"dekh kar ham ko asir-e-aarzu aur bhi vo ho gae begaana-khu phaaD Daalaa dast-e-vahshat ne jise phir karein kyaa is garebaan kaa rafu phir sajaao mahfil-e-daar-o-rasan muztarib hai phir zabaan-e-guftugu gar ziyaada se ziyaada hon gunah kam nahin hai aayat-e-laa-taqnatu mujh ko Dar lagtaa hai apne shahr mein hain bahut unche yahaan ke kaakh-o-ku jab bhi rut aati hai patjhaD ki yahaan chuus leti hai bahaaron kaa lahu rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahaan kar diyaa hai sab ko mahv-e-justuju"
main vaaqif-kaar-e-asraar-e-baqaa huun — Amjad Najmi
"main vaaqif-kaar-e-asraar-e-baqaa huun isi khaatir to un par mar-miTaa huun ye meri intihaa-e-aarzu dekh ki main tujh se tujhi ko maangtaa huun suni jaati nahin jo huun vo fariyaad jo rad kar di gai vo iltijaa huun koi naahaq jafaaein kyon sahegaa magar main huun ki majbur-e-vafaa huun ravaa hai yaa ye sajda naaravaa hai kisi ke aastaan par gir paDaa huun vo apne husn ki ik daastaan hain main apne 'ishq kaa ik maajraa huun kahin hote bhi hain siine mein do dil main jis ko chaahtaa huun chaahtaa huun"
میں واقف کار اسرار بقا ہوں اسی خاطر تو ان پر مر مٹا ہوں یہ میری انتہائے آرزو دیکھ کہ میں تجھ سے تجھی کو مانگتا ہوں سنی جاتی نہیں جو ہوں وہ فریاد جو رد کر دی گئی وہ التجا ہوں کوئی ناحق جفائیں کیوں سہے گا مگر میں ہوں کہ مجبور وفا ہوں روا ہے یا یہ سجدہ ناروا ہے کسی کے آستاں پر گر پڑا ہوں وہ اپنے حسن کی اک داستاں ہیں میں اپنے عشق کا اک ماجرا ہوں کہیں ہوتے بھی ہیں سینے میں دو دل میں جس کو چاہتا ہوں چاہتا ہوں
मैं वाक़िफ़-कार-ए-असरार-ए-बक़ा हूँ इसी ख़ातिर तो उन पर मर-मिटा हूँ ये मेरी इंतिहा-ए-आरज़ू देख कि मैं तुझ से तुझी को माँगता हूँ सुनी जाती नहीं जो हूँ वो फ़रियाद जो रद कर दी गई वो इल्तिजा हूँ कोई नाहक़ जफ़ाएँ क्यों सहेगा मगर मैं हूँ कि मजबूर-ए-वफ़ा हूँ रवा है या ये सज्दा नारवा है किसी के आस्ताँ पर गिर पड़ा हूँ वो अपने हुस्न की इक दास्ताँ हैं मैं अपने 'इश्क़ का इक माजरा हूँ कहीं होते भी हैं सीने में दो दिल मैं जिस को चाहता हूँ चाहता हूँ

More by Amjad Najmi
View all →"bulbul-e-rangin-navaa khaamosh hai baagh ki saari fazaa khaamosh hai gul khilaae us ne kyaa kyaa baagh mein phir bhi kis darja sabaa khaamosh hai aarzu jin ki thi mujh ko mil gae ab zabaan-e-iltijaa khaamosh hai be-kasi ye kis ne li teri panaah gor kaa kis ki diyaa khaamosh hai shorish-e-dil shorish-e-mahshar nahin zindagi apni bhi kyaa khaamosh hai sochti hai jaa ke ye barse kahaan mere ashkon ki ghaTaa khaamosh hai kis ko jiine ki tamannaa hai yahaan kyuun lab-e-mojiz-numaa khaamosh hai husn-e-dilkash kaa bhi kyaa andaaz hai naaz goyaa hai adaa khaamosh hai hai yahaan 'najmi' usi kaa shor-o-ghul go ba-zaahir vo sadaa khaamosh hai"
"taraana-e-gham-e-pinhaan hai har khushi apni ki ek dard-e-musalsal hai zindagi apni bahal na jaae kahin ye dil-e-khizaan-maanus bahaar aa ke dikhaati hai dilkashi apni kisi ke chehra-e-zebaa se us ko kyaa nisbat yunhi bikheraa kare chaand chaandni apni shuur-e-chaak-e-garebaan kidhar hai daaman-e-yaar junun ki had se mili jaa ke aashiqi apni bataa ki ye bhi koi shaan-e-be-niyaazi hai suni na haae koi tu ne guftani apni"
"soz hai dil ke daagh mein ab tak raushni hai charaagh mein ab tak zulf-e-mushkin thi mehrbaan kis ki bu basi hai dimaagh mein ab tak tishna-kaamon ko is se kyaa haasil mai dhari hai ayaagh mein ab tak haae aavaargi-e-baad-e-sabaa hai ye kis ke suraagh mein ab tak go khizaan kaa bhi daur-daura hai phuul khilte hain baagh mein ab tak roz-o-shab maare maare phirte hain ham talaash-e-faraagh mein ab tak ye bhi bujh jaaegi kabhi 'najmi' raushni hai charaagh mein ab tak"
"mujhe ye Dar hai har har uzv meraa dil na ban jaae mohabbat kaa ye uqda uqda-e-mushkil na ban jaae ye soz-e-shama-e-raushan aur ye saaz-e-khun-e-parvaana kisi kaa jalva phir rangini-e-mahfil na bin jaae talaash-e-kaaba-e-maqsud mein ye garm-raftaari miraa har har qadam sang-e-rah-e-manzil na ban jaae ajab kyaa hai ki roz-e-hashr ye tar-daamani 'najmi' hamaari mazra'-e-ummid kaa haasil na ban jaae"
"sarguzisht-e-gham ko mohtaaj-e-bayaan paataa huun main kyon zabaan-e-shauq ko ab be-zabaan paataa huun main hai vahi kaifiyyat-e-be-taabi-e-mauj-e-nazar husn ke jalvon ko bahr-e-bekaraan paataa huun main daastaan-e-ishq meri zinat-e-kaun-o-makaan jis ke kuchh TukDe yahaan aur kuchh vahaan paataa huun main ishq ban kar kholtaa huun husn ke sar-basta raaz fitrat-e-aalam kaa khud ko tarjumaan paataa huun main apni hasti kaa mujhe ehsaas jab se ho chalaa sar ko apne dosh par baar-e-garaan paataa huun main har shikast-e-aarzu hai taaza-tar tamhid-e-shauq aur kuchh ab apni himmat ko javaan paataa huun main khizr-e-rah bantaa chalaa har sang-e-zer-e-paa miraa Thokarein khaa khaa ke manzil kaa nishaan paataa huun main maavaraa-e-qaid-e-rang-o-bu hai imkaan-e-nigaah daaman-e-sahraa mein husn-e-gulsitaan paataa huun main kis qadar unchi hai 'najmi' meri parvaaz-e-khayaal har zamin-e-sher ko ab aasmaan paataa huun main"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"