SHAWORDS

zindagi kaa banaa sahaaraa bhi — Mahesh Chandra Naqsh

"zindagi kaa banaa sahaaraa bhi aur un ke karam ne maaraa bhi ishq hi phir palaT ke aa na sakaa husn-e-maghrur ne pukaaraa bhi kaun Duubaa jo yuun pashemaan hai mauj-e-tufaan bhi tez dhaaraa bhi ham na duniyaa ki raah par chalte dil ko hotaa agar gavaaraa bhi umr bhar tirgi se khele hai koi hanstaa huaa sitaaraa bhi phuul rote hain khaar hanste hain dekh! gulshan kaa ye nazaaraa bhi dil ki duniyaa to jagmagaa uTThe 'naqsh' bhaDke koi sharaaraa bhi"
Urdu

زندگی کا بنا سہارا بھی اور ان کے کرم نے مارا بھی عشق ہی پھر پلٹ کے آ نہ سکا حسن مغرور نے پکارا بھی کون ڈوبا جو یوں پشیماں ہے موج طوفاں بھی تیز دھارا بھی ہم نہ دنیا کی راہ پر چلتے دل کو ہوتا اگر گوارا بھی عمر بھر تیرگی سے کھیلے ہے کوئی ہنستا ہوا ستارا بھی پھول روتے ہیں خار ہنستے ہیں دیکھ! گلشن کا یہ نظارا بھی دل کی دنیا تو جگمگا اٹھے نقشؔ بھڑکے کوئی شرارا بھی

Hindi

ज़िंदगी का बना सहारा भी और उन के करम ने मारा भी इश्क़ ही फिर पलट के आ न सका हुस्न-ए-मग़रूर ने पुकारा भी कौन डूबा जो यूँ पशेमाँ है मौज-ए-तूफ़ाँ भी तेज़ धारा भी हम न दुनिया की राह पर चलते दिल को होता अगर गवारा भी उम्र भर तीरगी से खेले है कोई हँसता हुआ सितारा भी फूल रोते हैं ख़ार हँसते हैं देख! गुलशन का ये नज़ारा भी दिल की दुनिया तो जगमगा उठ्ठे 'नक़्श' भड़के कोई शरारा भी

zindagī kā banā sahārā bhī
Mahesh Chandra Naqsh
Mahesh Chandra Naqsh
Mahesh Chandra Naqsh
poet49 quotes

More by Mahesh Chandra Naqsh

View all →
Quote
"fareb-e-raah se ghaafil nahin hai junun gum-karda-e-manzil nahin hai miri naakaamiyon par hansne vaale tire pahlu mein shaayad dil nahin hai khudaa ko naa-khudaa kahne lagaa huun safina taalib-e-saahil nahin hai tiri bazm-e-tarab mein aa gayaa huun magar dil ko sukun haasil nahin hai are us ki nigaah-e-be-khabar bhi mire anjaam se ghaafil nahin hai mire zauq-e-safar kaa puchhnaa kyaa nigaahon mein miri manzil nahin hai ba-faiz-e-ishq karb-e-marg se 'naqsh' guzar jaanaa koi mushkil nahin hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"ab kyaa kahein kisi se ye apni zabaan se ham be-zaar ho chuke hain fareb-e-jahaan se ham nazzaara-e-jamaal kaa 'aalam ajiib thaa madhosh o be-khabar the vahaan be-zabaan se ham ab haal-e-iztiraab-e-tabiat na puchhiye taDpe hain 'umr bhar tire dard-e-nihaan se ham ye zor-e-barq-o-baad ye tufaan al-amaan mahrum ho na jaaein kahin aashiyaan se ham jin ki mahak se ruuh pe taari hai be-khudi vo phuul chun rahe hain tire gulsitaan se ham taamir-e-nau hai parda-e-takhrib mein nihaan samjhe hain raaz-e-dahr ye daur-e-jahaan se ham manzil pe ho rahi hain qayaamat ki shorishein ghaafil paDe hue hain magar kaarvaan se ham naaseh! khayaal-e-tark-e-mohabbat se faaeda vaaqif nahin hain kyaa alam-e-jaavedaan se ham ai 'naqsh' mukhtasar ye haqiqat hai maut ki phir aa gae vahin pe chale the jahaan se ham"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"hai aafat-e-jaan husn ki shokhi bhi adaa bhi honTon pe tabassum bhi hai nazron mein hayaa bhi shaamil tiri aavaaz mein taaron ki navaa bhi sharminda tire nuur se kirnon ki ziyaa bhi mahfil hai ki mutrib ke ishaaron pe miTi hai suntaa hai koi saaz-e-shikasta ki sadaa bhi rakhtaa hai baghaavat ke sharaare bhi nazar mein ye 'ishq jo hai paikar-e-taslim-o-razaa bhi rukh pher diyaa tund havaaon kaa kisi ne haalaat se apne koi majbur rahaa bhi bach kar hi chale ham to zamaane ki ravish se aazaad-ravi kaa hamein ehsaas huaa bhi aksar lab-e-laalin ke tabassum ki kiran ne ummid ke khaakon mein nayaa rang bharaa bhi ai 'naqsh' karein soz-e-tamannaa kaa bayaan kyaa sau baar diyaa dil kaa jalaa bhi hai bujhaa bhi"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"talkhi-e-haalaat-e-dauraan kaa bayaan hai zindagi dard-o-gham ki ik musalsal daastaan hai zindagi allaah allaah ye safar ye raah ye dushvaariyaan vaqt ke shaanon pe ik baar-e-giraan hai zindagi jin ki halchal mein hai tufaani havaaon kaa kharosh un taDapti aarzuon kaa jahaan hai zindagi shiddat-e-ehsaas-e-naakaami ki aatish-gaah se khirman-e-jazbaat par shola-fishaan hai zindagi hai kise ab zindagi ke dard-e-pinhaan ki khabar apni barbaadi ki khud hi raaz-daan hai zindagi ye umidon kaa chaman hai rashk-e-sad husn-e-chaman is chaman ki ik bahaar-e-jaavedaan hai zindagi hai usi ke nuur se taabaani-e-kaun-o-makaan zulmat-e-bazm-e-jahaan mein zau-fishaan hai zindagi us ki marzi par hai har qaid o rihaai munhasir khud qafas hai aur khud hi aashiyaan hai zindagi 'naqsh' dard-e-qaum hai qalb o jigar mein shola-zan jazba-e-ahl-e-vatan ki tarjumaan hai zindagi"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh
Quote
"sach to ye hai ki tamannaaon ki jaan hoti hai vahi ik baat jo hairat mein nihaan hoti hai haal kah dete hain naazuk se ishaare aksar kitni khaamosh nigaahon ki zabaan hoti hai mere ehsaas o tafakkur mein sulagti hai jo aag vahi mazlum ke ashkon mein nihaan hoti hai haae vo vaqt ki jab un ki hasin aankhon se ek pur-kaif tajalli si ayaan hoti hai log kahte hain jise husn-e-adaa ki shokhi yahi rangin ishaaron kaa bayaan hoti hai kitni pyaari hai vo maasum tamannaa ai dost jo tazabzub ki fazaaon mein javaan hoti hai"
Mahesh Chandra NaqshMahesh Chandra Naqsh

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi