SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"haTaa ke mez se ik roz aaina main ne phir apne-aap se rakkhaa na vaasta main ne jab apne-aap se pahchaan apni kho ke mili to khud hi kaaT diyaa apnaa raasta main ne main kam-sini mein bhi guDiyaa kabhi nahin kheli palon mein tai kiyaa barson kaa faasla main ne charaagh huun mujhe jab dhuup raas aa na saki to khud sikoD liyaa apnaa daaera main ne main apne aap mein huun yaa nahin, kabhi apnaa kisi ko Thiik bataayaa nahin pata main ne ajiib kyaa jo bikheraa nahin sameT ke phir tamaam umr umidon kaa silsila main ne"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"na yaad aayaa na bhulaa vo saaneha mujh ko banaa gayaa jo ik aisaa mujassama mujh ko ki raaste mein khaDaa but samajh ke chhoD gayaa tamaam umr ki yaadon kaa qaafila mujh ko main so rahi thi usi daastaan mein sadiyon se sulaa gayaa thaa jahaan meraa haafiza mujh ko kisi qadim kahaani kaa ik charaagh huun main bujhaa ke chhoD gai taaq par havaa mujh ko phir uTh ke niind mein jaati thi us taraf har shab pukaartaa thaa jidhar se miraa pataa mujh ko magar ye hosh na thaa le ke jaa rahaa hai kahaan bikharti TuTti yaadon kaa silsila mujh ko"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"tu aayaa to dvaar bhiDe the diip bujhaa thaa aangan kaa sudh bisraane vaale mujh ko hosh kahaan thaa tan man kaa jaane kin zulfon ki ghaTaaein chhaai hain meri nazron mein rote rote bhiig chalaa is saal bhi aanchal saavan kaa thoDi der mein thak jaaeinge nil-kamal si rain ke paanv thoDi der mein tham jaaegaa raag nadi ke jhaanjhan kaa phir bhi meri baanhon ki khushbu har Daal pe lachkegi har taaraa hiiraa saa lagegaa mujh ko mere kangan kaa tum aao to ghar ke saare diip jalaa duun lekin aaj meraa jaltaa dil hi akelaa diip hai mere aangan kaa"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"TaToltaa huaa kuchh jism o jaan tak pahunchaa vo aadmi jo miri daastaan tak pahunchaa kisi janam mein jo meraa nishaan milaa thaa use pataa nahin ki vo kab us nishaan tak pahunchaa main sirf ek khalaa thii, jahaan fazaa na havaa jab aarzu kaa parinda uDaan tak pahunchaa na jaane raah mein kyaa us pe haadsa guzraa ki umr bhar na nazar se zabaan tak pahunchaa ye kam-nasib bhaTaktaa huaa andheron mein kabhi yaqin kabhi phir gumaan tak pahunchaa vo jis mein hadd-e-nazar tak charaagh jalte the vo raasta hi faqat darmiyaan tak pahunchaa"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"main us ki baat ke lahje kaa e'tibaar karun karun ki us kaa na main aaj intizaar karun main sirf saaya huun apnaa magar ye zid hai mujhe ki apne-aap ko khud se alag shumaar karun ajab mizaaj hai us kaa bhi chaahtaa hai ki main ba-taur-e-vaza faqat khud ko ikhtiyaar karun main ik athaah samundar huun is khayaal mein gharq ki Duub jaaun main khud mein ki khud ko paar karun khud apne-aap se milne ke vaaste pahle main apne-aap ko dariyaa se aabshaar karun main us ki dhuup huun jo meraa aaftaab nahin ye baat khud pe main kis tarah aashkaar karun kisi qadim kahaani mein ek muddat se vo so rahaa hai ki main us ko hoshiyaar karun phir ek aas ki chilman se umr bhar lag ke khud apne paanv ki aahaT kaa intizaar karun"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"alaava ik chubhan ke kyaa hai khud se raabta meraa bikhar jaataa hai mujh mein TuuT ke har aaina meraa ulajh ke mujh mein apne-aap ko suljhaa rahaa hai jo na jaane khatm kar baiThe kahaan par silsila meraa mujhe chakhte hi kho baiThaa vo jannat apne khvaabon ki bahut miltaa huaa thaa zindagi se zaaiqa meraa main kal aur aaj mein haael koi naadida vaqfa huun mire khvaabon se naapaa jaa rahaa hai faasla meraa vo kaisaa shahr thaa maanus bhi thaa ajnabi bhi thaa ki jis ki ik gali mein kho gayaa mujh se pataa meraa palaT aataa hai har din ghar ki jaanib shaam Dhalte hi kisi be-naam basti se guzar ke raastaa meraa ye main huun yaa miraa saaya miraa saaya hai yaa main huun ajab si dhund mein lipTaa huaa hai haafiza meraa hansi aai thi apni bebasi par ek din mujh ko abhi tak gunjtaa hai mere andar qahqaha meraa"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"mujhe kahaan mire