"zaar intizaar-e-khat ne kiyaa is qadar mujhe pahchaantaa nahin hai miraa naama-bar mujhe shaakhon ki tarh saae ko rakhtaa hai dosh par gar dekhtaa hai dhuup mein koi shajar mujhe huun vo ghami ki lab na hansi se hon aashnaa divaar-e-qahqaha bhi jo aae nazar mujhe dil mein buton ke soz-e-mohabbat ne ghar kiyaa goyaa hai dakhl sang mein misl-e-sharar mujhe main sar paTak paTak ke marun yaa'ni us jagah dikhlaa diyaa qazaa ne tiraa sang-e-dar mujhe kaa'be mein jaa ke baiTh rahungaa main dekhnaa tu dair se nikaalegaa ai but agar mujhe mumkin nahin sivaae khudaa 'ilm-e-ghaib ho kyunkar sanam tiri nazar aae kamar mujhe mar jaaun peshtar main ilaahi visaal se furqat mein ziist ki ho tamanna agar mujhe sandal ki justuju hai 'abas faaeda hai kyaa ik dard-e-sar mein aur jo ho dard-e-sar mujhe thi us ke haath mein jo chhaDi aur funduqein kyaa shaakh-e-khushk mein nazar aae samar mujhe raushan dilon se rakhte hain nafrat siyaahkaar makruh jaise vasl ki shab hai sahar mujhe tere sunahre rang pe mujh ko jo hai junun atfaal karte hain hadaf-e-khisht-e-zar mujhe 'naasikh' ba-rang-e-nikhat-e-gul hai safar miraa markab huaa hai dosh-e-nasim-e-sahar mujhe"
saaf qaasid ko vaan javaab milaa — Imam Bakhsh Nasikh
"saaf qaasid ko vaan javaab milaa mere khat kaa yahi javaab milaa aaj zarre ko aaftaab milaa ki mujhe saaghar-e-sharaab milaa kahte hain subh-dam vo dekh ke munh jaa-e-aaina aaftaab milaa be-sabaat apni bazm-e-aish jo hai shisha-e-mai ki jaa habaab milaa bakht ne paai jab ki bedaari mere paa-e-talab ko khvaab milaa ho gayaa dil jo aabla saaqi samjhe ham shisha-e-sharaab milaa gor bhi khud rahi hai mehr ke saath aap khush ho gae khitaab milaa kab se 'naasikh' ye justuju hai mujhe aaj vo khaanumaan-kharaab milaa"
صاف قاصد کو واں جواب ملا میرے خط کا یہی جواب ملا آج ذرے کو آفتاب ملا کہ مجھے ساغر شراب ملا کہتے ہیں صبح دم وہ دیکھ کے منہ جائے آئینہ آفتاب ملا بے ثبات اپنی بزم عیش جو ہے شیشۂ مے کی جا حباب ملا بخت نے پائی جب کہ بیداری میرے پائے طلب کو خواب ملا ہو گیا دل جو آبلہ ساقی سمجھے ہم شیشۂ شراب ملا گور بھی کھد رہی ہے مہر کے ساتھ آپ خوش ہو گئے خطاب ملا کب سے ناسخؔ یہ جستجو ہے مجھے آج وہ خانماں خراب ملا
साफ़ क़ासिद को वाँ जवाब मिला मेरे ख़त का यही जवाब मिला आज ज़र्रे को आफ़्ताब मिला कि मुझे साग़र-ए-शराब मिला कहते हैं सुब्ह-दम वो देख के मुँह जा-ए-आईना आफ़्ताब मिला बे-सबात अपनी बज़्म-ए-ऐश जो है शीशा-ए-मय की जा हबाब मिला बख़्त ने पाई जब कि बेदारी मेरे पा-ए-तलब को ख़्वाब मिला हो गया दिल जो आबला साक़ी समझे हम शीशा-ए-शराब मिला गोर भी खुद रही है मेहर के साथ आप ख़ुश हो गए ख़िताब मिला कब से 'नासिख़' ये जुस्तुजू है मुझे आज वो ख़ानुमाँ-ख़राब मिला

More by Imam Bakhsh Nasikh
View all →"ab ki holi mein rahaa be-kaar rang aur hi laayaa firaaq-e-yaar rang surkh-ru kar de sharaab aai bahaar hai khizaan se zard ai khummaar rang honT uude sabz khat aankhein siyaah chehre kaa surkh-o-safed ai yaar rang ham ko saare gulshan-e-aafaaq mein bas pasand aae yahi do-chaar rang ghair se kheli hai holi yaar ne Daale mujh par dida-e-khun-baar rang kis ki holi jashn-e-nau-rozi hai aaj surkh mai se saaqiyaa dastaar rang hijr-e-jaanaan mein Thahartaa hi nahin kyaa hi mere munh se hai bezaar rang kyaa hai girgiT aasmaan ke saamne badle ik ik dam mein sau sau baar rang aati hai o qais lailaa dasht mein khun-e-paa se jild ab pur-khaar rang dhuup hai par mere roz-e-hijr kaa hai ba-rang-e-saaya-e-divaar rang ho gayaa kyuun zard 'naasikh' kyaa kahun hai zamaane kaa ajab ai yaar rang"
"qadah liye hue gul misl-e-baada-khvaar aayaa khizaan chaman se gai mausam-e-bahaar aayaa kisi tariq se dil mein agar ghubaar aayaa huaa yaqin ye mujh ko vo shah-savaar aayaa tamaam 'umr yuun hi ho gai basar apni shab-e-firaaq gai roz-e-intizaar aayaa gul-e-savaar-o-payaada shikast khaa gae sab chaman mein jab tan-e-tanhaa vo shahsavaar aayaa khabar kare koi zaahid ko aae bahr-e-madad shikast-e-tauba ko phir mausam-e-bahaar aayaa sharaab kyon na chale fasl-e-gul mein ai zaahid ki nahrein jaari huiin mausam-e-bahaar aayaa diye falak ne mire sar ko kaTte hi gul-daagh gila nahin koi paanv tale jo khaar aayaa chaman mein koi gul-e-tar jo shaakh par dekhaa to mujh ko yaad vo mahbub nai-savaar aayaa kabhi jo sair-e-chaman ko vo nai-savaar gayaa gul-e-piyaada ye samjhe ki gul-savaar aayaa lab us ke pista zaqan seb aankhein hain baadaam khule jo daant hansi mein nazar anaar aayaa jo gosh-e-gul na sune baagh mein to kyaa chaara qafas se naala-e-bulbul hazaar baar aayaa tiri savaari mein kab panj shaakhe hain ai sarv jilau mein sehn-e-gulistaan se hai chinaar aayaa shikast paai hai tauba ki tarah us ko bhi hamaare paas jo ai mai-kasho khumaar aayaa ye naazuki ke hain maa'ni ke baagh mein vo gul qarib aatish-e-gul jo gayaa bukhaar aayaa kabhi na qatra diyaa tu ne saaqiyaa mujh ko udhar na aatish-e-mai kaa koi sharaar aayaa misaal-e-sang-e-garaan jaan nahin jo baiTh rahun ki is jahaan mein huun surat-e-sharaar aayaa lagaa jo tiir tiraa sina-e-mushabbak mein main khush huaa ki mire daam mein shikaar aayaa dikhaa ke baagh mein aankhein chaDhi hui apni vo nashsha dida-e-nargis se aaj utaar aayaa"
"rif'at kabhi kisi ki gavaaraa yahaan nahin jis sar-zamin ke ham hain vahaan aasmaan nahin do roz ek vaz' pe rang-e-jahaan nahin vo kaun saa chaman hai ki jis ko khizaan nahin 'ibrat ki jaa hai laakhon hi tifl o javaan nahin piiri mein bhi khayaal ajal kaa yahaan nahin dushman agar vo dost huaa hai to kyaa 'ajab yaan e'timaad-e-dosti-e-jism-o-jaan nahin raftaar naaz mein ye lachak jaati hai ki bas goyaa tiri kamar mein sanam ustukhvaan nahin mun'im ke shukr mein bhi hilaaein kabhi kabhi tanhaa baraae-lazzat-e-duniyaa zabaan nahin pazhmurda ek hai to shagufta hai dusraa baagh-e-jahaan mein fasl-e-bahaar-o-khizaan nahin jin ke suron par aap magas-raaan rahe humaa un kaa lahad mein aaj koi ustukhvaan nahin dhokaa na khaa zuruf-e-vazu ko tu dekh kar masjid hai mai-farosh ki 'naasikh' dukaan nahin"
"haae laayaa na koi qaasid-e-dilbar kaaghaz ho gayaa gham se hamaaraa tan-e-laaghar kaaghaz naama-e-yaar ke likhne ko mujhe arzaan hai tol de gar koi sone ke baraabar kaaghaz yuun lifaafe mein hamaaraa hai kalaam-e-shirin jis tarah baandhte hain qand ke uupar kaaghaz naa-tavaani se nahin hai mujhe mumkin harakat main huun harfon ki tarah meraa hai bistar kaaghaz haal likkhaa hai jo main ne badan-e-laaghar kaa le uDaa tinke ki maanind kabutar kaaghaz main ne likkhaa hai jo apnaa ye musibat-naama mohr karne ko karun ashk se ab tar kaaghaz mere naame ko agar dast-e-hinaai mein vo le varaq-e-gul se bhi ho rang mein behtar kaaghaz haal-e-soz-e-gham-e-furqat karun tahrir to ho kabk ki chonch qalam baal samundar kaaghaz is qadar misl-e-qalam main ne jabin-saai ki ban gayaa ghis ke dar-e-yaar kaa patthar kaaghaz yaar ne khat mein jo likkhaa hai ki na aanaa hargiz ho gayaa mere liye sadd-e-sikandar kaaghaz saath naame ke gai jaan bhi su-e-jaanaan ho gayaa taair-e-jaan ke liye shahpar kaaghaz nahin tohfa khat-e-jaanaan ke baraabar koi hai mujhe qand-o-zaqan se kahin behtar kaaghaz jaa-e-jarraah ki ab naama-bar aa pahunchaa hai badle phaahe ke rakhun daagh-e-jigar par kaaghaz kyaa main iflaas mein khat yaar ko likkhun 'naasikh' na qalam hai na siyaahi na mayassar kaaghaz"
"hai dil-e-sozaan mein tuur us ki tajalli-gaah kaa ru-e-aatishnaak har shola hai meri aah kaa vasl kyaa ham khaaksaaron ko ho is dil-khvaah kaa khaak mein aaluda honaa kab hai mumkin maah kaa nur-afshaan jab se hai dil mein khayaal us maah kaa tuur kaa shola dhuaan hai meri sham-e-aah kaa qaamat-e-mauzun nazar aae mujhe jaa-e-alif thaa shuru-e-aashiqi din meri bismillaah kaa samjhe mai-kash dekh kar abru tiri baalaa-e-chashm mai-kade se martaba aalaa hai baitullaah kaa aamad-e-khat mein to hone de nigaahon kaa guzar dekh le bachne nahin paataa hai sabza raah kaa khalq ne quraan dekhaa jab huaa maah-e-rajab ham ne dekhaa mushaf-e-rukhsaar apne maah kaa aate hi us tifl ke raushan siyah-khaana huaa shama saan jalva hai us ke qaamat-e-kotaah kaa yaar kaa 'naasikh' phaTaa hai pairahan to aib kyaa hai kataan ko chaak karnaa kaam nur-e-maah kaa"
More on Dil
View all →"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"khurshid jhaanktaa hai ridaa-e-sahaab se yaa nuur chhan rahaa hai kisi ke naqaab se baahar jo aaj dekh liyaa hai hijaab se suraj laraz rahaa hai tumhaare shabaab se naaseh Daraa rahe the khudaa ke 'azaab se khud hi janaab baaz na aae sharaab se lamhe guzar chuke hain jo phulon ki sej par is daur-e-pur-khatar mein vo lagte hain khvaab se khud ko to pahle dekhiye phir kahiye bevafaa bas itni iltijaa hai hamaari janaab se har roz ik na ik nai zid hai zabaan par tang aa gayaa huun main dil-e-khaana-kharaab se ahl-e-vafaa mein meraa vahi naam paD gayaa tum ne mujhe navaaz diyaa jis khitaab se kin manzilon pe meraa nishaan-e-qadam nahin puchho miraa maqaam mah-o-aaftaab se jo husn kaa kahin bhi tahaffuz na kar sake phir kaun saa hai faaeda aisi naqaab se saaya bhi jis hasin kaa DhunDe na mil sakaa be-misl vo khudaa ke hue intikhaab se sun kar hamaare she'r vo kuchh muskuraa diye 'faaruq' aaj ham bhi rahe kaamyaab se"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"
"kisi ki mehrbaani ho gai hai ayaan dil ki kahaani ho gai hai hare mausam ki pahli khvaahishein uf khushi gham ki divaani ho gai hai sabhi afraad ghar ke so gae hain bahut lambi kahaani ho gai hai rivaayat kaa hai ab bhi sahar qaaem har ik jiddat puraani ho gai hai pas-e-chehra milaa ik aur chehra 'aqidat paani paani ho gai hai"