Quote
"kyaa kahein mahfil se teri kyaa uThaa kar le gae ham mataa-e-dard ko tanhaa uThaa kar le gae dhuup kaa sahraa nazar aataa hai ab chaaron taraf aap to har peD kaa saayaa uThaa kar le gae ab vahi zarre hamaare haal par hain khanda-zan aasmaan tak jin ko ham unchaa uThaa kar le gae kyaa gharaz ham ko vahaan ab koi bhi aabaad ho ham to us basti se ghar apnaa uThaa kar le gae vo to majnun thaa rahaa jo umr bhar sahraa-navard ham jahaan pahunche vahin sahraa uThaa kar le gae kar na paae raahbar bhi rahnumaai jab 'hayaat' ham bhi hairaani mein naqsh-e-paa uThaa kar le gae"
M
Masooda Hayat