andar se vo nikaalegaa paraai aag mein koi na haath Daalegaa vo aadmi bhi kisi roz apni khalvat mein mujhe na paa ke koi aaina nikaalegaa vo sabz Daal kaa panchhi main ek khushk darakht zaraa si der mein vo apnaa raasta legaa main vo charaagh huun jis ki ziyaa na phailegi mire mizaaj kaa suraj mujhe chhupaa legaa kuredtaa hai bahut raakh mere maazi ki main chuuk jaaun to vo ungliyaan jalaa legaa vo ik thakaa huaa raahi main ek band saraae pahunch bhi jaaegaa mujh tak to mujh se kyaa legaa"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"zaraa mushkil se samjheinge hamaare tarjumaan ham ko abhi dohraa rahi hai khud hamaari daastaan ham ko kisi ko kyaa khabar patthar ke pairon par khaDe hain ham sadaaon par sadaaein de rahe hain kaarvaan ham ko ham aise surmaa hain laD ke jab haalaat se palTe to baDh ke zindagi ne pesh kiin baisaakhiyaan ham ko sambhaalaa hosh jab ham ne to kuchh mukhlis azizon ne kai chehre diye aur ek patthar ki zabaan ham ko uThaa hai shor khud apne hi andar se magar aksar dahal ke band kar lenaa paDi hain khiDkiyaan ham ko ham apne jism mein bikhre hue hain ret ki surat sameTeingi kahaan tak zindagi ki muTThiyaan ham ko bichhaD ke bhiiD mein khud se havaason kaa vo aalam thaa ki munh khole hue takti rahin parchhaaiyaan ham ko"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"thakan se chuur huun lekin ravaan-davaan huun main nai sahar ke charaaghon kaa kaarvaan huun main havaaein mere varaq lauT lauT deti hain na jaane kitne zamaanon ki daastaan huun main har ek shahr-e-nigaaraan samajh rahaa hai mujhe zaraa qarib se dekho dhuaan dhuaan huun main kisi se bhiiD mein chehra badal gayaa hai miraa to saare aaina-khaanon se bad-gumaan huun main main apni guunj mein khoi huun ek muddat se mujhe khabar nahin kuchh kaun huun kahaan huun main khud apni diid se mahrum hai nazar meri azal se surat-e-nazzaara darmiyaan huun main miraa vajud-o-adam raaz hai hamesha se vahaan vahaan bhi nahin huun jahaan jahaan huun main"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"lahu se uTh ke ghaTaaon ke dil baraste hain badan chhaton ki tarah dhuup mein jhulaste hain ham aise peD hain jo chhaanv baandh kar rakh dein shadid dhuup mein khud saae ko taraste hain har ek jism ke chaaron taraf samundar hai yahaan ajiib jaziron mein log baste hain sabhi ko dhun hai ki shishe ke baam-o-dar hon magar ye dekhte nahin patthar abhi baraste hain bahaa ke le gayaa sailaab raaste jin ke vo shahr apne khayaalon mein ab bhi baste hain maaal kyaa hai ujaalon ke un dafinon kaa jinhein chhuein to andheron ke naag Daste hain ajiib log hain kaaghaz ki kashtiyaan gaDh ke samundaron ki balaa-kheziyon pe hanste hain"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"ek diye ne sadiyon kyaa kyaa dekhaa hai batlaae kaun chhoDo agle vaqton ke qisse phir se dohraae kaun ab bhi khaDi hai soch mein Duubi ujyaalon kaa daan liye aaj bhi rekhaa paar hai raavan siitaa ko samjhaae kaun apnaa apnaa aasan chhoD ke har murat uTh aai hai sone ki divaaron mein rah kar paathar kahlaae kaun jis ne diye ki kaalak ko bhi maathe kaa sindur kiyaa apne ghar ki us divaar se apnaa bhed chhupaae kaun jaane kitne raaz khulein jis din chehron ki raakh dhule lekin saadhu-santon ko dukh de kar paap kamaae kaun ek nayaa sapnaa bantaa hai aur ban kar is soch mein hai sadiyon se aapas mein uljhe dhaagon ko suljhaae kaun ab bhi buzurgon ki baatein sun kar achchhaa to lagtaa hai par in girti divaaron se apni piiTh lagaae kaun"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa
Quote
"liyaa hai kis qadar sakhti se apnaa imtihaan ham ne ki ik talvaar rakh di zindagi ke darmiyaan ham ne hamein to umr bhar rahnaa thaa khvaabon ke jaziron mein kinaaron par pahunch kar phunk Daalin kashtiyaan ham ne hamaare jism hi kyaa saae tak jismon ke zakhmi hain dilon mein ghonp liin hain raushni ki barchhiyaan ham ne hamein di jaaegi phaansi hamaare apne jismon mein ujaaDi hain tamannaaon ki laakhon bastiyaan ham ne vafaa ke naam par pairaa kiye kachche ghaDe le kar Duboyaa zindagi ko daastaan-dar-daastaan ham ne"
Aziz Bano Darab WafaAziz Bano Darab Wafa