SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byFana Bulandshahri(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"maqaam-e-hosh se guzraa makaan se laa-makaan pahunchaa tumhaare ishq mein divaana-e-manzil kahaan pahunchaa nazar ki manzilon mein bas tumhin husn-e-mujassam the mataa-e-aarzu le kar main ulfat mein jahaan pahunchaa usi ne ishq ban kar do-jahaan ko phunk Daalaa hai vo shoala jo tiri nazron se dil ke darmiyaan pahunchaa junun zaahir huaa rukh par khudi par be-khudi chhaai ba-qaid-e-hosh main jab bhi qarib-e-aastaan pahunchaa tum apni justuju mein ye miraa shauq-e-talab dekho tumhaare ishq mein luT kar bhi tum tak jaan-e-jaan pahunchaa taalluq toD kar jaan-e-jahaan saare zamaane se main pahunchaa thaa jahaan mujh ko tiri khaatir vahaan pahunchaa 'fanaa' vo jalva-gar hone lage har bazm-e-imaan mein miraa dil le ke jab mujh ko sar-e-ku-e-butaan pahunchaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"ai sanam der na kar anjuman-aaraa ho jaa meri dam toDti nazron kaa sahaaraa ho jaa apne daaman mein chhupaa le mujhe mahbub mire miri bigDi hui qismat kaa sitaara ho jaa ishq sachchaa hai to phir rang-e-dui Thiik nahin ham tire ho gae ab tu bhi hamaaraa ho jaa mujh ko har vaqt hai lazzat-e-didaar-e-sanam meri nazron ke liye aisaa sahaaraa ho jaa meri chaahat kaa do-aalam mein bharam rah jaae tu mujhe meri mohabbat se pyaaraa ho jaa us ko paanaa hai to kashti se kinaaraa kar le Duub kar bahr-e-mohabbat kaa kinaaraa ho jaa huun 'fanaa' ishq mein tere tiraa kahlaataa huun meri taqdir badal meraa sahaaraa ho jaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"har ghaDi pesh-e-nazar ishq mein kyaa kyaa na rahaa meraa dil bas tiri tasvir kaa divaana rahaa ye sitam mujh pe mire ishq kaa achchhaa na rahaa tujh ko dekhaa to miraa dil miraa apnaa na rahaa aisaa madhosh kiyaa teri tajalli ne mujhe tuur bhi mere liye vajh-e-tamaasha na rahaa yuun tire naqsh-e-kaf-e-paa pe adaa ki hai namaaz sar mein kaaba ke liye ek bhi sajda na rahaa zindagaani tujhe le jaaun mein kis ke dar par dil mein hasrat na rahi sar mein bhi saudaa na rahaa vo na kaabe mein milaa hai na sanam-khaane mein kyaa qayaamat hai ki vo shokh kisi kaa na rahaa ibtidaa ye thi ki main apnaa samajhtaa thaa unhein intihaa ye hai ki main aap bhi apnaa na rahaa vo paraayaa thaa 'fanaa' is kaa gilaa kyaa kiije gham to ye hai ki main khud aap bhi apnaa na rahaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"mujh ko duniyaa ke har ik gham se chhuDaa rakkhaa hai jalva-e-yaar ne madhosh banaa rakkhaa hai maut se aap ki ulfat ne bachaa rakkhaa hai varna bimaar-e-gham-e-hijr mein kyaa rakkhaa hai arsa-e-hashr mein rusvaai yaqini thi magar teri rahmat ne har ik jurm chhupaa rakkhaa hai manzil-e-dair-o-haram chhoD ke ai jaan-e-jahaan main ne kaaba teri chaukhaT ko banaa rakkhaa hai jazba-e-ishq mein takmil-e-ibaadat ke liye main ne sar yaar ke qadmon mein jhukaa rakkhaa hai tere jalvon ki ye shokhi are tauba tauba hosh muusaa kaa sar-e-tur uThaa rakkhaa hai"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"jalva