SHAWORDS

soe raat ko rote-rote — Nayyar Wasti

HomeNayyar WastiGhazal
"soe raat ko rote-rote uTh baiThe phir sote-sote kaash vo zeb-e-baalin hote ham chaunk uThte sote-sote khatm huaa afsaana-e-hasti hanste-hanste rote-rote biit chali barsaat bhi aakhir kaaT diin raatein rote-rote teri yaad mein o pardesi umr ganvaa di rote-rote suukh gaiin aashaaon ki kaliyaan faiz-e-bahaaraan hote-hote shor hai har su 'nayyar' 'nayyar' ho gae charche hote-hote"
Urdu

سوئے رات کو روتے روتے اٹھ بیٹھے پھر سوتے سوتے کاش وہ زیب بالیں ہوتے ہم چونک اٹھتے سوتے سوتے ختم ہوا افسانۂ ہستی ہنستے ہنستے روتے روتے بیت چلی برسات بھی آخر کاٹ دیں راتیں روتے روتے تیری یاد میں او پردیسی عمر گنوا دی روتے روتے سوکھ گئیں آشاؤں کی کلیاں فیض بہاراں ہوتے ہوتے شور ہے ہر سو نیرؔ نیرؔ ہو گئے چرچے ہوتے ہوتے

Hindi

सोए रात को रोते-रोते उठ बैठे फिर सोते-सोते काश वो ज़ेब-ए-बालीं होते हम चौंक उठते सोते-सोते ख़त्म हुआ अफ़्साना-ए-हस्ती हँसते-हँसते रोते-रोते बीत चली बरसात भी आख़िर काट दीं रातें रोते-रोते तेरी याद में ओ परदेसी उम्र गँवा दी रोते-रोते सूख गईं आशाओं की कलियाँ फ़ैज़-ए-बहाराँ होते-होते शोर है हर सू 'नय्यर' 'नय्यर' हो गए चर्चे होते-होते

so.e raat ko rote-rote
N
Nayyar Wasti
Nayyar Wasti
poet8 quotes

More by Nayyar Wasti

View all →
Quote
"bahaar-e-subh ne gul ko rulaa ke chhoD diyaa sharaab-e-naab ko shabnam banaa ke chhoD diyaa koi bataae ki is naakhudaa ko kyaa kahiye safina jis ne bhanvar mein phansaa ke chhoD diyaa vo sakht-jaan huun ki jab kaamyaab ho na saki tiri jafaa ne mujhe aazmaa ke chhoD diyaa tiri nazar ki bahaar-aafriniyon ke nisaar ki zakhm-e-dil ko gul-e-tar banaa ke chhoD diyaa sitam hai teri jafaa-e-vafaa-numaa ki mujhe jafaa-o-jaur kaa khugar banaa ke chhoD diyaa vahi hai zamzama-pairaa dilon mein ai 'nayyar' jise nasib ne shaair banaa ke chhoD diyaa"
N
Nayyar Wasti

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer