"pahle to ik charaagh jalaayaa hai der tak phir baad mein havaa se bachaayaa hai der tak mujh pe nazar thi mere raqibon ki is liye main ne bhi khuub rang jamaayaa hai der tak jis ne ye kah diyaa main kisi kaam kaa nahin ehsaas us ko apnaa karaayaa hai der tak guzraa nahin thaa shakhs jo mere qarib se us ne bulaa ke paas biThaayaa hai der tak kar luun yaqin us pe magar masala hai ye be-vajah us ne haath milaayaa hai der tak paani se dho liye the sabhi daagh jism ke daaman kaa daagh us ne chhuDaayaa hai der tak kuchh to lahu kaa rang bhi halkaa nikal gayaa kuchh vaqt ne bhi khel dikhaayaa hai der tak"
khushiyon ne intizaar karaayaa hai umr-bhar — Raghvendra Dwivedi
"khushiyon ne intizaar karaayaa hai umr-bhar ujDaa huaa dayaar sajaayaa hai umr-bhar chhoTe se kaam mein bhi bahut kharch main huaa mujh ko yuun zindagi ne sataayaa hai umr-bhar har vaqt jo charaagh havaa ki nazar mein thaa ham ne vahi charaagh jalaayaa hai umr-bhar apnaa rahaa nahin hai mukammal koi pata khvaabon kaa ek shahr basaayaa hai umr-bhar mujh ko agar zaraa saa diyaa hai to baad mein ehsaan zindagi ne jataayaa hai umr-bhar do chaar sher kah bhi sakaa vo bhi is liye ham ne ghazal pe ishq luTaayaa hai umr-bhar"
خوشیوں نے انتظار کرایا ہے عمر بھر اجڑا ہوا دیار سجایا ہے عمر بھر چھوٹے سے کام میں بھی بہت خرچ میں ہوا مجھ کو یوں زندگی نے ستایا ہے عمر بھر ہر وقت جو چراغ ہوا کی نظر میں تھا ہم نے وہی چراغ جلایا ہے عمر بھر اپنا رہا نہیں ہے مکمل کوئی پتہ خوابوں کا ایک شہر بسایا ہے عمر بھر مجھ کو اگر ذرا سا دیا ہے تو بعد میں احسان زندگی نے جتایا ہے عمر بھر دو چار شعر کہہ بھی سکا وہ بھی اس لیے ہم نے غزل پہ عشق لٹایا ہے عمر بھر
ख़ुशियों ने इंतिज़ार कराया है उम्र-भर उजड़ा हुआ दयार सजाया है उम्र-भर छोटे से काम में भी बहुत ख़र्च मैं हुआ मुझ को यूँ ज़िंदगी ने सताया है उम्र-भर हर वक़्त जो चराग़ हवा की नज़र में था हम ने वही चराग़ जलाया है उम्र-भर अपना रहा नहीं है मुकम्मल कोई पता ख़्वाबों का एक शहर बसाया है उम्र-भर मुझ को अगर ज़रा सा दिया है तो बाद में एहसान ज़िंदगी ने जताया है उम्र-भर दो चार शेर कह भी सका वो भी इस लिए हम ने ग़ज़ल पे इश्क़ लुटाया है उम्र-भर

More by Raghvendra Dwivedi
View all →"apne paraae sab se nibhaataa hai kis tarah logon ke saath pesh tu aataa hai kis tarah gahri kisi bhi niind se achchhaa hai jaagnaa soyaa huaa zamir jagaataa hai kis tarah ham vaqt ko parakhne se pahle ye dekh lein ye vaqt ham ko paaTh paDhaataa hai kis tarah be-shak tu kar savaal tiri zindagi hai par tu zindagi kaa saath nibhaataa hai kis tarah us ko gale lagaane se pahle ye dekhnaa vo shakhs tum se haath milaataa hai kis tarah"
"duniyaa ne yahi mujh ko har baar bataayaa hai koi bhi nahin apnaa har shakhs paraayaa hai ye vaqt mujhe aksar letaa hai nishaane par main ne bhi ise apnaa andaaz dikhaayaa hai aandhi ne giraae hain kuchh peD baDe lekin mushkil mein khaDe rahnaa ye paaTh paDhaayaa hai ik raah judaa hoti ik raah nazar aati manzil kaa pata us ne kuchh yuun bhi bataayaa hai karnaa hai baDaa khud ko to soch baDi rakhnaa gamle mein bhalaa kis ne bargad ko ugaayaa hai jo aankh ki had mein thaa dekhaa hai vahi pahle phir dil ki nigaahon ne kuchh aur dikhaayaa hai"
"tayyaar huun jis shakhs par saansein luTaane ke liye vo chal rahaa hai chaal mujh ko aazmaane ke liye rishte banaane se kabhi chalte nahin hain umr-bhar aadaab aane chaahiyein rishta nibhaane ke liye main vo nahin jis ko mili hai raushni khairaat mein mujh ko bahut jalnaa paDaa hai jagmagaane ke liye aasaan hai sar ko jhukaa denaa kisi darbaar mein lekin kaleja chaahiye sar ko uThaane ke liye kuchh tai nahin hai zindagi mein vaqt rone kaa magar maaqul hai har ek lamha muskuraane ke liye"
"zehn ke charaaghon ko muddaton jalaayaa hai tab kahin hunar mujh mein sochne kaa aaya hai aap ye samajhte hain yunhi mil gai mujh ko is zamin ki khaatir aasmaan uThaayaa hai jis jagah samundar mein kashtiyon ne dam toDaa aankh ne vahi manzar der tak dikhaayaa hai daagh lagne kaa khatra jab bhi baDh gayaa main ne jism ko kinaare rakh ruuh ko bachaayaa hai us ke baad aankhon ne aur kuchh nahin dekhaa ek khvaab ne mujh ko umr-bhar jagaayaa hai vaqt hi nahin deti sochne samajhne kaa zindagi ne ujlat mein raasta dikhaayaa hai manzilon ki baatein bhi ek din kareinge ham raah mein abhi ham ne ik qadam baDhaayaa hai"
"fursat mile kabhi to garebaan mein jhaankiye khud ko tu dekh le vo hunar bhi taraashiye achchhe-bure kaa farq samajhnaa bhi siikh le duniyaa ko ik nazar se hamesha na dekhiye suraj ugaa to dhuup tire paas aa gai ab dhuup ko banaane kaa daavaa na kijiye duniyaa mein aur log bhi behtar hain aap se duniyaa ko dekh aur ye sach maan lijiye jo kuchh milaa tujhe vo khudaa ne ataa kiyaa naadaan apne aap ko sab kuchh na maaniye dil ko sukun jahaan bhi mile us taraf chalein jaanaa na ho jidhar to udhar rukh na kijiye"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"jaagte hi nazar akhbaar mein kho jaati hai zindagi dard ke ambaar mein kho jaati hai naa-khudaa aql ke patvaar uThaataa hai ki jab kashti-e-dil miri manjdhaar mein kho jaati hai be-sabab sochne vaale kabhi sochaa tu ne aagahi kasrat-e-afkaar mein kho jaati hai uDte rahte hain khayaalaat ke jugnu phir bhi baat kyuun parda-e-izhaar mein kho jaati hai us ke kaamon kaa hai rangin khushaamad pe madaar aur mehnat miri isaar mein kho jaati hai hurmat-e-parda zaruri hai 'ataa-ji' varna chiiz jaisi bhi ho baazaar mein kho jaati hai"