"bichhaD ke tujh se kisi dusre pe marnaa hai ye tajraba bhi isi zindagi mein karnaa hai havaa darakhton se kahti hai dukh ke lahje mein abhi mujhe kai sahraaon se guzarnaa hai main manzaron ke ghane-pan se khauf khaataa huun fanaa ko dast-e-mohabbat yahaan bhi dharnaa hai talaash-e-rizq mein dariyaa ke panchhiyon ki tarah tamaam umr mujhe Dubnaa ubharnaa hai udaasiyon ke khad-o-khaal se jo vaaqif ho ik aise shakhs ko aksar talaash karnaa hai"
suraj ki tarah qariya-e-mahtaab mein aayaa — Asad Badayuni
"suraj ki tarah qariya-e-mahtaab mein aayaa raat ek ajab shakhs mire khvaab mein aayaa kyaa lahr thi jo mujh ko lagaa aai kinaare kis mauj se phir halqa-e-girdaab mein aayaa ye shahr to sahraaon ki sarhad pe basaa thaa kaise ye kharaaba kaf-e-sailaab mein aayaa ik yaad se raushan hue divaar-o-dar-o-baam kham ek nai tarah kaa mehraab mein aayaa pahle to dhanak-rang mein Duubaa ufuq-e-jaan phir manzar-e-hijraan bhi tab-o-taab mein aayaa ik shakhs ki yaktaa thaa darida-dahni mein zikr us kaa magar pyaar se ahbaab mein aayaa"
سورج کی طرح قریۂ مہتاب میں آیا رات ایک عجب شخص مرے خواب میں آیا کیا لہر تھی جو مجھ کو لگا آئی کنارے کس موج سے پھر حلقۂ گرداب میں آیا یہ شہر تو صحراؤں کی سرحد پہ بسا تھا کیسے یہ خرابہ کف سیلاب میں آیا اک یاد سے روشن ہوئے دیوار و در و بام خم ایک نئی طرح کا محراب میں آیا پہلے تو دھنک رنگ میں ڈوبا افق جاں پھر منظر ہجراں بھی تب و تاب میں آیا اک شخص کہ یکتا تھا دریدہ دہنی میں ذکر اس کا مگر پیار سے احباب میں آیا
सूरज की तरह क़रिया-ए-महताब में आया रात एक अजब शख़्स मिरे ख़्वाब में आया क्या लहर थी जो मुझ को लगा आई किनारे किस मौज से फिर हल्क़ा-ए-गिर्दाब में आया ये शहर तो सहराओं की सरहद पे बसा था कैसे ये ख़राबा कफ़-ए-सैलाब में आया इक याद से रौशन हुए दीवार-ओ-दर-ओ-बाम ख़म एक नई तरह का मेहराब में आया पहले तो धनक-रंग में डूबा उफ़ुक़-ए-जाँ फिर मंज़र-ए-हिज्राँ भी तब-ओ-ताब में आया इक शख़्स कि यकता था दरीदा-दहनी में ज़िक्र उस का मगर प्यार से अहबाब में आया

More by Asad Badayuni
View all →"vo ek naam jo dariyaa bhi hai kinaaraa bhi rahaa hai us se bahut raabta hamaaraa bhi chaman vahi ki jahaan par labon ke phuul khilein badan vahi ki jahaan raat ho gavaaraa bhi hamein bhi lamha-e-rukhsat se haul aataa hai judaa huaa hai koi mehrbaan hamaaraa bhi alaamat-e-shajar-e-saaya-daar bhi vo jism kharaabi-e-dil-o-dida kaa istiaara bhi ufuq thakan ki ridaa mein lipaTtaa jaataa hai so ham bhi chup hain aur is shaam kaa sitaaraa bhi"
"jalva-saamaan rukh-e-jaanaan na huaa thaa so huaa zarra zarra mah-e-taabaan na huaa thaa so huaa kuchh to pahle se hi afsurda the ahl-e-gulshan kuchh ye gham khun-e-bahaaraan na huaa thaa so huaa main ne dekhaa hai tiri kam-nigahi kaa anjaam aashnaa-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye inaayat ye tiraa jud-o-karam hai ki mujhe shikva-e-tangi-e-daamaan na huaa thaa so huaa allaah allaah mai-o-minaa kaa asar bhi kyaa hai kuchh ilaaj-e-gham-e-dauraan na huaa thaa so huaa ye tire sher tiraa husn-e-taghazzul 'asad' tire sheron se jo shaadaan na huaa thaa so huaa"
"shoala-e-tanhaai se sab baam-o-dar jal jaaeinge chand din ki baat hai buDhe khanDar jal jaaeinge ek din is dasht par suraj kaa dil aa jaaegaa ek din is dasht ke saare shajar jal jaaeinge jaaegaa azm-e-safar manzil pe tanhaa dosto raah ki garmi se sab ahl-e-safar jal jaaeinge sun rahaa huun jald hi barseinge sang-e-aaftaab aur mere shahr mein jitne hain ghar jal jaaeinge khaak rah jaaegi ik muTThi haqiqat ki faqat saare afsaane tavil-o-mukhtasar jal jaaeinge mujh ko kyon detaa hai tu unchi uDaanon ki sazaa dhuup kaa mausam hai zaalim mere par jal jaaeinge aag har lamha taaaqub kar rahi hai aap kaa aap 'asad' laakh rahiye baa-khabar jal jaaeinge"
"mire shajar tujhe mausam nayaa banaate rahein gulaab-e-sabr tiri Tahniyon pe aate rahein jo doston ki kamaanon ko tiir detaa hai hamein ye zarf bhi bakhshe ki zakhm khaate rahein bas ik charaagh hai apni mata-e-besh-bahaa so shaam aati rahe ham use jalaate rahein sahar ke rang darichon ko sair karte jaaein havaa ke jhonke khule aanganon mein aate rahein kabhi kabhi koi suraj tulu hotaa rahe ridaa-e-abr mein taare bhi munh chhupaate rahein fasil-e-shahr-e-anaa rafta rafta girti jaae ye zalzale miri jaan mein hamesha aate rahein"
"jis ko honaa hai vo in aankhon se ojhal ho jaae us se pahle ki miraa kaam mukammal ho jaae main to bas dekhtaa rahtaa huun zaminon ke kaTaao aadmi sochne vaalaa ho to paagal ho jaae kahin aisaa na ho viraane hon phir se aabaad kahin aisaa na ho har shahr hi jangal ho jaae ye zamin jis pe hai gulzaaron ki taadaad bahut ye bhi ho saktaa hai kal ko vahi maqtal ho jaae reg-zaaron se bukhaaraat hi uThte hain magar kaun jaane ki ye garmi koi baadal ho jaae meraa pindaar hi divaar hai naakaami ki ye jo gir jaae to har khvaab mukammal ho jaae"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"