SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byAkhtar Orenwi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"tum ko dekhaa hai abhi tak ye gumaan hotaa hai naqsh jo dil mein hai aankhon se nihaan hotaa hai shauq kaa aalam-e-eajaaz ayaan hotaa hai khinch ke aataa hai yahaan husn jahaan hotaa hai qissa-e-dard khamoshi se ayaan hotaa hai taur-e-izhaar nazar tarz-e-bayaan hotaa hai raat khaamosh hai aise mein sitaaro sun lo dil-e-muztar miraa maail-ba-fughaan hotaa hai meri naakaam mohabbat ne baDaa kaam kiyaa muddaaa aalam-e-hasrat mein javaan hotaa hai khirman-e-zist mein shoale na bhaDak uThe hon daaman-e-dil ke qarib aaj dhuaan hotaa hai zikr khud chheD ke royaa kiyaa pahron 'akhtar' naam aate hi tiraa ashk ravaan hotaa hai"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"daaru-e-hosh-rubaa nargis-e-bimaar to ho ab inaan-gir-khirad gesu-e-khamdaar to ho husn kaa naaz-e-tajalli hai niyaaz-aamaada ishq-e-aadaab-e-tamannaa ke sazaa-vaar to ho jurat-e-shauq se pindaar-e-karam jhuk ke mile hausla-mand koi aisaa gunahgaar to ho laala-kaari se rag-e-jaan ke gulistaan lahke har-nafas ek lachakti hui talvaar to ho dil se vo jalva-gah-e-naaz to kuchh duur nahin sina-e-shauq mein ik jazba-e-bedaar to ho naam-e-mahbub pe be-taab nazaare honge sajda-e-gaah-e-dil-o-jaan kucha-e-dildaar to ho un hasin aankhon mein mai-khaana ki shaam-e-rangin jagmagaaegi magar 'akhtar'-e-sarshaar to ho"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"daar pe chaDh ke jo tajdid-e-vafaa hoti hai is shahaadat pe to sau jaan fidaa hoti hai jin ko daava-e-khirad ho zaraa aa kar dekhein ishq ki raah bahut hosh-rubaa hoti hai dard mein Duubi nigaahon ki zabaan hai goyaa aur baaton se go ye baat judaa hoti hai husn jab soz-e-mohabbat se jilaa paataa hai kyaa tajalli pas-e-faanus-e-vafaa hoti hai un hasin aankhon mein hai hasrat altaaf-o-karam dil hi jaane ye qayaamat ki adaa hoti hai phuul ke dida-e-pur-nam kaa ye anjaam ba-khair pattiyaan jhaDti hain shabnam bhi khafaa hoti hai subh tak haal-e-dil-e-zaar pe ro lo 'akhtar' is ghaDi dard ke maaron ki davaa hoti hai"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"na tajalliyaan na tasalliyaan na salaam hai na kalaam hai tiri jalva-gaah-e-khayaal mein bhi sukut hi kaa payaam hai abhi husn mahv-e-khiraam hai abhi shokh jalva-e-aam hai kabhi khalvaton mein bhi raam hai ki takhayyulaat kaa daam hai na vo aarzuein zabaan zabaan na vo hasratein hain nazar nazar tiri anjuman na vo anjuman na vo shauq hi kaa maqaam hai na vo tur-e-naaz ki bijliyaan na kalim-e-ishq ki shokhiyaan na vo raunaqein na vo ishratein na vo subh hai na vo shaam hai jo sharaab-e-husn-o-jamaal mein bhi hain bul-havas ki milaavaTein dil-e-mai-parast hai khun-fishaan ki ye mai-kade kaa nizaam hai dam-e-kaaenaat fughaan-fughaan gham-e-mumkinaat hai jaan-sitaan ye tasavvuraat dhuaan-dhuaan ki 'adam vujud kaa naam hai hai nishaan-e-zakhm subu-subu yahaan saagharon mein lahu-lahu ye bukaa ye naala ye hichkiyaan ye fughaan-e-shisha-o-jaam hai miri aah raunaq-e-anjuman hai sadaa-e-dard sukhan-sukhan tiri pardagi kaa ye baankpan kahaan jalva hai kahaan baam hai hai talaash-e-husn makaan-makaan vahi justuju hai zamaan-zamaan ye fareb 'akhtar'-e-khush-gumaan dil-e-mubtalaa kaa hi kaam hai"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"maqaam-e-dil bahut unchaa banaa hai kamand-e-aql ab tak naa-rasaa hai farogh-e-ishq se betaab jalve harim-e-naaz mein mahshar bapaa hai mizaaj-e-husn mein ye dard-mandi ba-faiz-e-ishq kyaa se kyaa huaa hai khirad hai justuju-e-soz-e-aatish mohabbat aarzu-e-barmalaa hai navaazish un ki muhtaaj-e-mohabbat miri kam-maaegi kaa aasraa hai chaman ki nikhat-afshaani kaa baais ye mauj-e-gul hai yaa mauj-e-sabaa hai bhalaa kyuun ho tujhe meri zarurat ki tu saare zamaane kaa khudaa hai"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"yaad aai hai tiri sakht maqaam aayaa hai dil ke sahraa mein ye vaqt-e-sar-e-shaam aayaa hai ik nae rang mein aaj un kaa payaam aayaa hai aarzuon ke liye naam-ba-naam aayaa hai jaan-ba-lab shauq ke sajde bhi taDap uTThe hain un ke andaaz-e-taghaaful ko salaam aayaa hai mere gham-khaana ke andoh khamoshi kaa harif kaisi begaana mizaaji kaa kalaam aayaa hai hil rahi hai mire zindaan-e-junun ki divaar phir tasavvur mein tiraa jalva-e-baam aayaa hai anjuman-saaz hai ye raaz-e-mohabbat ai dost zikr jab aayaa tiraa bar-sar-e-aam aayaa hai dil-e-betaab ki hasrat ne bikhere sajde majlis-e-ghair mein bhi teraa jo naam aayaa hai chashm-e-saaqi mein jhalakti hai miri laghzish-e-shauq kaanpte haath se lab tak abhi jaam aayaa hai 'aql ko josh-e-junun daar-o-rasan tak laayaa 'aql vaalon ke kabhi hosh bhi kaam aayaa hai teri sarkaar mein 'akhtar' ki du'aaein giryaan dil kaa kashkol liye teraa ghulaam aayaa hai"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"faiz-e-takhil se pahunchaa main gulistaan ke qarib aa chalaa qaafila dil kaa dar-e-zindaan ke qarib jazb-e-dil le hi gayaa husn-e-gurezaan ke qarib kaisaa aalam hai mire dida-e-hairaan ke qarib duur hangaama-e-tahzib se talat-ba-kanaar jalva-e-mehr ki tanvir bayaabaan ke qarib dil mein ik hasrat-e-khaamosh kaa tufaan uThaa faasle baDhte gae manzil-e-jaanaan ke qarib kaun jaane kahaan le jaaegi vahshat meri ek sahraa bhi to hai shahr-e-nigaaraan ke qarib main ne ashjaar ke kunjon mein pukaaraa tum ko aa ke tum lauT gae parda-e-mizhgaan ke qarib har ghaDi shauq ko hai chashm-e-fusun-saaz ki yaad be-khudi le gai sahraa mein ghazaalaan ke qarib saahil-e-amn mein aaghosh-e-mohabbat be-kaif kaash kashti miri pahunche kabhi tufaan ke qarib"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"nashtar se aarzu ke dil-e-zindagi figaar khud zindagi vajud ke siine mein nok-e-khaar ai husn-e-yaar teri tajalli ko kyaa huaa ye be-qaraar dil miraa ab tak hai be-qaraar jalvon ne tere hasrat-e-nazzaara ko miri dekhaa kiyaa hai naaz-e-taghaaful se baar baar dil par nigaah-e-shauq mizaaj-e-jamaal par haalaat-o-vaardaat pe kis ko hai ikhtiyaar mujh par hui navaazish-e-pinhaan kabhi kabhi mahrum saaaton ki tamannaa hai sogvaar allaah tere husn-e-farozaan ki pardagi ik lau si thartharaai pas-e-chashm-e-ashk-baar ki rahbari khayaal-e-lab-e-yaar tak miri ai tishnagi-e-shauq miri zindagi nisaar"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi
Quote
"huaa hai teri mohabbat kaa hausla saaqi magar garaan hai qanaaat kaa marhala saaqi nazar nazar mein jagah DhunDhtaa rahaa mai-kash koi to jaantaa rindi kaa martaba saaqi balaa kashaan-e-dar-e-mai-kada kahaan jaaein qadam qadam hai qayaamat kaa faasla saaqi miri hayaat kaa sab kuchh fazaa-e-mai-khaana subu-o-jaam tiraa ek mashghala saaqi ye dasht-e-tishna-labi hai shikasta kheme hain kahaan gayaa mire armaan kaa qaafila saaqi amaan se duur hai sahraa-e-aarzu ki tapish hayaat-e-soz-e-tamannaa kaa aabla saaqi hayaat kyaa hai mohabbat hai kyuun jamaal hai kyaa na hal huaa kabhi 'akhtar' kaa masala saaqi"
Akhtar OrenwiAkhtar Orenwi