Quote
"ghuTan si hone lagi us ke paas jaate hue main khud se ruuTh gayaa huun use manaate hue ye zakhm zakhm manaazir lahu lahu chehre kahaan chale gae vo log hanste gaate hue na jaane khatm hui kab hamaari aazaadi taalluqaat ki paabandiyaan nibhaate hue hai ab bhi bistar-e-jaan par tire badan ki shikan main khud hi miTne lagaa huun use miTaate hue tumhaare aane ki ummid bar nahin aati main raakh hone lagaa huun diye jalaate hue"







