"vo adaa-e-dilbari ho ki navaa-e-aashiqaana jo dilon ko fath kar le vahi faateh-e-zamaana kabhi husn ki tabiat na badal sakaa zamaana vahi naaz-e-be-niyaazi vahi shaan-e-khusravaana ye tiraa jamaal-e-kaamil ye shabaab kaa zamaana dil-e-dushmanaan salaamat dil-e-dostaan nishaana ye falak ye maah-o-anjum ye zamin ye zamaana tire husn ki hikaayat mire ishq kaa fasaana ye hai ishq ki karaamat ye kamaal-e-shaairaana abhi munh se baat nikli abhi ho gai fasaana ye miraa payaam kahnaa tu sabaa muaddabaana ki guzar gayaa hai pyaare tujhe dekhe ik zamaana mujhe chaak-e-jeb-o-daaman se nahin munaasibat kuchh ye junun hi ko mubaarak rah-o-rasm-e-aamiyaana tujhe haadsaat-e-paiham se bhi kyaa milegaa naadaan tiraa dil agar ho zinda to nafas bhi taaziyaana main huun us maqaam par ab ki firaaq o vasl kaise miraa ishq bhi kahaani tiraa husn bhi fasaana miri zindagi to guzri tire hijr ke sahaare miri maut ko bhi pyaare koi chaahiye bahaana tire ishq ki karaamat ye agar nahin to kyaa hai kabhi be-adab na guzraa mire paas se zamaana tiri duuri o huzuri kaa ye hai ajiib aalam abhi zindagi haqiqat abhi zindagi fasaana mire ham-safir bulbul miraa teraa saath hi kyaa main zamir-e-dasht-o-dariyaa tu asir-e-aashiyaana main vo saaf hi na kah duun jo hai farq mujh mein tujh mein tiraa dard dard-e-tanhaa miraa gham gham-e-zamaana tire dil ke TuTne par hai kisi ko naaz kyaa kyaa tujhe ai 'jigar' mubaarak ye shikast-e-faatehaana"
khushaa bedaad khun-e-hasrat-e-bedaad hotaa hai — Jigar Moradabadi
"khushaa bedaad khun-e-hasrat-e-bedaad hotaa hai sitam ijaad karte ho karam ijaad hotaa hai ba-zaahir kuchh nahin kahte magar irshaad hotaa hai ham us ke hain jo ham par har tarah barbaad hotaa hai mire naashaad rahne par vo jab naashaad hotaa hai bataaun kyaa jo meraa aalam-e-fariyaad hotaa hai yahi hai raaz-e-aazaadi jahaan tak yaad hotaa hai ki nazrein qaid hoti hain to dil aazaad hotaa hai dil-e-aashiq bhi kyaa majmua-e-azdaad hotaa hai udhar aabaad hotaa hai idhar barbaad hotaa hai vo har ik vaaqia jo surat-e-uftaad hotaa hai kabhi pahle bhi dekhaa thaa kuchh aisaa yaad hotaa hai baDi mushkil se paidaa ek vo aadam-zaad hotaa hai jo khud aazaad jis kaa har nafas aazaad hotaa hai nigaahein kyaa ki pahron dil bhi vaaqif ho nahin saktaa zabaan-e-husn se aisaa bhi kuchh irshaad hotaa hai tumhin ho taana-zan mujh par tumhin insaaf se kah do koi apni khushi se khaanamaan-barbaad hotaa hai ye maanaa nang-e-paabandi se kyaa aazaad ko matlab magar vo sharm-e-aazaadi se bhi aazaad hotaa hai tasavvur mein hai kuchh aisaa tiri tasvir kaa aalam ki jaise ab lab-e-naazuk se kuchh irshaad hotaa hai koi had hi nahin shaayad mohabbat ke fasaane ki sunaataa jaa rahaa hai jis ko jitnaa yaad hotaa hai"
خوشا بیداد خون حسرت بیداد ہوتا ہے ستم ایجاد کرتے ہو کرم ایجاد ہوتا ہے بظاہر کچھ نہیں کہتے مگر ارشاد ہوتا ہے ہم اس کے ہیں جو ہم پر ہر طرح برباد ہوتا ہے مرے ناشاد رہنے پر وہ جب ناشاد ہوتا ہے بتاؤں کیا جو میرا عالم فریاد ہوتا ہے یہی ہے راز آزادی جہاں تک یاد ہوتا ہے کہ نظریں قید ہوتی ہیں تو دل آزاد ہوتا ہے دل عاشق بھی کیا مجموعۂ اضداد ہوتا ہے ادھر آباد ہوتا ہے ادھر برباد ہوتا ہے وہ ہر اک واقعہ جو صورت افتاد ہوتا ہے کبھی پہلے بھی دیکھا تھا کچھ ایسا یاد ہوتا ہے بڑی مشکل سے پیدا ایک وہ آدم زاد ہوتا ہے جو خود آزاد جس کا ہر نفس آزاد ہوتا ہے نگاہیں کیا کہ پہروں دل بھی واقف ہو نہیں سکتا زبان حسن سے ایسا بھی کچھ ارشاد ہوتا ہے تمہیں ہو طعنہ زن مجھ پر تمہیں انصاف سے کہہ دو کوئی اپنی خوشی سے خانماں برباد ہوتا ہے یہ مانا ننگ پابندی سے کیا آزاد کو مطلب مگر وہ شرم آزادی سے بھی آزاد ہوتا ہے تصور میں ہے کچھ ایسا تری تصویر کا عالم کہ جیسے اب لب نازک سے کچھ ارشاد ہوتا ہے کوئی حد ہی نہیں شاید محبت کے فسانے کی سناتا جا رہا ہے جس کو جتنا یاد ہوتا ہے