jo tire rukh kaa ehsaas mein Dhal jaae is aalam-e-hasti kaa aalam hi badal jaae un mast nigaahon kaa ik daur jo chal jaae ham dard ke maaron ki taqdir badal jaae masruf-e-ibaadat kaa yuun khatm ho afsaana sar ho tiri chaukhaT pe dam meraa nikal jaae tu laakh bachaa daaman dar se na uThungaa main un mein se nahin huun main Taale se jo Tal jaae ai jaan-e-karam mujh par ek chashm-e-karam kar de aisaa na ho divaana qadmon pe machal jaae hasrat bhari aankhon mein ik pal ke liye aa jaa dekhe jo teri surat divaana bahal jaae tu aag mohabbat ki bhar de miri nas nas mein har zarra mire dil kaa is aag mein jal jaae bijli tire jalvon ki gir jaae kabhi mujh par ai jaan miri hasti is aag mein jal jaae ai chaaragaro dekho bimaar-e-mohabbat huun tadbir karo aisi dil jis se bahal jaae tu jazb-e-mohabbat mein kar le vo asar paidaa jis samt nazar uTThe ik tiir saa chal jaae paamaal-e-rah-e-ulfat ho jaaun mohabbat mein vo shokh agar mujh ko qadmon se masal jaae taqdir kare ehsaan yuun baad-e-'fanaa' mujh par khaak-e-dar-e-jaanaana munh par mire mal jaae"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"tum ho sharik-e-gham to mujhe koi gham nahin duniyaa bhi mere vaaste jannat se kam nahin chaahaa hai tujh ko tujh pe luTaai hai zindagi tere 'alaava kuchh miraa din-o-dharam nahin vo bad-nasib raahat-e-hasti na paa sakaa jis pe mire habib ki chashm-e-karam nahin main banda-e-sanam sahi kaafir sahi magar paae miraa maqaam kisi mein ye dam nahin us raaste mein sar ko jhukaanaa haraam hai jis raaste mein aap kaa naqsh-e-qadam nahin ai aane vaale apni jabin ko jhukaa kar aa ye aastaan-e-yaar hai ku-e-haram nahin ahl-e-junun kaa is liye mashrab judaa rahaa vaaqif niyaaz-e-ishq se shaikh-e-haram nahin munkir rah-e-vafaa mein 'fanaa' kis tarah se ho meraa jahaan mein koi vajud-o-adam nahin"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"baa-hosh vahi hain divaane ulfat mein jo aisaa karte hain har vaqt unhi ke jalvon se imaan kaa saudaa karte hain ham ahl-e-junun mein bas yahi mearaaj-e-ibaadat hai apni miltaa hai jab un kaa naqsh-e-qadam ham shukr kaa sajda karte hain milte hain nazar hosh uDte hain masti bhi barasne lagti hai maalum nahin vo kaun si mai aankhon se pilaayaa karte hain paate hain vahi maqsud-e-nazar milti hai unhein manzil un ki jo un ki tamannaa mein har dam khud apni tamannaa karte hain hai shauq yahi mastaanon ko hai sharm yahi divaanon ko siine se lagaa kar yaad us ki us shokh ki puujaa karte hain maayus na ho naadaan na ban dil soz-e-alam se jalne de jo chaahne vaale hain un ke vo aag se khelaa karte hain ham kis ke hue dil kis ne liyaa vo kaun hai kyaa hai kyaa kahiye ye raaz abhi tak khul na sakaa ham kis ki tamannaa karte hain maikhaana-e-hasti mein ham ne ye rang nayaa dekhaa saaqi jin baada-kashon ko hosh nahin vo hosh kaa daavaa karte hain ye kaisi jafaaein hoti hain ye kaisi adaa hai un ki 'fanaa' ham husn kaa parda rakhte hain vo ishq kaa daavaa karte hain"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"maail-ba-karam