SHAWORDS

chaandni raat baDi der ke baa'd aai hai — Saifuddin Saif

HomeSaifuddin SaifGhazal
"chaandni raat baDi der ke baa'd aai hai lab pe ik baat baDi der ke baa'd aai hai jhuum kar aaj ye shab-rang laTein bikhraa de dekh barsaat baDi der ke baa'd aai hai dil-e-majruh ki ujDi hui khaamoshi se bu-e-naghmaat baDi der ke baa'd aai hai aaj ki raat vo aae hain baDi der ke baa'd aaj ki raat baDi der ke baa'd aai hai aah taskin bhi ab 'saif' shab-e-hijraan mein aksar auqaat baDi der ke baa'd aai hai"
Urdu

چاندنی رات بڑی دیر کے بعد آئی ہے لب پہ اک بات بڑی دیر کے بعد آئی ہے جھوم کر آج یہ شب رنگ لٹیں بکھرا دے دیکھ برسات بڑی دیر کے بعد آئی ہے دل مجروح کی اجڑی ہوئی خاموشی سے بوئے نغمات بڑی دیر کے بعد آئی ہے آج کی رات وہ آئے ہیں بڑی دیر کے بعد آج کی رات بڑی دیر کے بعد آئی ہے آہ تسکین بھی اب سیفؔ شب ہجراں میں اکثر اوقات بڑی دیر کے بعد آئی ہے

Hindi

चाँदनी रात बड़ी देर के बा'द आई है लब पे इक बात बड़ी देर के बा'द आई है झूम कर आज ये शब-रंग लटें बिखरा दे देख बरसात बड़ी देर के बा'द आई है दिल-ए-मजरूह की उजड़ी हुई ख़ामोशी से बू-ए-नग़्मात बड़ी देर के बा'द आई है आज की रात वो आए हैं बड़ी देर के बा'द आज की रात बड़ी देर के बा'द आई है आह तस्कीन भी अब 'सैफ़' शब-ए-हिज्राँ में अक्सर औक़ात बड़ी देर के बा'द आई है

chāñdnī raat baḌī der ke baa'd aa.ī hai
Saifuddin Saif
Saifuddin Saif
Saifuddin Saif
poet47 quotes

More by Saifuddin Saif

View all →
Quote
"hasin raaton jamil taaron ki yaad si rah gai hai baaqi kuchh apni ujDi hui bahaaron ki yaad si rah gai hai baaqi har ek mahfil paDi hai suuni tamaam mele bichhaD chuke hain sitamgaron ki sitam-shiaaron ki yaad si rah gai hai baaqi gham-e-vafaa kahne sunne vaale kahaan gae ahl-e-dil na jaane tumhaari ulfat ke raaz-daaron ki yaad si rah gai hai baaqi vo shaam se aarzu sahar ki vo be-kali raat raat bhar ki un aashnaa aashnaa sitaaron ki yaad si rah gai hai baaqi udhar bhi ahd-e-vafaa ke TukDe khaTak ke pahlu mein so chuke hain yahaan bhi TuuTe hue sahaaron ki yaad si rah gai hai baaqi gilaa nahin 'saif' be-kasi kaa kisi kaa gham kaun puchhtaa hai yahi bahut hai ki gham-gusaaron ki yaad si rah gai hai baaqi"
Saifuddin SaifSaifuddin Saif
Quote
"vafaa anjaam hoti jaa rahi hai mohabbat khaam hoti jaa rahi hai zaraa chehre se zulfon ko haTaa lo ye kaisi shaam hoti jaa rahi hai qayaamat hai mohabbat rafta-rafta gham-e-ayyaam hoti jaa rahi hai sunaa hai ab tire lutf-o-karam ki hikaayat aam hoti jaa rahi hai dikhaane ko zaraa aankhein badal lo vafaa ilzaam hoti jaa rahi hai mire jazb-e-vafaa se khaamushi bhi tiraa paighaam hoti jaa rahi hai koi karvaT badal ai dard-e-hasti tamannaa daam hoti jaa rahi hai mohabbat 'saif' ik lutf-e-nihaan thi magar badnaam hoti jaa rahi hai"
Saifuddin SaifSaifuddin Saif

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud