SHAWORDS

jab naqaab-e-rukh-e-zebaa vo uThaa dete hain — Nayyar Wasti

HomeNayyar WastiGhazal
"jab naqaab-e-rukh-e-zebaa vo uThaa dete hain dil-e-har-zarra ko aaina banaa dete hain ruuh ko soz diyaa daagh jigar ko bakhshaa hazrat-e-ishq ajab daad-e-sakhaa dete hain subh-dam sehn-e-gulistaan mein sabaa ke jhonke aatish-e-dard-e-mohabbat ko havaa dete hain ab bhi ik ghairat-e-naahid ke naghme aksar umr-e-rafta ko miri mujh se milaa dete hain 'nayyar'-e-zaar ki qismat bhi jagaate jaate aap soe hue fitne to jagaa dete hain"
Urdu

جب نقاب رخ زیبا وہ اٹھا دیتے ہیں دل ہر ذرہ کو آئینہ بنا دیتے ہیں روح کو سوز دیا داغ جگر کو بخشا حضرت عشق عجب داد سخا دیتے ہیں صبح دم صحن گلستاں میں صبا کے جھونکے آتش درد محبت کو ہوا دیتے ہیں اب بھی اک غیرت ناہید کے نغمے اکثر عمر رفتہ کو مری مجھ سے ملا دیتے ہیں نیرؔ زار کی قسمت بھی جگاتے جاتے آپ سوئے ہوئے فتنے تو جگا دیتے ہیں

Hindi

जब नक़ाब-ए-रुख़-ए-ज़ेबा वो उठा देते हैं दिल-ए-हर-ज़र्रा को आईना बना देते हैं रूह को सोज़ दिया दाग़ जिगर को बख़्शा हज़रत-ए-इश्क़ अजब दाद-ए-सख़ा देते हैं सुब्ह-दम सह्न-ए-गुलिस्ताँ में सबा के झोंके आतिश-ए-दर्द-ए-मोहब्बत को हवा देते हैं अब भी इक ग़ैरत-ए-नाहीद के नग़्मे अक्सर उम्र-ए-रफ़्ता को मिरी मुझ से मिला देते हैं 'नय्यर'-ए-ज़ार की क़िस्मत भी जगाते जाते आप सोए हुए फ़ित्ने तो जगा देते हैं

jab naqāb-e-ruḳh-e-zebā vo uThā dete haiñ
N
Nayyar Wasti
Nayyar Wasti
poet8 quotes

More by Nayyar Wasti

View all →
Quote
"bahaar-e-subh ne gul ko rulaa ke chhoD diyaa sharaab-e-naab ko shabnam banaa ke chhoD diyaa koi bataae ki is naakhudaa ko kyaa kahiye safina jis ne bhanvar mein phansaa ke chhoD diyaa vo sakht-jaan huun ki jab kaamyaab ho na saki tiri jafaa ne mujhe aazmaa ke chhoD diyaa tiri nazar ki bahaar-aafriniyon ke nisaar ki zakhm-e-dil ko gul-e-tar banaa ke chhoD diyaa sitam hai teri jafaa-e-vafaa-numaa ki mujhe jafaa-o-jaur kaa khugar banaa ke chhoD diyaa vahi hai zamzama-pairaa dilon mein ai 'nayyar' jise nasib ne shaair banaa ke chhoD diyaa"
N
Nayyar Wasti

More on Gul

View all →
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"kaam liyaa jab lafzon hi se khud ko bas naakaam kiyaa baat asar-andaaz hui jab she'ron ko paighaam kiyaa ye kaise saari duniyaa mein aaj bahut mashhur ho tum vaise to saari duniyaa ne tum ko bahut gumnaam kiyaa yak-rangi se 'aajiz aa kar rangaa-rangi ki khaatir jo mujh ko raas aayaa thaa us nilam ko nilaam kiyaa aksar tanhaai mein mujh ko yaad aa jaataa hai vo sab haan aaghaaz se pahle hi jis ko main ne anjaam kiyaa khaamoshi pas fan hai khudaa kaa sikhaa ham ne bhi lekin har-su roz machaayaa tahalka yaa paidaa kohraam kiyaa vaqt ke saath aur aap ke haathon qadrein kitni badli hain ek ilzaam se kitnaa kam hai haasil jo in'aam kiyaa kahiye husn aur 'ishq ko de kar apne dil ke khuun kaa lams kis ne use gul-rang kiyaa phir kis ne use gulfaam kiyaa ab kaa fasaad aaraam se guzre is koshish mein us ne to qashqa khinchaa dair mein baiThaa kab kaa tark islaam kiyaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"log kahte hain ki qaatil ko masihaa kahiye kaise mumkin hai andheron ko ujaalaa kahiye chehre paDhnaa to sabhi siikh gae hain lekin kaisi tahzib hai apnon ko paraayaa kahiye jaane pahchaane hue chehre nazar aate hain vaqt qaatil hai yahaan kis ko masihaa kahiye aap jis peD ke saae mein khaDe hain is ko sehn-e-gulshan nahin jaltaa huaa sahraa kahiye sab ke chehron pe hain akhlaaq-o-muravvat ke naqaab kis ko apnaa yahaan aur kis ko paraayaa kahiye shab ke maathe pe koi saaya numudaar huaa us ko ab pyaar ke aangan kaa saveraa kahiye zahr-e-tanhaai-e-gham pi ke mohabbat mein 'khayaal' kis tarah maut ko jiine kaa sahaaraa kahiye"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid
Quote
"ab tire lams ko yaad karne kaa ik silsila aur divaana-pan rah gayaa tu kahin kho gayaa aur pahlu mein teri shabaahat liye ik badan rah gayaa vo saraapaa tiraa vo tire khaal-o-khad meri yaadon mein sab muntashir ho gae lafz ki justuju mein laraztaa huaa nim-vaa saa faqat ik dahan rah gayaa harf ke harf se kyaa tazaadaat hain tu ne bhi kuchh kahaa main ne bhi kuchh kahaa tere pahlu mein duniyaa simaTti gai mere hisse mein harf-e-sukhan rah gayaa tere jaane se mujh par ye uqda khulaa rang-o-khushbu to bas teri miraas the ek hasrat saji rah gai gul-ba-gul ek maatam chaman-dar-chaman rah gayaa ek be-naam khvaahish ki paadaash mein teri palkein bhi baaham piro di gaiin ek vahshat ko sairaab karte hue mein bhi aankhon mein le kar thakan rah gayaa arsa-e-khvaab se vaqt maujud ke raaste mein ganvaa di gai guftugu ek israar ki bebasi rah gai ek inkaar kaa baankpan rah gayaa tu sitaaron ko apni jilau mein liye jaa rahaa thaa tujhe kyaa khabar kyaa huaa ik tamannaa dariche mein baiThi rahi ek bistar kahin be-shikan rah gayaa"
Irfan SattarIrfan Sattar