mujh par ho jaaein to achchhaa ho maqbul mire sajde ho jaaein to achchhaa ho is dasht-navardi se pichhaa to kahin chhuTe ham kucha-e-jaanaan mein mar jaaein to achchhaa ho sar ho dar-e-jaanaan pe dam apnaa nikal jaae ye kaam mohabbat mein kar jaaein to achchhaa ho yuun to sabhi aae hain dafnaane mujhe lekin vo bhi miri mayyat pe aa jaaein to achchhaa ho phir dard-e-judaai kaa jhagDaa na rahe koi ham naam tiraa le kar mar jaaein to achchhaa ho dekhein na kisi ko ham phir dekh ke rukh teraa didaar tiraa kar ke mar jaaein to achchhaa ho rah jaae mohabbat kaa duniyaa mein bharam kuchh to do phuul hi turbat pe dhar jaaein to achchhaa ho dhaDkaa lagaa rahtaa hai har vaqt balaaon kaa ham saath nasheman ke jal jaaein to achchhaa ho badnaam hi karne ko aaein vo magar aaein vo itnaa karam mujh par kar jaaein to achchhaa ho jaa sakte hain jaane ko ham chal ke 'fanaa' dekhein vo khud hamein mahfil mein bulvaaein to achchhaa ho"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"miri lau lagi hai tujh se gham-e-zindagi miTaa de tiraa naam hai masihaa mire dard ki davaa de miri pyaas baDh rahi hai miraa dil sulag rahaa hai jo nahin hai jaam saaqi to nigaah se pilaa de miraa muddaaa hai itnaa tu agar kare gavaara main faqir-e-aastaan huun mujhe bandagi sikhaa de mujhe shauq-e-bandagi mein yahi ek aarzu hai tiraa naqsh-e-paa jahaan ho miraa sar vahin jhukaa de mujhe dekh kar pareshaan kyaa kahegaa ye zamaana main bhaTak rahaa huun dar dar mujhe aa ke aasraa de tiraa jaam jaam-e-kausar tiraa mai-kada hai jannat mire haal pe karam kar miri tishnagi bujhaa de jise aap chaahte the vo 'fanaa' hai ab kafan mein koi jaa ke aaj un ko zaraa ye khabar sunaa de"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"un ke jalvon pe hama-vaqt nazar hoti hai kucha-e-yaar mein yuun apni basar hoti hai jaane kyaa chiiz mohabbat ki nazar hoti hai vo jidhar hote hain duniyaa hi udhar hoti hai hosh vaale meri vahshat ko bhalaa kyaa samjhein un ke divaanon ko aalam ki khabar hoti hai ishq mein chaand-sitaaron ki haqiqat kyaa ho jalva-e-yaar pe qurbaan sahar hoti hai aap ki yaad se hotaa hai miraa dil raushan aap ko dekh ke bedaar nazar hoti hai meri un ko na khabar ho ye koi baat nahin un ko to saare zamaane ki khabar hoti hai jazba-e-ishq mein jannat ki tamannaa kaisi ye bulandi to miri gard-e-safar hoti hai hech hoti hai nigaahon mein mataa-e-kaunain mere dilbar ki nazar jab bhi idhar hoti hai mere daaman mein samaa jaate hain donon aalam mere jaanaan ki nazar jab bhi idhar hoti hai aur kyaa hogi mire ishq ki mearaaj 'fanaa' zindagi yaar ke qadmon mein basar hoti hai"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"jo miTaa hai tere jamaal par vo har ek gham se guzar gayaa huiin jis pe teri navaazishein vo bahaar ban ke sanvar gayaa tiri mast aankh ne ai sanam mujhe kyaa nazar se pilaa diyaa ki sharaab-khaane ujaD gae jo nasha chaDhaa thaa utar gayaa tiraa 'ishq hai miri zindagi tire husn pe main nisaar huun tiraa rang aankh mein bas gayaa tiraa nuur dil mein utar gayaa ki khirad