"na aanaa thaa na aayaa aane vaalaa gayaa duniyaa se aakhir jaane vaalaa chhupaao laakh tum apne ko lekin tumhein paa kar rahegaa paane vaalaa mohabbat ko samajh se vaasta kyaa kaho ab chup rahe samjhaane vaalaa yahaan be-sud hai zikr-e-gham-e-dil yahaan koi nahin gham khaane vaalaa mujhe to hai gharaz insaaniyat se haram vaalaa ho yaa but-khaane vaalaa samajhne vaalaa ab koi nahin hai jise dekho vo hai samjhaane vaalaa hazaaron milte hain gham dene vaale koi miltaa nahin gham khaane vaalaa sabhi kaa tum to gham khaate ho 'aasi' tumhaaraa kaun hai gham khaane vaalaa"
kyaa puchhte ho haal-e-dil-e-be-qaraar aaj — Aasi Aarwi
"kyaa puchhte ho haal-e-dil-e-be-qaraar aaj jo kal thi hai vo gardish-e-lail-o-nahaar aaj us paikar-e-jafaa ko na kos ai dil-e-hazin teri tarah hai vo bhi bahut be-qaraar aaj mere hi dam se rah gayaa mai-khaane mein bharam varna janaab-e-shaikh ko miltaa udhaar aaj us ne likhaa hai bahr-ayaadat kal aaeinge jiine bhi degaa mujh ko dil-e-be-qaraar aaj kis mast ki duaa hui maqbul-e-baargaah aayaa hai jhuum jhuum ke abr-e-bahaar aaj mere liye kahin bhi jahaan mein sukun nahin le kar kahaan chalaa hai dil-e-be-qaraar aaj us gul ne jaane kyaa mire baare mein kah diyaa guzri hai mujh se kaT ke nasim-e-bahaar aaj ye faiz hai 'tabib'-o-'qatil' aur 'zaar' kaa 'aasi' jo shaairon mein hai teraa shumaar aaj"
کیا پوچھتے ہو حال دل بیقرار آج جو کل تھی ہے وہ گردش لیل و نہار آج اس پیکر جفا کو نہ کوس اے دل حزیں تیری طرح ہے وہ بھی بہت بیقرار آج میرے ہی دم سے رہ گیا مے خانے میں بھرم ورنہ جناب شیخ کو ملتا ادھار آج اس نے لکھا ہے بہر عیادت کل آئیں گے جینے بھی دے گا مجھ کو دل بے قرار آج کس مست کی دعا ہوئی مقبول بارگاہ آیا ہے جھوم جھوم کے ابر بہار آج میرے لیے کہیں بھی جہاں میں سکوں نہیں لے کر کہاں چلا ہے دل بے قرار آج اس گل نے جانے کیا مرے بارے میں کہہ دیا گزری ہے مجھ سے کٹ کے نسیم بہار آج یہ فیض ہے طبیبؔ و قتیلؔ اور زارؔ کا آسیؔ جو شاعروں میں ہے تیرا شمار آج
क्या पूछते हो हाल-ए-दिल-ए-बे-क़रार आज जो कल थी है वो गर्दिश-ए-लैल-ओ-नहार आज उस पैकर-ए-जफ़ा को न कोस ऐ दिल-ए-हज़ीं तेरी तरह है वो भी बहुत बे-क़रार आज मेरे ही दम से रह गया मय-ख़ाने में भरम वर्ना जनाब-ए-शैख़ को मिलता उधार आज उस ने लिखा है बहर-अयादत कल आएँगे जीने भी देगा मुझ को दिल-ए-बे-क़रार आज किस मस्त की दुआ हुई मक़्बूल-ए-बारगाह आया है झूम झूम के अब्र-ए-बहार आज मेरे लिए कहीं भी जहाँ में सुकूँ नहीं ले कर कहाँ चला है दिल-ए-बे-क़रार आज उस गुल ने जाने क्या मिरे बारे में कह दिया गुज़री है मुझ से कट के नसीम-ए-बहार आज ये फ़ैज़ है 'तबीब'-ओ-'क़तील' और 'ज़ार' का 'आसी' जो शाइ'रों में है तेरा शुमार आज

More by Aasi Aarwi
View all →"har shaakh-e-gul ko be-sar-o-saamaan banaa diyaa yaaron ne gulsitaan ko bayaabaan banaa diyaa takhliq sab ki ek hai aamaal ne magar kaafir tujhe to mujh ko musalmaan banaa diyaa is jaan-e-gulsitaan ki tamannaa ne ai nadim mujh ko har ik chaman se gurezaan banaa diyaa dushvaar ho chuki thi mujhe zindagi magar saaqi-e-dil-navaaz ne aasaan banaa diyaa 'aasi' khudaa kaa shukr karo jis ke lutf ne auron ke saath tum ko bhi insaan banaa diyaa"
"chaahe jo haal bhi ho un ki nazar hone tak ham jiye jaaeinge aahon mein asar hone tak be-khudi naam hai ehsaas-e-khudi kaa shaayad varna kuchh aur thaa mansur khabar hone tak sabr se kaam le ai dil is andhere se na Dar zulmat-e-shab hai sapedi-e-sahar hone tak jab jo chaahein vo kahein apne ko vaaiz lekin bartari mujh ko to haasil hai bashar hone tak haae vo husn-e-yaqin aah vo ummid-e-karam muntazir thaa tiraa bimaar sahar hone tak yuun to jiinaa hai ba-har-haal magar ai 'aasi' zindagi asl mein hai soz-e-jigar hone tak"
"dekhaa hai ik nazar unhein anjaam jo bhi ho qismat mein apni ai dil-e-naakaam jo bhi ho meri nazar pe saaraa zamaana hai mo'tariz lekin vo ik adaa hai lab-e-baam jo bhi ho imkaan phir rihaai ki kartaa hai koshishein murgh-e-balaa-nasib tah-e-daam jo bhi ho kuchh in-o-aan ko dakhl nahin raah-e-ishq mein ab un kaa mere vaaste paighaam jo bhi ho aankhon mein vaqt-e-did kuchh aansu zarur the ham par ab is ke vaaste ilzaam jo bhi ho kahtaa hai dil ki baat magar apne sher mein qismat kaa maaraa 'aasi'-e-gumnaam jo bhi ho"
"dayaar-e-ishq mein vaaiz khirad kaa kaam nahin udhar na bhuul ke jaanaa vo raah-e-aam nahin vo subh subh nahin hai vo shaam shaam nahin ki jis mein un ki taraf se koi payaam nahin vo raah-rau huun ki manzil nahin qayaam nahin talaash-e-dost mein kuchh qaid-e-subh-o-shaam nahin ye kaif-e-ishq hai vaqti surur-e-jaam nahin tiri tarah miraa naaseh khayaal khaam nahin nigaah-e-qahr kaa markaz thaa kaun mahfil mein huzur kahte hain teraa koi maqaam nahin ye falsafa ye siyaasat ye hikmat-o-daanish kahaan kahaan miri khaatir kamand-o-daam nahin vo dars dete hain akhlaaq kaa ab ai 'aasi' salaam kijiye jin ko to lein salaam nahin"
"tiri barbaadiyon kaa zikr bazm-e-dil-braan tak hai kahaan ki baat hai ai dil magar pahunchi kahaan tak hai tu kyaa jaane mohabbat ke maze ai naaseh-e-naadaan pahunch tiri nigaahon ki faqat sud-o-ziyaan tak hai ham insaan hain magar takhliq-e-aalaa hain ki ai hamdam hamaare auj kaa charchaa zamin se aasmaan tak hai mohabbat aazmaati hai mohabbat karne vaalon ko ye sakhti ai dil-e-betaab tujh par imtihaan tak hai jahaan mein vaise to jiite hain sab lekin jo sach puchho maza jiine kaa duniyaa mein bahaar-e-dostaan tak hai koi jab dost kahtaa hai to sun letaa huun ai 'aasi' ki ab to dosti is ahd mein husn-e-bayaan tak hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"