Quote
"gard-e-firaaq ghaaza kash-e-aaina na ho chaaho jo tum to apne tasarruf mein kyaa na ho sajde ke har nishaan pe hai khuun saa jamaa huaa yaaro ye us ke ghar kaa kahin raasta na ho zakhmon ki mishalein liye guzraa hai dil se kaun yaadon kaa koi bhaTkaa huaa qaafila na ho kab se khaDaa huun ek do-raahe pe but banaa sab kuchh jo dekhtaa ho magar boltaa na ho chumo lagaao aankhon se sar par rakkho use ye zindagi varaq kisi injil kaa na ho sau baar ik gali mein mujhe le gayaa ye vahm khiDki se koi maslahatan jhaanktaa na ho sharmaa gae the donon hi pahli nazar ke baad shaayad tumhein to yaad bhi vo vaaqia na ho laao na mere saamne aariz ke aaftaab chehre pe koi harf-e-tamannaa likhaa na ho maazi ke reg-zaar pe rakhnaa sambhal ke paanv bachchon kaa is mein koi gharaundaa banaa na ho ho kar judaa bhi us se 'naimi' main ji to luun lekin ye Dar hai is se kahin vo khafaa na ho"