ki fitnagari vahi luTe hosh chhaa gai be-khudi vo nigaah-e-mast jahaan uThi miraa jaam-e-zindagi bhar gayaa dar-e-yaar tu bhi 'ajib hai hai 'ajib teraa khayaal bhi rahi kham jabin-e-niyaaz bhi mujhe be-niyaaz bhi kar gayaa tire diid se ai sanam chaman aarzuon kaa mahak uThaa tire husn ki jo havaa chali to junun kaa rang nikhar gayaa mujhe sab khabar hai mire sanam ki rah-e-'fanaa' mein hayaat hai use mil gai nai zindagi tire aastaan pe jo mar gayaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"vo aur honge jin ko haram ki talaash hai mujh ko to tere naqsh-e-qadam ki talaash hai main to gunaahgaar-e-mohabbat huun ai sanam mujh ko tiri nigaah-e-karam ki talaash hai zaahid sanam-kada meri manzil nahin magar aashiq huun mujh ko apne sanam ki talaash hai main teraa ho chukaa huun zamaane se kyaa gharaz ai jaan-e-jaan mujhe tire gham ki talaash hai zaahid talaash kartaa huun apne sanam ko main tujh ko sanam ke badle iram ki talaash hai le kar haram mein shaikh gayaa diin ki talab panDit ko but-kade mein dharam ki talaash hai ham aashiqon kaa kyaa hai ye marzi hai yaar ki un kaa sitam mile to sitam ki talaash hai meraa dharam yahi hai ki mil jaae tu mujhe teri hi justuju mein haram ki talaash hai main to 'fanaa' huun ishq mein ai jaan kyaa kahein tum jo ataa karo usi gham ki talaash hai"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"ai sanam tujh ko ham bhulaa na sake dil se daagh-e-vafaa miTaa na sake allaah allaah us aastaan ki kashish sar jhukaayaa to sar uThaa na sake miT gae shauq-e-did mein lekin aap jalva hamein dikhaa na sake teri chaahat mein dard vo paayaa ham zamaane mein chain paa na sake de ke dil tum ko jaan bhi de di phir bhi apnaa tumhein banaa na sake jab se nisbat hui tire dar se ham kisi dar pe sar jhukaa na sake ishq mein ye ajab tamaasha hai un ko paayaa to khud ko paa na sake aisi badli havaa zamaane ki zakhm siine ke muskuraa na sake tum 'fanaa' ki lahad pe baad-e-fanaa aa ke do phuul bhi chaDhaa na sake"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"vo aashnaa-e-manzil-e-irfaan huaa nahin jis ko tire karam kaa sahaaraa milaa nahin dekhaa bahut nigaah-e-talab ko milaa nahin tum se tum hi ho tum saa koi dusraa nahin jaaun to uTh ke jaaun kahaan tere dar se main tere sivaa kisi ko bhi dil maantaa nahin teraa karam mataa-e-do-aalam mire liye teraa karam rahe to do-aalam mein kyaa nahin dast-e-talab baDhe to mile phir karam ki bhiik un ki ataa ne ye bhi gavaara kiyaa nahin main bhi faqir-e-dar huun mujhe bhi navaaz do maayus koi dar se tumhaare gayaa nahin takmil bandagi na hui mujh se ai 'fanaa' jab tak dar-e-habib pe sajda kiyaa nahin"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"duniyaa ke har khayaal se begaana kar diyaa husn-e-khayaal-e-yaar ne divaana kar diyaa tu ne kamaal jalva-e-jaanaana kar diyaa bulbul ko phuul shama ko parvaana kar diyaa mashrab nahin ye meraa ki pujun buton ko main shauq-e-talab ne dil ko sanam-khaana kar diyaa un ki nigaah-e-mast ke qurbaan jaaiye mere junun ko haasil-e-mai-khaana kar diyaa Thukraae yaa qubul kare us ki baat hai ham ne to pesh jaan kaa nazraana kar diyaa tere khiraam-e-naaz pe qurbaan zindagi naqsh-e-qadam ko raunaq-e-viraana kar diyaa mai-khaana-e-alast kaa vo rind huun 'fanaa' jis par nigaah Daal di mastaana kar diyaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"andhere laakh chhaa jaaein ujaalaa kam nahin hotaa charaagh-e-aarzu jal kar kabhi maddham nahin hotaa masihaa vo na hon to dard-e-ulfat kam nahin hotaa ye zakhm-e-ishq hai is zakhm kaa marham nahin hotaa gham-e-jaanaan ko jaan-e-jaan banaa le dekh divaane gham-e-jaanaan se baDh kar aur koi gham nahin hotaa talab ban kar miri har dam vo mere saath rahte hain kabhi tanhaa miri tanhaai kaa aalam nahin hotaa tumhaaraa aastaana chhoD kar aakhir kahaan jaaun diyaa hai dard-e-dil tum ne vo dil se kam nahin hotaa miraa tan-man jalaa kar tu ne zaalim khaak kar Daalaa magar ai soz-e-ulfat teraa shoala kam nahin hotaa tere dar se mujhe itni mohabbat ho gai jaanaan tire dar ke alaava sar kahin bhi kham nahin hotaa badalti hi nahin qismat mohabbat karne vaalon ki tasavvur yaar kaa jab tak 'fanaa' paiham nahin hotaa samajh liije ki jazb-e-dil mein hai koi kami baaqi agar didaar un kaa ishq mein har dam nahin hotaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"ye tamannaa hai ki is tarah musalmaan hotaa main tire husn pe sau jaan se qurbaan hotaa aalam-e-josh-e-junun mein jo adaa hoti namaaz sar miraa sar kahaan hotaa dar-e-jaanaan hotaa kuchh tamannaa hai to bas ye hai mohabbat mein mujhe mere haathon mein mire yaar kaa daaman hotaa tu agar apnaa banaa letaa mujhe mere sanam kyuun mohabbat miraa chaak-e-garebaan hotaa sab karishma hai faqat rang-e-dui kaa varna mazhab-e-pir-e-mughaan mushrib-e-rindaan hotaa na dikhaate mujhe jalva magar itnaa karte aap kaa gham miri taskin kaa saamaan hotaa thaam kar main tire daaman kaa 'fanaa' ho jaataa kaash is tarah mukammal miraa imaan hotaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"ishq-e-sanam namaaz hai hai yahi zindagi miri dil hai miraa sanam-kada diin hai meraa kaafiri sar-ba-sujud huun sanam but-kada-e-majaaz mein de gai but-parastiyaan teri adaa-e-dilbari zaahid-e-ishq se judaa mazhab-e-ishq hai miraa jhuknaa dar-e-naqib par mere liye hai behtari mere sar-e-niyaaz ko dair-o-haram karein salaam mujh ko tire khayaal ne bakhshi hai vo qalandari sadqe karun main jaan-o-dil yaar ke paa-e-naaz par hai yahi asvad-e-haram hai yahi taaj-e-khusravi teri nigaah-e-naaz hai meri talab ki aabru tujh pe nisaar ai sanam husn-e-butaan-e-aazari uTh ke tire dayaar se jaae tiraa 'fanaa' kahaan kaaba-e-chashm-e-ishq hai teraa jamaal ai pari"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain jaan-e-jaan teri nigaahein mai-kada-bar-dosh hain ishq mein ahl-e-vafaa kitne aziyyat-kosh hain khuun dil kaa ho rahaa hai lab magar khaamosh hain ai nigaah-e-shauq kis manzil mein le aai mujhe donon aalam jalva-gaah-e-yaar mein ru-posh hain mujh ko tanhaa dekhne vaale na samjhein raaz-e-ishq meri tanhaai ke lamhe yaar ke aaghosh hain 'sarmad'-o-'mansur'-o-'shibli' ki nazar se dekhiye hosh vaale hain vahi duniyaa mein jo behosh hain lan-taraani ki sadaa par muskuraayaa thaa koi jitne zarre tuur mein the aaj tak behosh hain ai 'fanaa' baada-kashi mein ye unhi kaa hai karam un ki mast aankhon se pi kar bhi saraapaa hosh hain"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"tujhe DhunDhti hain nazrein mujhe ik jhalak dikhaa jaa miri zindagi ke maalik miri zindagi mein aa jaa na gharaz sanam-kade se na haram se koi matlab mujhe vaasta hai tujh se mire dil mein tu samaa jaa tu bichhaD gayaa hai jab se miri niind uD gai hai tiri raah tak rahaa huun mire chaand ab to aa jaa mujhe dard de ke apnaa tu kahaan chhupaa hai jaa kar miraa dil churaane vaale mujhe shakl to dikhaa jaa tiraa dard ban gayaa hai miri zindagi kaa haasil mire dil pe haath rakh de zaraa hausla baDhaa jaa mujhe aa ke de sahaaraa ye qadam na Dagmagaaein kahin main bhaTak na jaaun mujhe raasta dikhaa jaa mire naam ki nishaani na rahe jahaan mein baaqi miri jaan lene vaale miri qabr bhi miTaa jaa tire husn pe fidaa huun tire ishq mein 'fanaa' huun mujhe teri aarzu hai miri khalvaton mein aa jaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"hai kahaan kaa iraada tumhaaraa sanam kis ke dil ko adaaon se bahlaaoge sach bataao ki is chaandni raat mein kis se vaa'da kiyaa hai kahaan jaaoge dekho achchhaa nahin ye tumhaaraa chalan ye javaani ke din aur ye shokhiyaan yuun na aaya karo baal khole hue varna duniyaa mein badnaam ho jaaoge aaj jaao na bechain kar ke mujhe jaan-e-jaan dil dukhaanaa buri baat hai ham taDapte raheinge yahaan raat-bhar tum to aaraam ki niind so jaaoge paas aao to tum ko lagaaein gale muskuraate ho kyon duur se dekh kar yunhi guzre agar ye javaani ke din ham bhi pachhtaaeinge tum bhi pachhtaaoge bevafaa be-muravvat hai in ki nazar ye badal jaaeinge zindagi luuT kar husn vaalon se dil ko lagaayaa agar ai 'fanaa' dekho be-maut mar jaaoge"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri
Quote
"mere rashk-e-qamar tu ne pahli nazar jab nazar se milaai mazaa aa gayaa barq si gir gai kaam hi kar gai aag aisi lagaai mazaa aa gayaa jaam mein ghol kar husn ki mastiyaan chaandni muskuraai mazaa aa gayaa chaand ke saae mein ai mire saaqiyaa tu ne aisi pilaai mazaa aa gayaa nashsha shishe mein angDaai lene lagaa bazm-e-rindaan mein saaghar khanakne lagaa mai-kade pe barasne lagin mastiyaan jab ghaTaa ghir ke aai mazaa aa gayaa be-hijaabaana vo saamne aa gae aur javaani javaani se Takraa gai aankh un ki laDi yuun miri aankh se dekh kar ye laDaai mazaa aa gayaa aankh mein thi hayaa har mulaaqaat par surkh aariz hue vasl ki baat par us ne sharmaa ke mere savaalaat pe aise gardan jhukaai mazaa aa gayaa shaikh-sahab kaa imaan bik hi gayaa dekh kar husn-e-saqi pighal hi gayaa aaj se pahle ye kitne maghrur the luT gai paarsaai mazaa aa gayaa ai 'fanaa' shukr hai aaj baa'd-e-fanaa us ne rakh li mire pyaar ki aabru apne haathon se us ne miri qabr pe chaadar-e-gul chaDhaai mazaa aa gayaa"
Fana BulandshahriFana Bulandshahri