Quote
"sun kar kitni aankhein niklin ik patthar mein saansein niklin aankhon se ik dariyaa niklaa dariyaa se kuchh laashein niklin gham ke bhi kuchh phuul khile hain zakhmon se bhi shaakhein niklin aage aage naakhun aae pichhe pichhe baanhein niklin jis ko khoyaa thaa aankhon ne us ko lene yaadein niklin kaanTon ne kyuun jashn manaayaa phulon se kyuun aahein niklin un galiyon mein rah kar dekhaa din se raushan raatein niklin"







