SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byKaleem Ahmadabadi(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"buland-o-past haqiqat se aashnaa na huaa vo dil ki jis mein koi harf-e-muddaaa na huaa vo zinda dil thaa main sahtaa rahaa gham-e-duniyaa usi mein jaan di lekin gurez-paa na huaa chalaa jo shab kaa musaafir to is adaa se chalaa ki jab rukaa to dar-e-subh runumaa na huaa tumhin bataao ki is dil kaa kyaa kiyaa jaae jo choT khaa ke bhi choTon se aashnaa na huaa sitaare toD liye ham ne zuhd-o-taqvaa ke magar jo haqq-e-ibaadat thaa vo adaa na huaa chale chalo ki abhi subh ki siyaahi hai sahar qarib hai taara koi huaa na huaa 'kalim' dard-e-mohabbat samajh mein kyuun aae vahi to dard hai jo dard-e-laa-davaa na huaa"
K
Kaleem Ahmadabadi
Quote
"inqilaab-e-dahr ruk ruk kar javaan bantaa gayaa jo subuk-sar thaa vahi sang-e-giraan bantaa gayaa naghma-e-dil jab baDhaa aah-o-fughaan bantaa gayaa aasmaan ik aur zer-e-aasmaan bantaa gayaa jaane kyaa bhar di hain us ne is chaman mein shokhiyaan jo bhi aayaa vo chaman kaa raaz-daan bantaa gayaa har-nafas ko apni manzil kaa pata miltaa nahin jo jahaan Thahraa vahin ik kaarvaan bantaa gayaa sard aahon kaa tasarruf ho to soz-e-dil kahaan dil se jo shoala uThaa vo bhi dhuaan bantaa gayaa be-sabab hotaa nahin jazbaat-e-dil kaa valvala jis ne samjhaa aai apnaa raaz-daan bantaa gayaa kuchh bahaaron mein khizaan hai kuchh khizaan mein hai bahaar phuul murjhaae to ghuncha gulsitaan bantaa gayaa aadmi ki asliyat ko aadmi samjhaa nahin ek qatra thaa jo bahr-e-be-karaan bantaa gayaa ham to baiThe hi rahe apni asiri ko liye banne vaalaa kaam be-vahm-o-gumaan bantaa gayaa 'mir'-o-'ghaalib' se baDhe to hazrat-e-iqbaal tak shaghl she'r-o-shaa'eri kaa jaavedaan bantaa gayaa dahr mein ye bhi to hain qaanun-e-fitrat ke usuul jo nazar se gir gayaa vo dilsitaan bantaa gayaa barq ki sar-garmiyaan tasnim phir bhi ai 'kalim' bijliyaan girti rahein aur aashiyaan bantaa gayaa"
K
Kaleem Ahmadabadi
Quote
"teri taskin kaa sabab kaun-o-makaan hai ki nahin ruh-parvar ye jahaan-e-guzaraan hai ki nahin din ki zau-taabiyaan taarik fazaaein shab ki pichhli raaton ke dhundalke se ayaan hai ki nahin naara-e-daar-o-rasan haadisa-e-kaun-o-makaan khufta-jaanon ke liye khvaab-e-giraan hai ki nahin khud kham-o-pech tujhe raah ke batlaa deinge teri Thokar mein tiraa sud-o-ziyaan hai ki nahin teri zulfein tiraa rukh teri jabin teri nazar ye chaman aaina-e-dida-varaan hai ki nahin is nazar se vo mujhe dekhte rahte hain 'kalim' garm khuun garm nafas garm-e-fughaan hai ki nahin"
K
Kaleem Ahmadabadi
Quote
"surur-o-kaif hai kuchh lazzat-e-baqaa to nahin ye ibtidaa ki haqiqat hai intihaa to nahin sitaare tiir nigaahon se dekhte kyuun hain miraa junun koi mere liye balaa to nahin fareb khaae na kyuun kar kisi kaa saada dil zamaana-saaz nigaahon se aashnaa to nahin kahin giri to hai bijli zaraa nazar kiije kisi gharib ki palTi hui duaa to nahin hazaar baar khizaan se bahaar Takraai chaman kaa raaz magar aaj tak khulaa to nahin mizaaj-e-husn mukaddar hai kyuun khudaa jaane is aaine mein koi baal aa gayaa to nahin hujum-e-naaz mein jalva-farebiyon ke sivaa 'kalim' aur koi haadisa huaa to nahin"
K
Kaleem Ahmadabadi
Quote
"ye mohabbat hai mohabbat sargiraani ho to kyaa shiddat-e-gham se jigar kaa khuun paani ho to kyaa ruuh ban kar meri rag rag mein saraayat kar gayaa aise dard-e-dil ki koi tarjumaani ho to kyaa sard ho saktaa nahin sargarm insaan kaa lahu haadisaat-e-nau-ba-nau mein zindagaani ho to kyaa apnaa jiinaa ek dhokaa apnaa marnaa ik fareb zindagi se zindagi ki tarjumaani ho to kyaa har tarah khush khush rahi hai mujh se meri zindagi mehrbaani ho to kyaa naa-mehrbaani ho to kyaa gham natija hai khushi ki intihaa kaa ai 'kalim' dil ki ik ik mauj mauj-e-shaadmaani ho to kyaa"
K
Kaleem Ahmadabadi
Quote
"zor-e-baazu bhi hai aur saamne nakhchir bhi hai dekhnaa ye hai ki tarkash mein koi tiir bhi hai kis tarah ishq-e-majaazi ko haqiqi kar luun saamne tu hai baghal mein tiri tasvir bhi hai kuchh nahin hai tire haathon mein lakiron ke sivaa baat naaseh ki hai lekin khat-e-taqdir bhi hai chheDti hai mujhe aa aa ke miri aazaadi go main qaidi huun mire paanv mein zanjir bhi hai mere hone kaa mire hosh ko ehsaas nahin varna jo qatra-e-khun hai vo sharar-gir bhi hai ahl-e-dil ke liye aazaar hai duniyaa ko mufid aql ik hosh hai aur hosh ki taabir bhi hai koi samjhe ki na samjhe tire ashaar 'kalim' zor-e-'ghaalib' bhi hai aur dilkashi-e-'mir' bhi hai"
K
Kaleem Ahmadabadi