SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byBushra Masuud(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"jamaal-e-yaar aur us kaa bayaan mohabbat hai hasin shaam kaa dilkash samaan mohabbat hai hamein gila hai ki tum ne hamein nahin rokaa tumhein khabar thi ki aatish-fishaan mohabbat hai 'amal na ho to yaqin kis tarah dilaaoge zabaan se kitnaa bhi kah lo ki haan mohabbat hai vo aur log hain jo dushmani nibhaate hain mire liye to ye saaraa jahaan mohabbat hai hamaare gaanv ki barfili sard subhon mein sunaai deti hai jo vo azaan mohabbat hai vafaa ki aakhiri tamsil karbalaa hai dost sar-e-husain ba-nok-e-sinaan mohabbat hai"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"koi pahlu bhi ab nayaa nahin hai baat karne ko kuchh bachaa nahin hai ham tujhe dekhne ko tarse hain aur tu jaan kar milaa nahin hai ek chiDiyaa ke aashiyaane ko shahr bhar mein kahin jagah nahin hai sainkaDon alvidaa'i sandese aur vo aaj tak gayaa nahin hai jab bhi chaahoge chhoD doge miyaan shaa'iri hai koi nasha nahin hai aaj bhi khair ki khabar na mili aur aage bhi aasraa nahin hai baap jaisaa shafiq aangan thaa ab miraa us se vaasta nahin hai dil-zadon ke liye shifaa ki du'aa mo'jiza ho koi davaa nahin hai"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ik tabassum hama-ayyaam-e-giraan-baari bhi ne’mat-e-khuld hai fitrat mein subuksaari bhi ik zamaane baDaa khaamosh rahaa zehn-e-rasaa ab to baahar ko ubalti hai ye almaari bhi 'ain mumkin hai tanaffus ki suhulat na rahe kis ko raas aai hai marzi se giraftaari bhi jang kaa faisla 'ujlat mein nahin karnaa thaa tu qabila bhi ganvaa baiThaa hai sardaari bhi dost barson se yahi taur chalaa aataa hai miraa iqaan salaamat tiri 'ayyaari bhi ham dil-e-khaanamaan-barbaad liye phirte hain haae kyaa shai hai mohabbat ki ‘azaa-daari bhi"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"'ajab tarah ki masaafatein hain muqaddaron mein na qurbaton mein sukun paayaa na faaslon mein sunahri jhilon mein 'aks paDte the parbaton ke abhi farozaan hain saare manzar basaaraton mein use na fursat milegi daftar se doston se ham apne aansu chhupaae baiThe saheliyon mein ragon mein paiham ravaan hai ambar-fashaan mohabbat kisi ke baalon kaa lams zinda hai ungliyon mein do saa'aton mein simaT gai daastaan hamaari phisal gai hai jo ret baaqi thi muTThiyon mein na phuul jaise hasin farishton ke par taraasho na zahr gholo abhi se kachchi samaa'aton mein"
Bushra MasuudBushra Masuud