"ahd-e-junun mein arsa-e-vahshat guzaarnaa jaise shab-e-visaal mein furqat guzaarnaa jaanaa suraagh-e-jauhar-e-takhliq DhunDne aur us ke baad aalam-e-hairat guzaarnaa karnaa hayaat pahlu-e-aivaan-e-dard mein rozaana ek roz-e-qayaamat guzaarnaa ab tak to hai uruus badan ke nasib mein zulfon pe khaak Daalnaa iddat guzaarnaa jivan sazaa-e-maut se pahle kaa khel hai sab ko hai ye mili hui mohlat guzaarnaa 'aakaash' daur-e-jabr-o-mashaqqat hai chaar din phir taa-abad sukun ki haalat guzaarnaa"
nai aadmi pasand na us ko khudaa pasand — Imdad Akash
"nai aadmi pasand na us ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aaina pasand vo chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo moatadil-mizaaj thaa main intihaa-pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand jab koi farq shaahid-o-mashhud mein nahin kaise kare kisi ko koi dusraa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand kholi hai jab se aankh kabhi so nahin sake kyunki hamein hai khvaab mein bhi jaagnaa pasand main bhi ye barg-e-sabz bhi maahi bhi murgh bhi baandhe hue hain maut ne saare havaa pasand khaarij ki baat aankh se aage ki thi magar sab qaidiyon ko rauzan-e-divaar thaa pasand 'aakaash' ek shakhs hai auron se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
نے آدمی پسند نہ اس کو خدا پسند ہے آئینے میں قید مرا آئینہ پسند وہ چار دن بھی ہم سے نباہی نہیں گئی وہ معتدل مزاج تھا میں انتہا پسند وہ خود فریب شخص تھا پتھر شناس تھا آیا نہ اس کو کوئی بھی اپنے سوا پسند جب کوئی فرق شاہد و مشہود میں نہیں کیسے کرے کسی کو کوئی دوسرا پسند پوچھے ہے ہم نے کاہے کیا کفر اختیار غفلت پسند ہے نہ ہمیں آسرا پسند کھولی ہے جب سے آنکھ کبھی سو نہیں سکے کیونکہ ہمیں ہے خواب میں بھی جاگنا پسند میں بھی یہ برگ سبز بھی ماہی بھی مرغ بھی باندھے ہوئے ہیں موت نے سارے ہوا پسند خارج کی بات آنکھ سے آگے کی تھی مگر سب قیدیوں کو روزن دیوار تھا پسند آکاشؔ ایک شخص ہے اوروں سے مختلف پہلی نظر میں ہی تمہیں آ جائے گا پسند
नय आदमी पसंद न उस को ख़ुदा पसंद है आईने में क़ैद मिरा आईना पसंद वो चार दिन भी हम से निबाही नहीं गई वो मो'तदिल-मिज़ाज था मैं इंतिहा-पसंद वो ख़ुद-फ़रेब शख़्स था पत्थर शनास था आया न उस को कोई भी अपने सिवा पसंद जब कोई फ़र्क़ शाहिद-ओ-मशहूद में नहीं कैसे करे किसी को कोई दूसरा पसंद पूछे है हम ने काहे किया कुफ़्र इख़्तियार ग़फ़्लत पसंद है न हमें आसरा पसंद खोली है जब से आँख कभी सो नहीं सके क्यूँकि हमें है ख़्वाब में भी जागना पसंद मैं भी ये बर्ग-ए-सब्ज़ भी माही भी मुर्ग़ भी बाँधे हुए हैं मौत ने सारे हवा पसंद ख़ारिज की बात आँख से आगे की थी मगर सब क़ैदियों को रौज़न-ए-दीवार था पसंद 'आकाश' एक शख़्स है औरों से मुख़्तलिफ़ पहली नज़र में ही तुम्हें आ जाएगा पसंद

More by Imdad Akash
View all →"zehn ashkaal ko zanjir nahin kar paayaa main mukammal koi tasvir nahin kar paayaa meri miTTi mein gundhe jauhar-e-takhrib ki khair vaqt ab tak mujhe taamir nahin kar paayaa jaantaa huun ki mohabbat hai jahaangir magar main mohabbat ko jahaangir nahin kar paayaa vaqt ko main ne guzaaraa hai azal se ab tak phir bhi main vaqt ki tafsir nahin kar paataa zindagi ek ajab khvaab hai 'aakaash' jise koi sharminda-e-taabir nahin kar paayaa"
"ne aadmi pasand na is ko khudaa pasand hai aaine mein qaid miraa aainaa-pasand do-chaar din bhi ham se nibaahi nahin gai vo mo'tadil mizaaj thaa main intihaa pasand vo khud-fareb shakhs thaa patthar-shanaas thaa aayaa na us ko koi bhi apne sivaa pasand puchhe hai ham ne kaahe kiyaa kufr ikhtiyaar ghaflat pasand hai na hamein aasraa pasand ghaughaa-e-marg chaaron taraf phailne lagaa kyaa is jahaan ko chhoD gae baadiya-pasand us par hi bhejtaa hai vo aafat bhi maut bhi shaayad use gharib kaa bachcha hai naa-pasand aakaash ek shakhs hai duniyaa se mukhtalif pahli nazar mein hi tumhein aa jaaegaa pasand"
"nafi ke jabr se aazaad aur sabaat se duur hai kaaenaat koi meri kaaenaat se duur miraa vujud miri daastaan kaa hissa hai miraa nishaan hai kahin par hisaar-e-zaat se duur pataa chalaa hai ki chashma hai aab-e-haivaan kaa zamin ki had se pare arsa-e-hayaat se duur nigaar khaane ke andar nigaar khaane hain kai khayaal hain mere takhayyulaat se duur ye sabz rang ye shaakhein to hain nazar kaa fareb ugaa huaa hai shajar Daal aur paat se duur"
"qafas ko toD ke taaza havaa mein saans liyaa vujud chhoD ke taaza havaa mein saans liyaa dhuein ke shahr mein baarish kaa shukr vaajib thaa so haath joD ke taaza havaa mein saans liyaa fazaa ki dusri jaanib thaa baagh phulon kaa mahaar moD ke taaza havaa mein saans liyaa the ik ghubaara-numaa aasmaan ki qaid mein ham ghubbaara phoD ke taaza havaa mein saans liyaa safar ki dhuul se 'aakaash' aT chukaa thaa khalaa zamin nichoD ke taaza havaa mein saans liyaa"
"rasaai kaisi ki harakat hi saath chhoD gai ye kohsaar si qaamat hi saath chhoD gai bhanvar ke saath ulajhti hui sadaa ko sunaa phir us ke baad samaaat hi saath chhoD gai kisi se apnaa taaaruf karaaein to kaise ki ab to apni shabaahat hi saath chhoD gai tum ek shakhs bichhaDne ke dukh mein baiThe ho yahaan to puuri jamaaat hi saath chhoD gai vo jis ke vaaste taj di thiin bastiyaan 'aakaash' vo regzaar ki hiddat hi saath chhoD gai"
More on Dil
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"