Quote
"har uzv musaafir hai nahin kuchh safari aankh hai aakhir-e-shab umr charaagh-e-sahari aankh kyaa karti hai dilkash sukhan ai rashk-e-pari aankh lo siikh gai tarz-e-kalaam-e-bashri aankh un aankhon mein saanea ne bhare kuuT ke moti qismat ye hamaari hai ki ashkon se bhari aankh baatein jo karo naaz se tum munh ko chhupaa kar sunne ke liye kaan ho ai rashk-e-pari aankh aayaa hai mire dil kaa ghubaar aansuon ke saath lo ab to hui maalik-e-khushki-o-tari aankh ab tak vahi ronaa hai vahi hasrat-e-didaar ham mar gae is par bhi ye kaafir na mari aankh tayyaar kiyaa khaama-e-mu apne mizha se khincheinge magar naqsha-e-naazuk kamri aankh nargis pe nazar kiije dobaara ki vo kaT jaae ho jaae nazar-e-saani mein is ki nazari aankh sohbat kaa asar saahab-e-binish ko ho kyunkar ainak ho agar sabz na ho jaae hari aankh baaton ko zabaan misl-e-sukhan munh se nikal jaae nazzaare ko ho paa-e-nigah se safari aankh tir-e-mizha-e-yaar ko mizhgaan hi samajhte kis aankh se laDte hi sadaa balbe jari aankh raftaar to dikhlaa ke za-khud rafta banaa do nargis ki tarah hai hama-tan kabk-e-dari aankh daaman ki tarah chaak hue aankh ke parde o dast-e-junun se ki gai jaama-dari aankh jo ahl-e-nazar mein kabhi khud-bin nahin hoti dekho ki hai is aib-e-numaayaan se bari aankh kyaa qahr sivaa aayat-e-abru hui naazil Dar hai na kare daava-e-paighaambari aankh kashti vo liye nuuh ki maanind chale aaein tufaan bapaa kar shab-e-furqat mein ari aankh rahte hain 'vazir' ashk ki jaa TukDe jigar ke in rozon hui kaan-e-aqiq-e-jigri aankh"







