SHAWORDS

rang-e-duniyaa itnaa gahraa ho gayaa — Madan Mohan Danish

"rang-e-duniyaa itnaa gahraa ho gayaa aadmi kaa rang phikaa ho gayaa raat kyaa hoti hai ham se pochhiye aap to soe saveraa ho gayaa aaj khud ko bechne nikle the ham aaj hi baazaar manda ho gayaa gham andhere kaa nahin 'daanish' magar vaqt se pahle andheraa ho gayaa"
Urdu

رنگ دنیا اتنا گہرا ہو گیا آدمی کا رنگ پھیکا ہو گیا رات کیا ہوتی ہے ہم سے پوچھیے آپ تو سوئے سویرا ہو گیا آج خود کو بیچنے نکلے تھے ہم آج ہی بازار مندہ ہو گیا غم اندھیرے کا نہیں دانشؔ مگر وقت سے پہلے اندھیرا ہو گیا

Hindi

रंग-ए-दुनिया इतना गहरा हो गया आदमी का रंग फीका हो गया रात क्या होती है हम से पोछिए आप तो सोए सवेरा हो गया आज ख़ुद को बेचने निकले थे हम आज ही बाज़ार मंदा हो गया ग़म अंधेरे का नहीं 'दानिश' मगर वक़्त से पहले अंधेरा हो गया

rang-e-duniyā itnā gahrā ho gayā
Madan Mohan Danish
Madan Mohan Danish
Madan Mohan Danish
poet28 quotes

More by Madan Mohan Danish

View all →
Quote
"zidon ko apni taraasho aur un ko khvaab karo phir us ke baad hi manzil kaa intikhaab karo mohabbaton mein nae qarz chaDhte rahte hain magar ye kis ne kahaa hai kabhi hisaab karo tumhein ye duniyaa kabhi phuul to nahin degi mile hain kaanTe to kaanTon ko hi gulaab karo siyaah raato chamakti nahin hai yuun taqdir uThaao apne charaaghon ko maahtaab karo kai sadaaein Thikaana talaash karti hui fazaa mein guunj rahi hain unhein kitaab karo kisi ke rang mein Dhalnaa hi hai agar 'daanish' to apne aap ko thoDaa bahut kharaab karo"
Madan Mohan DanishMadan Mohan Danish
Quote
"aadhi aag aur aadhaa paani ham donon jalti-bujhti ek kahaani ham donon mandir masjid girja-ghar aur guru-dvaara lafz kai hain ek ma'aani ham donon ruup badal kar naam badal kar aate hain faani ho kar bhi laa-faani ham donon gyaani dhyaani chatur siyaani duniyaa mein jiite hain apni naadaani ham donon aadhaa aadhaa baanT ke jiite rahte hain raunaq ho yaa ho viraani ham donon nazar lage naa apni jagmag duniyaa ko karte rahte hain nigaraani ham donon khvaabon kaa ik nagar basaa lete hain roz aur ban jaate hain sailaani ham donon tu saavan ki shokh ghaTaa mein pyaasaa ban chal karte hain kuchh man-maani ham donon ik-duje ko roz sunaate hain 'daanish' apni apni raam-kahaani ham donon"
Madan Mohan DanishMadan Mohan Danish

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri