"gard-e-firaaq ghaaza kash-e-aaina na ho chaaho jo tum to apne tasarruf mein kyaa na ho sajde ke har nishaan pe hai khuun saa jamaa huaa yaaro ye us ke ghar kaa kahin raasta na ho zakhmon ki mishalein liye guzraa hai dil se kaun yaadon kaa koi bhaTkaa huaa qaafila na ho kab se khaDaa huun ek do-raahe pe but banaa sab kuchh jo dekhtaa ho magar boltaa na ho chumo lagaao aankhon se sar par rakkho use ye zindagi varaq kisi injil kaa na ho sau baar ik gali mein mujhe le gayaa ye vahm khiDki se koi maslahatan jhaanktaa na ho sharmaa gae the donon hi pahli nazar ke baad shaayad tumhein to yaad bhi vo vaaqia na ho laao na mere saamne aariz ke aaftaab chehre pe koi harf-e-tamannaa likhaa na ho maazi ke reg-zaar pe rakhnaa sambhal ke paanv bachchon kaa is mein koi gharaundaa banaa na ho ho kar judaa bhi us se 'naimi' main ji to luun lekin ye Dar hai is se kahin vo khafaa na ho"
duaa ko haath miraa jab kabhi uThaa hogaa — Abdul Hafiz Naeemi
"duaa ko haath miraa jab kabhi uThaa hogaa qazaa-o-qadr kaa chehra utar gayaa hogaa jo apne haathon luTe hain bas is pe zinda hain khudaa kuchh un ke liye bhi to sochtaa hogaa tiri gali mein koi saae raat bhar ab bhi suraagh-e-jannat gum-gashta DhunDtaa hogaa jo gham ki aanch mein pighlaa kiyaa aur aah na ki vo aadmi to nahin koi devtaa hogaa tumhaare sang-e-taghaaful kaa kyuun karein shikva is aaine kaa muqaddar hi TuTnaa hogaa hai mere qatl ki shaahid vo aastin bhi magar main kis kaa naam luun sau baar sochnaa hogaa ye meri pyaas ke saaghar tere labon ki sharaab ravaaj-o-rasm-e-mohabbat kaa mojaza hogaa phir aarzu ke khanDar rang-o-bu mein Duub chale fareb-khurda koi khvaab dekhtaa hogaa sitaare bhi tiri yaadon ke bujhte jaate hain gham-e-hayaat kaa suraj nikal rahaa hogaa sadaa kise dein 'naimi' kise dikhaaein zakhm ab itni raat gae kaun jaagtaa hogaa"
دعا کو ہاتھ مرا جب کبھی اٹھا ہوگا قضاوقدر کا چہرہ اتر گیا ہوگا جو اپنے ہاتھوں لٹے ہیں بس اس پہ زندہ ہیں خدا کچھ ان کے لیے بھی تو سوچتا ہوگا تری گلی میں کوئی سایہ رات بھر اب بھی سراغ جنت گم گشتہ ڈھونڈتا ہوگا جو غم کی آنچ میں پگھلا کیا اور آہ نہ کی وہ آدمی تو نہیں کوئی دیوتا ہوگا تمہارے سنگ تغافل کا کیوں کریں شکوہ اس آئنے کا مقدر ہی ٹوٹنا ہوگا ہے میرے قتل کی شاہد وہ آستیں بھی مگر میں کس کا نام لوں سو بار سوچنا ہوگا یہ میری پیاس کے ساغر تیرے لبوں کی شراب رواج و رسم محبت کا معجزہ ہوگا پھرآرزو کےکھنڈر رنگ و بو میں ڈوب چلے فریب خوردہ کوئی خواب دیکھتا ہوگا ستارےبھی تری یادوں کے بجھتے جاتے ہیں ہیں غم حیات کا سورج نکل رہا ہوگا صدا کسے دیں نعیمیؔ کسے دکھائیں زخم اب اتنی رات گئے کون جاگتا ہوگا
दुआ को हाथ मिरा जब कभी उठा होगा क़ज़ा-ओ-क़द्र का चेहरा उतर गया होगा जो अपने हाथों लुटे हैं बस इस पे ज़िंदा हैं ख़ुदा कुछ उन के लिए भी तो सोचता होगा तिरी गली में कोई साए रात भर अब भी सुराग़-ए-जन्नत गुम-गश्ता ढूँडता होगा जो ग़म की आँच में पिघला किया और आह न की वो आदमी तो नहीं कोई देवता होगा तुम्हारे संग-ए-तग़ाफ़ुल का क्यूँ करें शिकवा इस आइने का मुक़द्दर ही टूटना होगा है मेरे क़त्ल की शाहिद वो आस्तीं भी मगर मैं किस का नाम लूँ सौ बार सोचना होगा ये मेरी प्यास के साग़र तेरे लबों की शराब रवाज-ओ-रस्म-ए-मोहब्बत का मोजज़ा होगा फिर आरज़ू के खंडर रंग-ओ-बू में डूब चले फ़रेब-ख़ुर्दा कोई ख़्वाब देखता होगा सितारे भी तिरी यादों के बुझते जाते हैं ग़म-ए-हयात का सूरज निकल रहा होगा सदा किसे दें 'नईमी' किसे दिखाएँ ज़ख़्म अब इतनी रात गए कौन जागता होगा

More by Abdul Hafiz Naeemi
View all →"bahaar ban ke khizaan ko na yuun dilaasaa de nigaahein pher le apni na khud ko dhokaa de masaaf-e-zist hai bhar de lahu se jaam miraa na muskuraa ke mujhe saaghar-e-tamannaa de khaDaa huaa huun sar-e-raah muntazir kab se ki koi guzre to gham kaa ye bojh uThvaa de vo aankh thi ki badan ko jhulas gai qurbat magar vo shola nahin ruuh ko jo garmaa de hujum-e-gham vo rahaa umr bhar dar-e-dil par khushi isi mein rahi ye hujum-e-rastaa de likhaa hai kyaa mire chehre pe tu jo sharmaayaa zabaan se na bataa aainaa hi dikhlaa de main laDkhaDaa saa gayaa huun vafaa ke vaade par pakaD ke haath mujhe ghar talak to pahunchaa de sukut-e-anjum-o-mah ne chhupaa liyaa hai jise jhuki nazar na kisi ko vo raaz batlaa de har ek dard kaa darmaan hai log kahte hain magar vo dard 'naimi' jo khud masihaa de"
"is tilsim-e-roz-o-shab se to kabhi niklo zaraa kam se kam vijdaan ke sahraa hi mein ghumo zaraa naam kitne hi likhe hain dil ki ik mehraab par hogaa in mein hi tumhaaraa naam bhi DhunDo zaraa bad-gumaani ki yahi ghairon ko kaafi hai sazaa muskuraa kar phir usi din ki tarah dekho zaraa vaqt ke patthar ke niche ik dabaa chashma huun main aao pyaaso mil ke ye patthar uThaao to zaraa husn ik dariyaa hai sahraa bhi hain us ki raah mein kal kahaan hogaa ye dariyaa ye bhi to socho zaraa do kalon ke biich mein ik aaj huun uljhaa huaa meri is kam-fursati ke karb ko samjho zaraa vusat-e-kaun-o-makaan bhi ab hui jaati hai tang aur bhi kuchh ai junun vaalo abhi simTo zaraa thak gae hoge bahut pur-pech thi chaahat ki raah aao meri god mein sar rakh ke sustaa lo zaraa ek miTte lafz ke bhi kaam aa jaao kabhi sang-e-dil par miTne se pahle mujhe likh lo zaraa hai taaaqub mein 'naimi' saaya saa ik roz o shab dost hi shaayad ho koi muD ke to dekho zaraa"
"ghubaar-e-dard se saaraa badan aTaa niklaa jise bhi khanda-ba-lab dekhaa gham-zadaa niklaa ab ehtiyaat bhi aur kyaa ho be-libaas to huun ik aastin se maanaa ki azhdahaa niklaa mire khulus pe shak ki to koi vajh nahin mire libaas mein khanjar agar chhupaa niklaa lagaa jo piiTh mein neza to samjhe dushman hai magar palaT ke jo dekhaa to aashnaa niklaa mire lahu se hai rangin jabin-e-subh to kyaa chalo ki zulmat-e-shab kaa to hauslaa niklaa ye haath raakh mein khvaabon ki Daalte to ho magar jo raakh mein sho'la koi dabaa niklaa sunaa thaa hadd-e-tabassum hai aansuon se qarib baDhe jo aage to barson kaa faaslaa niklaa vo ek harf-e-tamannaa jo kahte Darte the zabaan pe aayaa to un kaa hi mudda'aa niklaa kulaah kaj kiye din bhar jo shakhs phirtaa thaa gali mein shaam ko dekhaa to vo gadaa niklaa tulu' subh 'naimi' jahaan se honi thi usi ufuq se andheron kaa silsilaa niklaa"
"har insaan apne hone ki sazaa hai bhare baazaar mein tanhaa khaDaa hai nae darbaanon ke pahre biThaao hujum-e-dard baDhtaa jaa rahaa hai rahe ham hi jo har patthar ki zad mein hamaari sar-bulandi ki khataa hai mahakte gesuon ki raat guzri savaa neze pe ab suraj khaDaa hai mire khvaabon ki chikni siDhiyon par na jaane kis kaa but TuuTaa paDaa hai vo shole hon lahu ho haadse hon miri hi zindagi par tabsira hai tiri zulfein to hain badnaam yunhi mujhe din ke ujaalon ne Dasaa hai chalo chupke se kuchh but aur rakh aaein dar-e-kaaba abhi shaayad khulaa hai utar kar to fasil-e-shab se dekho sahar ne khud-kushi kar li sunaa hai abhi taaq-e-tasavvur par 'naimi' charaagh-e-lazzat-e-shab jal rahaa hai"
