SHAWORDS

ye nasib-e-shaairi hai zahe shaan-e-kibriyaai — Josh Malihabadi

"ye nasib-e-shaairi hai zahe shaan-e-kibriyaai ki mile na zindagi bhar mujhe daad-e-khush-navaai ba-khudaa azim-tar hai shohdaa ke khuun se bhi mire sina-e-qalam mein jo bhari hai raushnaai ye ajiib maajraa hai ki khadyau-e-haft-qulzum taraf-e-saraab dauDe pai-e-qismat-aazmaai falak aur use jhukaae sar-e-manzil-e-safihaan malak aaein jis ke dar par ba-havaa-e-jabha-saai chaman-e-shuur-e-nau ko jo lahu se apne sinche kabhi us ko sukh na bakhshe koi panja-e-hinaai hama saaz huun ba-zaahir hama soz huun ba-baatin miri zindagi bukaai miri shaairi ghinaai mire taar o paud larzaan ba-havaa-e-naa-muraadi mire khadd-o-khaal darakhshaan ba-tabassum-e-riyaai miraa dil hai girya maskan mire lab taraana manzil miri nai shikast-e-khaatir miri lai hai momyaai miraa jaam-e-shab sulemaan hama taaj-e-khusravaana miri chashm-e-roz paimaa hama kaasa-e-gadaai miri baargaah-e-hasti hama ijz bandagaana miri baargaah-e-masti hama satvat-e-khudaai dar-e-khalq par jhukaa hai na jhukegaa taa qayaamat sar-e-'josh' mein bharaa hai vo ghurur-e-kibriyaai"
Urdu

یہ نصیب شاعری ہے زہے شان کبریائی کہ ملے نہ زندگی بھر مجھے داد خوش نوائی بخدا عظیم تر ہے شہدا کے خون سے بھی مرے سینۂ قلم میں جو بھری ہے روشنائی یہ عجیب ماجرا ہے کہ خدیو ہفت قلزم طرف سراب دوڑے پئے قسمت آزمائی فلک اور اسے جھکائے سر منزل سفیہاں ملک آئیں جس کے در پر بہ ہوائے جبہ سائی چمن شعور نو کو جو لہو سے اپنے سینچے کبھی اس کو سکھ نہ بخشے کوئی پنجۂ حنائی ہمہ ساز ہوں بظاہر ہمہ سوز ہوں بہ باطن مری زندگی بکائی مری شاعری غنائی مرے تار و پود لرزاں بہ ہوائے نا مرادی مرے خد و خال درخشاں بہ تبسم ریائی مرا دل ہے گریہ مسکن مرے لب ترانہ منزل مری نے شکست خاطر مری لے ہے مومیائی مرا جام شب سلیماں ہمہ تاج خسروانہ مری چشم روز پیما ہمہ کاسۂ گدائی مری بارگاہ ہستی ہمہ عجز بندگانہ مری بارگاہ مستی ہمہ سطوت خدائی در خلق پر جھکا ہے نہ جھکے گا تا قیامت سر جوشؔ میں بھرا ہے وہ غرور کبریائی

Hindi

ये नसीब-ए-शाइरी है ज़हे शान-ए-किब्रियाई कि मिले न ज़िंदगी भर मुझे दाद-ए-ख़ुश-नवाई ब-ख़ुदा अज़ीम-तर है शोहदा के ख़ून से भी मिरे सीना-ए-क़लम में जो भरी है रौशनाई ये अजीब माजरा है कि ख़दयू-ए-हफ़्त-क़ुल्ज़ूम तरफ़-ए-सराब दौड़े पै-ए-क़िस्मत-आज़माई फ़लक और उसे झुकाए सर-ए-मंज़िल-ए-सफ़ीहाँ मलक आएँ जिस के दर पर ब-हवा-ए-जब्हा-साई चमन-ए-शुऊर-ए-नौ को जो लहू से अपने सींचे कभी उस को सुख न बख़्शे कोई पंजा-ए-हिनाई हमा साज़ हूँ ब-ज़ाहिर हमा सोज़ हूँ ब-बातिन मिरी ज़िंदगी बुकाई मिरी शाइरी ग़िनाई मिरे तार ओ पौद लर्ज़ां ब-हवा-ए-ना-मुरादी मिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल दरख़्शाँ ब-तबस्सुम-ए-रियाई मिरा दिल है गिर्या मस्कन मिरे लब तराना मंज़िल मिरी नय शिकस्त-ए-ख़ातिर मिरी लय है मोम्याई मिरा जाम-ए-शब सुलेमाँ हमा ताज-ए-ख़ुसरवाना मिरी चश्म-ए-रोज़ पैमा हमा कासा-ए-गदाई मिरी बारगाह-ए-हस्ती हमा इज्ज़ बंदगाना मिरी बारगाह-ए-मस्ती हमा सतवत-ए-ख़ुदाई दर-ए-ख़ल्क़ पर झुका है न झुकेगा ता क़यामत सर-ए-'जोश' में भरा है वो ग़ुरूर-ए-किब्रियाई

ye nasīb-e-shā.irī hai zahe shān-e-kibriyā.ī
Josh Malihabadi
Josh Malihabadi
Josh Malihabadi
poet88 quotes

More by Josh Malihabadi

View all →
Quote
"gudaaz-e-dil se baatin kaa tajalli-zaar ho jaanaa mohabbat asl mein hai ruuh kaa bedaar ho jaanaa naved-e-aish se ai dil zaraa hushyaar ho jaanaa kisi taaza musibat ke liye tayyaar ho jaanaa vo un ke dil mein shauq-e-khud-numaai kaa khayaal aanaa vo har shai kaa tabassum ke liye tayyaar ho jaanaa mizaaj-e-husn ko ab bhi na samjho to qayaamat hai hamaaraa aur vafaa ke naam se be-zaar ho jaanaa sahar kaa is tarah angDaai lenaa dil-farebi se udhar shaair ke mahsusaat kaa bedaar ho jaanaa tavassul se tire dil mein bharungaa quvvatein barqi zaraa meri taraf bhi ai nigaah-e-yaar ho jaanaa vo aaraaish mein sab quvvat kisi kaa sarf kar denaa tahammul mein vo har koshish miri bekaar ho jaanaa maaaz-allaah ab ye rang hai duniyaa ki mahfil kaa khudaa kaa naam lenaa aur zalil o khvaar ho jaanaa ragon se khuun saaraa zahr ban kar phuuT niklegaa zaraa ai 'josh' zabt-e-shauq se hushyaar ho jaanaa"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"dil-e-aazaada-rau mein vo tamannaa thi bayaabaan ki qadam rakhte hi shaq hone lagi divaar zindaan ki khudaa ki rahmatein ai mutrib-e-rangin-navaa tujh par ki har kaanTe mein tu ne ruuh dauDaa di gulistaan ki ye saabit kar diyaa tujh ko banaa kar dast-e-qudrat ne ki ho sakti hain itni khubiyaan surat mein insaan ki nasim-e-subh ThanDi saans bharti hai mazaaron par udaasi munh-andhere dekhiye gor-e-gharibaan ki ye aalam kyaa hai ik majmua hai naachiz zarron kaa ye duniyaa kyaa hai ik tarkib ajzaa-e-pareshaan ki havaaon ke vo jhonke vo khule maidaan ki sardi vo lahrein chaand se rukhsaar par zulf-e-pareshaan ki hamaari zindagi kyaa silsila ik dil dhaDakne kaa hamaari maut kyaa jumbish hai ik jazbaat-e-pinhaan ki banaa deingi yaqin hai 'josh' mard-e-baa-khudaa ik din tapish-andoziyaan siine mein barq-e-soz-e-pinhaan ki"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"tajrabe ke dasht se dil ko guzarne ke liye roz ik surat nai hai ghaur karne ke liye jab koi bantaa hai laakhon hastiyon ko meT kar subh taaron ko dabaati hai ubharne ke liye haamil-e-asraar-e-fitrat huun gadaa bhi huun to kyaa baat ye kaafi hai mujh ko fakhr karne ke liye ruuh ko chamkaa khudi ko toD kar ziine banaa do ye tadbirein hain duniyaa mein ubharne ke liye ghaur se dekhaa nizaam-e-dahr to saabit huaa aadmi paidaa huaa hai kaam karne ke liye subh uTh kar aansuon se khuun ke rotaa huun main dil ke naqshe mein vafaa kaa rang bharne ke liye gauhar-e-maqsud khud miltaa hai himmat shart hai muztarib rahtaa hai har moti ubharne ke liye aankh sharmaai hui hai baal peshaani pe hain aaina-khaane mein jaate hain sanvarne ke liye kah do duniyaa ke havaadis se na chheDein is tarah 'josh' ham tayyaar hi baiThe hain marne ke liye"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"is qadar Duubaa huaa dil dard ki lazzat mein hai teraa 'aashiq anjuman hi kyuun na ho khalvat mein hai jazb kar lenaa tajalli ruuh ki 'aadat mein hai husn ko mahfuz rakhnaa 'ishq ki fitrat mein hai mahv ho jaataa huun aksar main ki dushman huun tiraa dilkashi kis darja ai duniyaa tiri surat mein hai uf nikal jaati hai khatre hi kaa mauqa kyuun na ho husn se betaab ho jaanaa miri fitrat mein hai us kaa ik adnaa karishma ruuh vo itnaa 'ajib 'aql istiajaab mein hai falsafa hairat mein hai nuur kaa taDkaa hai dhimi ho chali hai chaandni hil rahaa hai dil miraa masruf vo zinat mein hai"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi
Quote
"meri haalat dekhiye aur un ki surat dekhiye phir nigaah-e-ghaur se qaanun-e-qudrat dekhiye sair-e-mahtaab-o-kavaakib se tabassum taa-bake ro rahi hai vo kisi ki sham-e-turbat dekhiye aap ik jalva saraasar main saraapaa ik nazar apni haajat dekhiye meri zarurat dekhiye apne saamaan-e-taayyush se agar fursat mile bekason kaa bhi kabhi tarz-e-maishat dekhiye muskuraa kar is tarah aayaa na kiije saamne kis qadar kamzor huun main meri surat dekhiye aap ko laayaa huun viraanon mein ibrat ke liye hazrat-e-dil dekhiye apni haqiqat dekhiye sirf itne ke liye aankhein hamein bakhshi gaiin dekhiye duniyaa ke manzar aur ba-ibrat dekhiye maut bhi aai to chehre par tabassum hi rahaa zabt par hai kis qadar ham ko bhi qudrat dekhiye ye bhi koi baat hai har vaqt daulat kaa khayaal aadmi hain aap agar to aadmiyat dekhiye phuuT niklegaa jabin se ek chashma husn kaa subh uTh kar khanda-e-saamaan-e-qudrat dekhiye rashha-e-shabnam bahaar-e-gul farogh-e-mehr-o-maah vaah kyaa ashaar hain divaan-e-fitrat dekhiye is se baDh kar aur ibrat kaa sabaq mumkin nahin jo nashaat-e-zindagi the un ki turbat dekhiye thi khataa un ki magar jab aa gae vo saamne jhuk gaiin meri hi aankhein rasm-e-ulfat dekhiye khush-numaa yaa bad-numaa ho dahr ki har chiiz mein 'josh' ki takhil kahti hai ki nudrat dekhiye"
Josh MalihabadiJosh Malihabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb