SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAamir Azher(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

kab tak vahi saraab vahi iztiraab ho

main hi karun bhi yaad mujhi par 'azaab ho

paDhte to hon kai pe samajhtaa na ho koi

aisaa na ho ki dil bhi khudaa ki kitaab ho

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

bahut mushkil ki khvaahish ko kabhi aasaan nahin dekhaa

nayaa insaan banaane mein koi insaan nahin dekhaa

vahaan barsaat dekhi hai jahaan imkaan nahin dekhaa

abhi tak is pur-ummidi ne registaan nahin dekhaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

sitaaron ki ginti hai ham jaante hain

abhi raat baaqi hai ham jaante hain

ye shohrat majaazi hai ham jaante hain

ki hai bhi nahin bhi hai ham jaante hain

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

gham utaaraa gayaa sabhi ke liye

ashk utre hain aadmi ke liye

ik tajalli mujhe 'inaayat ho

meri aankhon ki raushni ke liye

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

abhi qubul hai mujh ko udaas ho jaanaa

abhi nasib hai qadmon mein un ke so jaanaa

kisi kitaab se kaise koi nikaltaa hai

kisi kitaab se TuuTaa gulaab to jaanaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

Thahraa na kuchh yahaan pe jo aayaa vo bik gayaa

baazaar mein bas ek kharidaar Tik gayaa

ik do minute hi aankh lagi hogi meri bas

kyaa be-qaraar khvaab thaa itne mein dikh gayaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

dekho ye us kaa dekhnaa dekhe se aaegaa

aur phir jo dekh loge to dekhaa na jaaegaa

ye aisi manzilein hain ki rasta nahin koi

saamaan baandh loge to rasta bulaaegaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

dard-e-dil hai na falsafa mire paas

daal roTi kaa masala mire paas

paas mere bhi hai tiri hi du'aa

kaash hotaa tiraa khudaa mire paas

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

dar dariche ke binaa aur kisi chhat ke baghair

ham tire shahr mein saakin hain sukunat ke baghair

jang aisi hai abad tak bhi rahegi jaari

masala hal nahin honaa hai qayaamat ke baghair

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

jaisaa jaisaa ham ne chaahaa vaisaa vaisaa ho gayaa

dhire dhire haule haule rafta-rafta ho gayaa

ab mohabbat bhi nahin hai aur shikaayat bhi nahin

baat maano yaa na maano lekin aisaa ho gayaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

baDe din se hare hain paat yahaan

koi Tikti nahin hai baat yahaan

kahaan sikhe the naam aadam ne

kahaan tahqiq se najaat yahaan

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

kyaa kisi raabte mein rakkhaa hai

ham ne dil raaste mein rakkhaa hai

ab khudaaon ki kyaa zarurat hai

aaina but-kade mein rakkhaa hai

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

baat kis kis se ho gai meri

tu jo palkein bhigo gai meri

jab se apnaa 'ilaaj karvaayaa

shaa'iri khatm ho gai meri

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

guzre hue vaqton kaa nishaan thaa to kahaan thaa

ham se jo nihaan hai vo ayaan thaa to kahaan thaa

is tarah lipaTti hai udaasi ki ye sochein

do pal ki khushi kaa jo gumaan thaa to kahaan thaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

betaab se betaab tiri taab le aae

jiinaa paDaa aison ko bhi jo ji nahin paae

baatein vahi baatein vo na boli hui baatein

is tezi se lagti hain ki allaah bachaae

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

ham pe laazim thaa pahunchnaa so yahaan tak pahunche

shauq ruktaa hi nahin chaahe jahaan tak pahunche

laa-makaan se jo chale kaun-o-makaan tak pahunche

be-karaani se gae hadd-e-gumaan tak pahunche

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

lag rahaa thaa yahin kahin ho tum

kaash hote magar nahin ho tum

sirf baarish mein vasl mumkin hai

aasmaan main huun aur zamin ho tum

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

naaravaa sabt kiyaa kun kaa ishaara kar ke

dekhnaa hai ye tamaashaa bhi dobaara kar ke

haq-pasandi ne kahaan chain dilon ko bakhshaa

log ummid pe aae the sahaaraa kar ke

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

badan utaar ke kapDe badal rahaa hai koi

nai sarisht pahan kar nikal rahaa hai koi

qadam qadam pe andheraa bhi baDhtaa jaataa hai

gumaan hotaa hai pichhe bhi chal rahaa hai koi

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

kuchh bhi nahin rahaa hai ahd-e-vafaa ki thaa

dilli jo shahr-e-dil thaa jo kuchh bhi thaa ki thaa

saabit nahin kisi se ik zaaviya ki thaa

saabit ki har kami se saabit huaa ki thaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

dastaras chhin jaaegi aur naqsh-e-paa kho jaaeinge

ham vahaan par baiThe baiThe ret ke ho jaaeinge

kab se marnaa chaahte hain tujh pe ham teri qasam

jaan se to jaa rahe hain jaan mar to jaaeinge

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

chalte jaate hain par nahin aati

aakhiri rah-guzar nahin aati

ham ko bechain kar ke rakhti hai

ek shai jo nazar nahin aati

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

koi armaan hi nahin paayaa

dil pareshaan hi nahin paayaa

khatm hone lage mire kartab

un ko hairaan hi nahin paayaa

· · ·

GhazalAamir Azher

Aamir Azher

is andhere mein kahaan taaza khayaal aaegaa

chaand niklegaa to dariyaa mein uchhaal aaegaa

baiThiye aap ki mujh se nahin baiThaa jaataa

is tavaqqo' pe ki paani mein ubaal aaegaa

· · ·