"honkte dasht mein ik gham kaa samundar dekho tum kisi roz agar dil mein utar kar dekho niklo saDkon pe to hansti hui laashon se milo band aankhein jo karo qatl kaa manzar dekho aanch qurbat ki na pighlaa de kahin taar-e-nazar shola-e-husn ko kuchh duur se bach kar dekho ye to kahte ho ki khud main ne kaTaai gardan koi haathon mein havaa ke bhi to khanjar dekho aastinein to kahin chupke se dho lo yaaro ho kisi ko na shubah qatl kaa tum par dekho dar o divaar se uThte hain ye shole kaise dosto chal ke zaraa ghar ke to andar dekho haDDiyaan gal chukin ab to na ukheDo un ko DhunD lein phir ye nayaa koi na paikar dekho main bhi is safha-e-hasti pe ubhar saktaa huun rang to tum miri tasvir mein bhar kar dekho ab to khilti hui kaliyon mein na DhunDo mujh ko raakh hote hue ik shole kaa manzar dekho pheink do TuuTi ummidon ke ye TukDe baahar dil mein rah jaae kirich koi na gaD kar dekho liye aaina vafaaon kaa kahaan phirte ho hon na haathon mein kahin andhon ke patthar dekho ek muddat se hai logon ko 'naimi' ki talaash qasr-e-tanhaai ki divaarein giraa kar dekho"
More on Sad
View all →"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"chaand bhi khoyaa khoyaa saa hai taare bhi khvaabida hain aaj fazaa ke bojhal-pan se lahje bhi sanjida hain jaane kin kin logon se is dard ke kyaa kyaa rishte the hijr ki is aabaad saraa mein sab chehre naadida hain itne barson baad bhi donon kaise TuuT ke milte hain tu hai kitnaa saada-dil aur ham kitne pechida hain sun jaanaan ham tark-e-taalluq aur kisi din kar leinge aaj tujhe bhi ujlat si hai ham bhi kuchh ranjida hain kaanon mein ik sargoshi hai be-maani si sargoshi aankhon mein kuchh khvaab saje hain khvaab bhi umr-rasida hain ghar ki vo makhdush imaarat gir ke phir taamir hui ab aangan mein peD hain jitne saare shaakh burida hain is basti mein ek saDak hai jis se ham ko nafrat hai us ke niche pagDanDi hai jis ke ham girvida hain"
"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"dast-kash hon na mai-e-gul ke khush-aashaam abhi ki labaalab hain mah-o-mehr ke do-jaam abhi zehn mein saaqi hai mai-khaana hai hai jaam abhi hosh kahtaa huun ise hosh kaa kyaa kaam abhi mujh ko darkaar na hai kufr na islaam abhi sidhe sidhe hi chale aate hain paighaam abhi tu bhi baaqi tiri rahmat bhi hai baaqi saaqi rahne de hai mai-e-isyaan se baDaa kaam abhi khaal-o-gesu se hai ye silsila-e-raaz-o-niyaaz daana sad-daana ho ye daam ho sad-daam abhi ziist ke khvaab ki taabir abhi baaqi hai ibtidaa dekh chuke hai magar anjaam abhi rah-rav-e-ishq abhi duur hai mearaaj-e-habib rashk-e-manzil na huaa raah mein har gaam abhi zarra-zarra hai ik aatish-kada-e-nur kalim dekh agar tu na ho aatish-zada-e-baam abhi imtiyaaz-e-man-o-tu raaz-e-khafi hai lekin khaasgaan ke liye kahtaa huun sar-e-aam abhi aks ko zo'm hai be-misli-e-rang-o-bu kaa turfa ye hai ki muqaabil hai vo gulfaam abhi raaz-goi tiri 'aiman' hai gunaah-e-akbar maang le afv ki us kaa hai karam aam abhi"
"baad-e-shimaal chalne lagi ang ang mein lipTaa hai kaun mujh se ye patjhaD ke rang mein khvaahish ke kaarobaar se bachnaa muhaal hai utregaa tu bhi saath mire is surang mein main aandhiyon mein haath bhi pakDun tiraa to kyaa ik shaakh-e-be-siper huun havaaon ki jang mein 'raanjhaa' main 'ahd-e-nau kaa qabilon mein baT gayaa to 'hir' ban ke pi na saki zahr jhang mein garmaa sakin na chaahatein teraa kaThor jism har ek jal ke bujh gai tasvir sang mein aage 'musavvir' aag 'aqab mein hai ye sadaa pichhe na muD ke dekhnaa is dasht-e-sang mein"
"tifli piiri o naujavaani hech tiin din ki hai zindagaani hech umr-e-do-roza par ghamanD itnaa munimon ki hai lan-taraani hech raat thoDi hai aao pyaar karein subh ko hogi ye kahaani hech chaar din ki bahaar hai saari ye takabbur hai yaar-e-jaani hech dil ke haathon 'haqir' jhagDon mein meri guzri sadaa javaani hech"