Quote
"ye mujh se puchhte hain chaaragar kyuun ki tu zinda to hai ab tak magar kyuun jo rasta chhoD ke main jaa rahaa huun usi raste pe jaati hai nazar kyuun thakan se chuur paas aayaa thaa us ke giraa sote mein mujh par ye shajar kyuun sunaaeinge kabhi fursat mein tum ko ki ham barson rahe hain dar-ba-dar kyuun yahaan bhi sab hain begaana hi mujh se kahun main kyaa ki yaad aayaa hai ghar kyuun main khush rahtaa agar samjhaa na hotaa ye duniyaa hai to main huun dida-var kyuun"
