Quote
"raaz-e-darun-e-aastin kashmakash-e-bayaan mein thaa aag abhi nafas mein thi shoala abhi zabaan mein thaa vo jo kahin thaa vo bhi main aur jo nahin thaa vo bhi main aap hi thaa zamin par aap hi aasmaan mein thaa lams-e-sadaa-e-saaz ne zakhm nihaal kar diye ye to vahi hunar hai jo dast-e-tabib-e-jaan mein thaa khvaab-e-ziyaan hain umr kaa khvaab hain haasil-e-hayaat is kaa bhi thaa yaqin mujhe vo bhi mire gumaan mein thaa khanjar o dashna o sinaan ye to bahaane hain miyaan aap na sharmsaar hon zakhm sirisht-e-jaan mein thaa hadd-e-gumaan se ek shakhs duur kahin chalaa gayaa main bhi vahin chalaa gayaa main bhi guzishtagaan mein thaa"