ख़ुशा बेदाद ख़ून-ए-हसरत-ए-बेदाद होता है सितम ईजाद करते हो करम ईजाद होता है ब-ज़ाहिर कुछ नहीं कहते मगर इरशाद होता है हम उस के हैं जो हम पर हर तरह बर्बाद होता है मिरे नाशाद रहने पर वो जब नाशाद होता है बताऊँ क्या जो मेरा आलम-ए-फ़रियाद होता है यही है राज़-ए-आज़ादी जहाँ तक याद होता है कि नज़रें क़ैद होती हैं तो दिल आज़ाद होता है दिल-ए-आशिक़ भी क्या मज्मुआ-ए-अज़्दाद होता है उधर आबाद होता है इधर बर्बाद होता है वो हर इक वाक़िआ' जो सूरत-ए-उफ़्ताद होता है कभी पहले भी देखा था कुछ ऐसा याद होता है बड़ी मुश्किल से पैदा एक वो आदम-ज़ाद होता है जो ख़ुद आज़ाद जिस का हर नफ़स आज़ाद होता है निगाहें क्या कि पहरों दिल भी वाक़िफ़ हो नहीं सकता ज़बान-ए-हुस्न से ऐसा भी कुछ इरशाद होता है तुम्हीं हो ता'ना-ज़न मुझ पर तुम्हीं इंसाफ़ से कह दो कोई अपनी ख़ुशी से ख़ानमाँ-बर्बाद होता है ये माना नंग-ए-पाबंदी से क्या आज़ाद को मतलब मगर वो शर्म-ए-आज़ादी से भी आज़ाद होता है तसव्वुर में है कुछ ऐसा तिरी तस्वीर का आलम कि जैसे अब लब-ए-नाज़ुक से कुछ इरशाद होता है कोई हद ही नहीं शायद मोहब्बत के फ़साने की सुनाता जा रहा है जिस को जितना याद होता है

More by Jigar Moradabadi
View all →"raaz jo sina-e-fitrat mein nihaan hotaa hai sab se pahle dil-e-shaair pe ayaan hotaa hai sakht khun-rez jab aashob-e-jahaan hotaa hai nahin maalum ye insaan kahaan hotaa hai jab koi haadsa-e-kaun-o-makaan hotaa hai zarra zarra meri jaanib nigaraan hotaa hai jo nazar-karda-e-saahab-nazraan hotaa hai usi divaane ke qadmon pe jahaan hotaa hai jab koi ishq mein barbaad-e-jahaan hotaa hai mujh ko mahsus khud apnaa hi ziyaan hotaa hai mutazalzal hai adab-gaah-e-mohabbat ki zamin koi dekhe to ye hangaama kahaan hotaa hai kahin aisaa to nahin vo bhi ho koi aazaar tujh ko jis chiiz pe raahat kaa gumaan hotaa hai dil ghani ho to har ik ranj bhi dil ki raahat zehn muflis ho to har suud ziyaan hotaa hai imtihaan-gaah-e-mohabbat mein na rakkhe vo qadam maut ke naam se jis ko khafaqaan hotaa hai yahi vo manzil-e-dushvaar hai jis manzil mein khatm har marhala-e-sud-o-ziyaan hotaa hai har qadam maarka-e-karb-o-balaa hai darpesh har nafas saaneha-e-marg-e-javaan hotaa hai naaz jis khaak-e-vatan par thaa mujhe aah 'jigar' usi jannat pe jahannam kaa gumaan hotaa hai"
"husn-e-kaafir-shabaab kaa aalam sar se paa tak sharaab kaa aalam araq-aalud chehra-e-taabaan shabnam-o-aaftaab kaa aalam vo miri arz-e-shauq-e-behad par kuchh hayaa kuchh itaab kaa aalam allaah allaah vo imtizaaj-e-latif shokhiyon mein hijaab kaa aalam hama nur-o-surur ki duniyaa hama husn-o-shabaab kaa aalam vo lab-e-juebaar o mausam-e-gul vo shab-e-maahtaab kaa aalam zaanu-e-shauq par vo pichhle pahar nargis-e-nim-khvaab kaa aalam der tak ikhtilaat-e-raaz-o-niyaaz yak-ba-yak ijtinaab kaa aalam laakh rangin-bayaaniyon pe miri ek saada javaab kaa aalam gham ki har mauj mauj-e-tufaan-khez dil kaa aalam habaab kaa aalam dil-e-mutrib samajh sake shaayad ik shikasta rubaab kaa aalam vo samaan aaj bhi hai yaad 'jigar' haan magar jaise khvaab kaa aalam"
"shab-e-vasl kyaa mukhtasar ho gai zaraa aankh jhapki sahar ho gai nigaahon ne sab raaz-e-dil kah diyaa unhein aaj apni khabar ho gai baDi chiiz hai tarz-e-begaanagi ye tarkib agar kaargar ho gai ilaahi buraa ho gham-e-ishq kaa sunaa hai ki un ko khabar ho gai kiye mujh pe ehsaan gham-e-yaar ne hamesha ko nichi nazar ho gai numaayaan hui subh-e-piri 'jigar' bas ab daastaan mukhtasar ho gai"
"'aashiqi imtiyaaz kyaa jaane farq-e-naaz-o-niyaaz kyaa jaane naakhun-e-‘ishq kitne Tuut gae girah-e-nim-baaz kyaa jaane sina-e-nai pe jo guzarti hai vo lab-e-nai-navaaz kyaa jaane"
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"