Quote
"jo aaine se teri jalva-saamaani nahin jaati kisi bhi dekhne vaale ki hairaani nahin jaati kabhi ik baar haule se pukaaraa thaa mujhe tum ne kisi ki mujh se ab aavaaz pahchaani nahin jaati bhari mahfil mein mujh se pher li thiin be-sabab nazrein vo din aur aaj tak un ki pashemaani nahin jaati pise jaate hain dil har-gaam pe shor-e-qayaamat se khiraam-e-naaz teri fitna-saamaani nahin jaati gavaaraa hi na thi jin ko judaai meri dam-bhar ki unhin se aaj meri shakl pahchaani nahin jaati vo mere haath kaa shokhi se jaanaa un ke daaman tak vo un kaa naaz se kahnaa ki naadaani nahin jaati garebaan ahl-e-vahshat ke siyaa kartaa thaa hosh ik din aur ab mujh se hi meri chaak-daamaani nahin jaati"
A
Anees Ahmad Anees






