jaam-e-sharaab aane ko hai umr-e-rafta palTi aati hai shabaab aane ko hai haae kaisi kashmakash hai yaas bhi hai aas bhi dam nikal jaane ko hai khat kaa javaab aane ko hai khat ke purze naama-bar ki laash ke hamraah hain kis DhiTaai se mire khat kaa javaab aane ko hai naa-umidi maut se kahti hai apnaa kaam kar aas kahti hai Thahar khat kaa javaab aane ko hai ruuh ghabraai hui phirti hai meri laash par kyaa janaaze par mere khat kaa javaab aane ko hai bhar ke saaqi jaam-e-mai ik aur laa aur jald laa un nashili ankhDiyon mein phir hijaab aane ko hai khaana-e-tasvir mein aane ko hai tasvir-e-yaar aaine mein qad-e-aadam aaftaab aane ko hai phir hinaai hone vaale hain mire qaatil ke haath phir zabaan-e-tegh par rang-e-shahaab aane ko hai gudgudaataa hai tasavvur chuTkiyaan letaa hai dard kyaa kisi be-khvaab ki aankhon mein khvaab aane ko hai dekhiye maut aae 'faani' yaa koi fitna uThe mere qaabu mein dil-e-be-sabr-o-taab aane ko hai"
Fani BadayuniFani Badayuni
Quote
"vaa-e-naadaani ye hasrat thi ki hotaa dar khulaa ham qafas raaz-e-asiri kyaa kahein kyunkar khulaa fursat-e-ranj-e-asiri di na un dhaDkon ne haae ab chhuri sayyaad ne li ab qafas kaa dar khulaa allaah allaah ik duaa-e-marg ke do do asar vaan khulaa baab-e-ijaabat yaan qafas kaa dar khulaa uf is aazaadi-e-be-hangaam ki majburiyaan main qafas ke paas yuun baiThaa hi rahtaa par khulaa ujlat-e-parvaaz jab milne bhi de raah-e-gurez yuun to khulne ko qafas kaa dar khulaa aksar khulaa band hai baab-e-qafas ho sar to paTke jaaiye ham ne dekhaa hai qafas ki tiliyon mein dar khulaa kam to kyaa sayyaad be-taabi sivaa ho jaaegi tu ne naahaq tiliyon mein rakh diyaa khanjar khulaa aasmaan garam-e-talaafi chaahiye kaisaa qafas bijliyon ke ik ishaare mein qafas kaa dar khulaa likh chuke ham jaa chukaa khat gar yahi haalat rahi haath mein aayaa qalam aur shauq kaa daftar khulaa dil mein zakhm ashkon mein khuun surat ba-bin-aalam-mapras vo nigah uf vo mizha naavak chhupaa nashtar khulaa dam-ba-khud sakte kaa aalam murdani chhaai hui rang meri zindagi kaa meri mayyat par khulaa dil mein teraa dhyaan ik muddat rahaa begaana-vaar khulte hi khulte khulaa aur kyaa hi sharmaa kar khulaa dekhiye kyaa gul khilaati hai bahaar ab ke baras khvaab mein 'faani' ne dekhaa hai qafas kaa dar khulaa"
Fani BadayuniFani Badayuni

More on Dil

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud