SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"hamein zaahid jo kaafir jaantaa hai to phir patthar ko tu kyuun maantaa hai na puchhaa us ne mujh ko kaun hai tu huaa saabit ki vo pahchaantaa hai na mujh se pher munh kaafir khudaaraa are quraan kyuun gardaantaa hai kahun kis se ki kyaa hai yaar meraa use kuchh meraa ji hi jaantaa hai bahut chaahaa na bolun yaar tujh se magar zaalim ye dil kab maantaa hai nahin chhalni hamaaraa dil na hogaa hamaari baat kyuun tu chhaantaa hai na deinge jaan ham kahne pe us ke raqib-e-ru-siyah kyuun taantaa hai bhalaa kyun-kar use samjhaae koi vo kaafir kab kisi ki maantaa hai ghazab hai chheDnaa us fitna-gar ko ye 'anjum' dil mein kyaa tu Thaantaa hai"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"dam-e-rukhsat jo un se kah ke main uTThaa khudaa-haafiz lage jhunjhlaa ke vo kahne bahut achchhaa khudaa-haafiz jo main jaataa huun uTh kar fi-amaanillaah kahtaa huun tire munh se na o kaafir kabhi niklaa khudaa-haafiz kahaa hai kis ne tum se chumo-chaaTo jaa ke patthar ko tumhaare zaahido ab den o imaan kaa khudaa haafiz hifaazat mein vo dekhe ghair ki tujh ko qayaamat hai kabhi jo bad-gumaani se na ho kahtaa khudaa-haafiz sunaa hai aaj vo but khuub hi ban-Than ke aataa hai tire dil kaa are o 'anjum'-e-shaidaa khudaa haafiz"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"pae-gunaah hai teri panaah ki takhsis ki hai tujhi pe har ik daad-khvaah ki takhsis jo aap samjhe hain mujrim hamein to kuchh nahin Dar ki ki hai aap hi ne do gavaah ki takhsis firaaq-e-yaar mein be-roe ban nahin paDti asar ke vaaste kar di hai aah ki takhsis na dil churaate hamaaraa na tum khajil hote pae-hijaab hai nichi nigaah ki takhsis dikhaave aur koi apnaa yaar zohra-jabin jo aasmaan nahin us rashk-e-maah ki takhsis pahunch hi jaate kabhi phir phiraa ke dar pe tire ye tu ne kaahe ko ki ek raah ki takhsis tamaam khalq-e-khudaa tujh ko chaahne lagti lagaa na detaa agar tu panaah ki takhsis vo mujh se kahte hain tum chaahte nahin mujh ko mire Dubone ko karte hain chaah ki takhsis hai teri zarra-navaazi ki ye dalil adnaa ki aasmaan ke hai ham-raah jaah ki takhsis"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"dil le ke hamaaraa phirtaa hai ye kaun vatira teraa hai kartaa hai chhichhori baatein kyuun har baat mein teraa meraa hai tum chehra apnaa dikhlaa do kuchh raah-e-khalaasi batlaa do ik zulf kaa saudaa sar mein hai ik kaali balaa ne gheraa hai is aane ki kyaa mujh ko khushi paabandi is mein kaahe ki bhule se idhar bhi aa nikle ik jogi kaa saa pheraa hai ham aap hain ek balaa-e-bad kyaa ham se karegaa koi kad aghyaar karein ham se kaavish munh ham ko saaraa teraa hai ham jaan se apni jaate hain par dil se ye jaataa hi nahin is ishq kaa hove buraa 'anjum' kyaa is ne Daalaa Deraa hai"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"umid-e-mehr par ik hasrat-e-dil ham bhi rakhte the tamannaa vasl ki ai maah-e-kaamil ham bhi rakhte the kabhi gulzaar daagh-e-'ishq se dil ham bhi rakhte hai kabhi ik taaza gulshan ai 'anaadil ham bhi rakhte the kisi din to vo bahr-e-husn aa kar zeb-bar hotaa ki aaghosh-e-tamannaa shakl-e-saahil ham bhi rakhte the alag tu bazm se uTh kar jo sun letaa to kah dete ki kuchh kuchh iltijaa ai zeb-e-mahfil ham bhi rakhte the hamein be-maut kyuun maaraa ajal tu kis liye aai havaa-e-bosa-e-shamshir-e-qaatil ham bhi rakhte the hamaare dil kaa 'uqda kyuun na ai ghuncha-dahan kholaa havas bose ki thi thoDi si mushkil ham bhi rakhte the karein ab kyaa kahaan DhunDhein ganvaayaa ku-e-gesu mein kabhi yaadash-ba-khair ai hamdamo dil ham bhi rakhte the hamaaraa imtihaan bhi o qadr-andaaz laazim thaa dil-e-majruh-o-muztar jaan-e-bismil ham bhi rakhte the kiyaa paamaal us ko kyuun na tum ne saath sabze ke tumhaare zer-e-paa ai jaan-e-jaan dil ham bhi rakhte the nahin ab kasrat-e-daagh-e-junun se laaeq-e-hadiya kabhi dil peshkash karne ke qaabil ham bhi rakhte the haqaarat se na dekho aaj ham ko ai pari-ruyo kabhi tum saa koi zohra-shamaail ham bhi rakhte the 'ajab hai kyaa hui ulfat vo ai jaan donon jaanib ki yahi dil tum bhi rakhte the yahi dil ham bhi rakhte the yunhi shab bhar jalaa karte the yaad-e-shoala-e-rukh mein yahi sozish kabhi ai sham'-e-mahfil ham bhi rakhte the lab-e-jaan-bakhsh par kyaa fauq dete chashm-e-fattaan ko ki 'anjum' kuchh tamiz-e-haqq-o-baatil ham bhi rakhte the"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"khudaa khudaa kar ke aae bhi vo to munh lapeTe paDe hue hain na kahte hain kuchh na sunte hain kuchh kasi se jaise laDe hue hain hazaar-haa mannatein kareinge lipaT ke qadmon pe sar dhareinge na jaane deinge na jaane deinge abas vo bigDe khaDe hue hain savaal karte hain mujh se kyaa kyaa pae-khudaa mere raahbar aa paDaa main taktaa huun teraa rasta nakir-o-munkir khaDe hue hain rahi jo un se tumhein kudurat to baDh gai vahshiyon ki vahshat uDaai is darja khaak-e-hasrat kamar kamar tak gaDe hue hain idhar to jiine se ham hain aari udhar mangaate ho tum savaari ye kaisi hain garmiyaan tumhaari phaphule dil mein paDe hue hain farebi aankhein rasili chitvan adaa ishaara nigaah rahzan ye apne do tiin hain jo dushman nazar mein anjum taDe hue hain"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"kyuun khud-bakhud phiri nigah-e-yaar kyaa sabab kyuun sar-nigun hai aabru-e-kham-daar kyaa sabab qismat palaT gai ki nasiba ulaT gayaa kyuun khud-bakhud phiri nigah-e-yaar kiyaa sabab kyaa aa gayaa qarib zamaana visaal kaa kyuun be-qaraar hai ye dil-e-zaar kyaa sabab taaqat kahaan se aa gai is naa-tavaan mein aaj dam toDtaa jo hai dil-e-bimaar kyaa sabab kis se laDi nigaah ye kis par itaab hai hote hain band rauzan-e-divaar kyaa sabab furqat ki raat roz-e-qayaamat kahin na ho hoti nahin jo subh-e-shab-e-taar kyaa sabab 'anjum' gae the un ko sunaane ke vaaste phir haal-e-dil kiyaa jo na izhaar kyaa sabab"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"yaan kufr se gharaz hai na islaam se gharaz bas hai agar gharaz to tire naam se gharaz aish-o-nashaat-e-zist hai sab aap se husul yaan shishe se gharaz hai na hai jaam se gharaz tum paas ho agar to baraabar hai raat din kuchh subh se gharaz na hamein shaam se gharaz dil pher dijiye na bigaDiye huzur aap yaan bose se gharaz hai na dushnaam se gharaz paD rahne bhar ko dijiye dar par hamein jagah raahat se kuchh gharaz hai na aaraam se gharaz aankhein dilaa milin hamein rone ke vaaste naakaamiyon se kaam na hai kaam se gharaz 'anjum' kaa sher kahne se biknaa muraad hai tahsin se kuchh gharaz hai na ilzaam se gharaz"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"na hui saaf tabiat hi to hai rah gai dil mein kudurat hi to hai bhaa gaiin dil ko adaaein un ki khub gai aankhon mein surat hi to hai meri mayyat pe na aae na sahi na hui aap ko fursat hi to hai nahin kartaa main jafaa kaa shikva aap kyaa kijiye aadat hi to hai nahin aataa kasi pahlu aaraam nahin kaTti shab-e-furqat hi to hai nikli qaatil na tire tiir ke saath dil hi mein rah gai hasrat hi to hai mujh se aasi pe ye bakhshish ye karam banda-parvar tari rahmat hi to hai na Tali sar se bulaa-e-furqat paD gai jaan pe aafat hi to hai ham ne pheraa na dil apnaa tujh se jaan de baiThe muravvat hi to hai hashr barpaa hai tari qaamat se ye bhi andaaz-e-qayaamat hi to hai na rahaa zabt kaa yaaraa 'anjum' na chhupi ham se mohabbat hi to hai"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"arsh o kursi ki khabar laae hain laane vaale ek muusaa hi na the tuur ke jaane vaale tuur ko tum ne jalaayaa to baDi baat na ki aag paani mein lagaate hain lagaane vaale mere marqad ko bhi aa kar kabhi Thukraa jaanaa are o fitna-e-mahshar ke jagaane vaale ek aalam tire aashiq ne kiyaa khaal-e-siyaah do hi naale kiye the tuur jalaane vaale kab talak apne karishme hamein dikhlaaoge ai miyaan roz nae tarz dikhaane vaale meri taqdir jo palTe to taajjub kyaa hai sunte hain bigDi banaate hain banaane vaale tum jo aankhon mein miri aae to ehsaan kiyaa aankhein kyaa dil mein samaate hain samaane vaale laakh ho maana-e-fariyaad magar kyaa hogaa arsh ko sar pe uThaa leinge uThaane vaale apni qismat nahin aisi ki ho didaar 'anjum' muntazir jin ke hain kab aaein vo aane vaale"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"lagi hai misi paan khaae hue hain sunaane pe beDaa uThaae hue hain ghazab hai hasinon se dil kaa lagaanaa ye aafat ke putle banaae hue hain mire khat ko phaaDaa raqibon ke aage kisi ki vo paTTi paDhaae hue hain ulajhne se baalon ke bigDo na saahib tumhaare hi ye sar chaDhaae hue hain kaleja hatheli pe rakh luun to jaaun vo haathon mein mehndi lagaae hue hain shab-e-hijr jab khvaab dekhaa ye dekhaa ki tujh ko gale se lagaae hue hain tiri tegh ki aab jaati rahi hai mire zakhm paani churaae hue hain jidhar dekhtaa huun unhein kaa hai jalva vo nazron mein aise samaae hue hain utaareinge kis kis ko nazron se 'anjum' vo kyuun aaj tevari chaDhaae hue hain"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"bataa tu dil ke bachaane ki koi raah bhi hai tiri nigaah ki naavak-fagan panaah bhi hai sazaa ke vaaste iqraar bhi gunaah bhi hai aur ek tum saa koi dusraa gavaah bhi hai khudaa kaa ghar bhi hai dil mein buton ki chaah bhi hai sanam-kada bhi hai dil apnaa khaanqaah bhi hai ajiib haal hai duniyaa-parast logon kaa maaad kaa bhi khayaal aur fikr-e-jaah bhi hai ilaahi khizr kahun ishq ko ki ghol-e-tariq ki raahbar bhi ye hai aur sadd-e-raah bhi hai usi pe marte hain ham aur usi ko chaahte hain vahi hai aalim o daanaa vahi gavaah bhi hai gale se aa ke lipaT jaa khudaa ko maan o but hai aaj tujh pe bhi jauban uruj-e-maah bhi hai muraad tujh se na maangun to kis se maangun main tikaD-gadaa tire dar kaa gadaa bhi shaah bhi hai agarche dil se huun banda buton kaa main lekin zabaan pe kalma-e-tahrim-e-laa-ilaah bhi hai gunaah bakhsh de 'anjum' ke ai rahim o karim ki pur-gunaah bhi hai aur uzr-khvaah bhi hai dikhaaegaa kise mahshar mein apnaa munh 'anjum' siyaahkaar bhi hai aur ru-siyaah bhi hai"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"gham-e-hijr ke gae din guzar huaa aakhir apnaa visaal hi pa ye kyaa ghazab hai pae-khudaa tujhe aaj tak hai malaal hi hai anokhaa us kaa jamaal hi na vo badr hai na hilaal hi nahin banti koi misaal hi balaghul-ulaa-be-kamaalehi miri aah ne ye kiyaa asar ki vo aan kar hue jalva-gar shab-e-taar-e-hijr hui sahar kashafuddujaa-be-jamaalehi hai usi ki shaan mein laa-fataa hai usi ki shaan mein hal-ataa hai usi ki shaan mein innamaa-hasonat-jamio-khisaalehi main savaal-e-vasl huun kar rahaa vo ye kahtaa hai ki na maanungaa ye ajab tarah kaa hai makhmasa ki na hijr hai na visaal hi mujhe kis tarah na khayaal ho ki na 'anjum' un ko malaal ho kisi baat kaa jo savaal ho nahin utni apni majaal hi"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"saare aalam mein nuur hai teraa har jagah par zuhur hai teraa sharq se gharb qaaf se taa-qaaf tazkira duur duur hai teraa dil-e-aashiq ko kyuun jalaataa hai ye bhi kyaa koh-e-tur hai teraa main kahaan aur teraa naam kahaan sab karam kaa vafur hai teraa shab-e-furqat ko kyuun daraaz kiyaa kyaa ye roz-e-nushur hai teraa us sitamgar kaa kyaa karein shikva o re dil sab qusur hai teraa rahm kar aasmaan pe ai baari banda-e-pur-qusur hai teraa is ko kahte hain anjum-e-aasi naam rabb-e-ghafur hai teraa"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"'anjum' tumhein ulfat abhi karnaa nahin aataa har ek pe marte ho pa marnaa nahin aataa aalam ke hasin bharte hain aankhon mein tumhaari dam ishq kaa bharte ho pa bharnaa nahin aataa ham jaan hi se apni guzar jaaein to behtar haT-darmi se un ko jo guzarnaa nahin aataa lo naam-e-khudaa ham se banaate hain vo baatein jin ko ki abhi baat bhi karnaa nahin aataa kahte ho miri laash pe maaraa hai ye kis kaa kyuun ji yahi kahte the mukarnaa nahin aataa bikhre hue baalon mein bhi hain laakh adaaein alhaD ko abhi mere sanvarnaa nahin aataa kyaa vasl ki shab kaaTi hai fiqre hi bataa kar sach hai ki tumhein baat katarnaa nahin aataa aisaa tu hamein piis ki hon aankhon kaa surma ai charkh tujhe jaur bhi karnaa nahin aataa haq ye hai ki anjum tiraa dil Thahre to kyun-kar siine pe unhein haath bhi dharnaa nahin aataa"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"rang badlaa hai kai din se mizaaj-e-yaar kaa joD shaayad chal gayaa phir aaj kal aghyaar kaa kas qadar paayaa savedaa-e-dil-e-aashiq ne auj rafta rafta til banaa aakhir tire rukhsaar kaa ab to aa kar dekh jaanaa chaahiye tujh ko zarur haal hai nau-e-digar iisaa tire bimaar kaa be-khudi mein zakhm-e-dil par jabki paDti hai nazar hotaa hai dhokaa tumhaare rauzan-e-divaar kaa haal-e-dard-e-dil bayaan kis se karun main bad-nasib tu hi jab pursaan na ho le mere haal-e-zaar kaa baat karnaa ho gayaa mushkil buton ke saamne paD gayaa phandaa gale mein rishta-e-zunnaar kaa ho gayaa huun naa-tavaan aisaa tumhaare hijr mein toDnaa mushkil huaa hai aansuon ke taar kaa ik faqat tere kashida hone se ye haal hai bhaagtaa hai saaya tak mujh se tiri divaar kaa naa-tavaan aisaa huun pis kar khaak ho jaaun abhi saaya paD jaae agar mujh par tiri divaar kaa ab to surat apni dikhlaao khudaa ke vaaste dam nikaltaa hai tumhaare taalib-e-didaar kaa apni kam-fahmi se 'anjum' ham nihaayat tang hain zehn mein aataa nahin mazmun dahaan-e-yaar kaa"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"baais-e-tark-e-mulaaqaat bataao to sahi chaahne vaalaa koi ham saa dikhaao to sahi kaisi hoti hai mohabbat nahin maalum tumhein ek do din kahin dil tum bhi lagaao to sahi bevafaai ki hai tohmat chalo maanaa ham ne haan bhalaa ham se zaraa aankh milaao to sahi jaan de dungaa magar tum ko na jaane dungaa uTh ke pahlu se bhalaa tum mire jaao to sahi nahin milne ki jo marzi hai na milnaa ham se baat karnaa ki na karnaa magar aao to sahi dekh lo jiite hain yaa marte hain mushtaaq sadaa apni aavaaz zaraa un ko sunaao to sahi har tarah bigDe hue baiThe hain jaane ke liye 'aasmaan' aaj koi baat banaao to sahi"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"aaj mehndi lagaae baiThe hain khuub vo rang laae baiThe hain mere aate hi ho gae barham kuchh kasi ke sikhaae baiThe hain tegh khinchi hai qatl par mere haath mujh se uThaae baiThe hain main shikaayat jafaa ki kartaa huun chupke vo sar jhukaae baiThe hain dum churaae hue paDe hain ham vo jo baalin pe aae baiThe hain imtihaan ko kahaa to bole vo ham tumhein aazmaae baiThe hain kas ko nazron se aaj utaareinge kyuun vo tevari chaDhaae baiThe hain dekhiye kab vo shama-ru aae shaam se lau lagaae baiThe hain Taalnaa vasl kaa jo hai manzur khud se khud munh thuthaae baiThe hain saada-pan mein hazaar jauban hai baal khole nahaae baiThe hain kaun pahlu se uTh gayaa 'anjum' aap kyuun dil dabaae baiThe hain"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"savaal kyaa karun tujh se gunaahgaar huun main nigaah chaar ho kyun-kar ki sharmsaar huun main ravaana rakh ki jahaan mein zalil-o-khvaar huun main jo huun so huun pa tire dar kaa khaaksaar huun main paDaa huaa huun buton ki gali mein dil thaame sabaa sambhal ke zaraa chal nahif-o-zaar huun main kasi se matlab-e-dil meraa hal nahin hotaa savaal-e-masala-e-jabr-o-ikhtiyaar huun main jafaa-o-zulm us ke gilaa karun kyun-kar sitam-shiaar hai vo aur vafaa-shiaar huun main tumhin bataao kare sabr kab talak koi na har kasi se hanso tum na ashk-baar huun main isi ko kahte hain yaa-rab nasib ki yaari ki yaar vo bhi na ho aur be-dayaar huun main vafaa kaa lutf mile gar hazaar jaanein hon nisaar tujh pe miri jaan hazaar baar huun main zabaan ho band zabaan se agar savaal karun qalam hon haath agar muddaaa-nigaar huun main ilaahi jazb-e-mohabbat mein de asar itnaa kaleja thaam le vo bhi jo be-qaraar huun main hazaar apni kahun us ki ek bhi na sunun khudaa vo din kare us se kahin do-chaar huun main main mast-e-baada-e-hubb-e-ali huun ai 'anjum' kabhi bahak na sake jo vo baada-khvaar huun main"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"ilaahi koi havaa kaa jhonkaa dikhaa de chehra uDaa ke aanchal ki jhaanktaa bhi hai vo sitam-gar to khaDkhaDi mein lagaa ke aanchal zarur Dhaaegaa koi aafat zarur fitna bapaa karegaa ye teraa aTkheliyon se chalnaa jhukaa ke gardan uThaa ke aanchal jo tum ko manzur hai phir aanaa tumhin kaho phir ye kaisaa jaanaa jataa ke ghussa sunaa ke baatein chaDhaa ke tevari chhuDaa ke aanchal zamaana furqat kaa jaae yaa-rab vo vaqt vo din bhi aae yaa-rab adaa karun main tiraa dogaanaa khaDe rahein vo bichhaa ke aanchal zarur hain kuchh na kuchh kashida ki rahte hain duur duur ham se jo paas bhi aa ke baiThte hain to zer-e-zaanu dabaa ke aanchal tumhein hai saahib lihaaz kis kaa ye kosnaa chupke chupke kaisaa duaa karun main ragaD ke maathaa kaho tum aamin uThaa ke aanchal tiraa ye buuTaa saa qad qayaamat pe chaal matvaali aafat aafat ye pyaari surat sitam dupaTTa ghazab ki rangat balaa ke aanchal samajh le ye dil mein 'aasmaan' tu vo loT hain tere loTne par jo oDh kar laTpaTaa dupaTTa luTaate hain adbadaa ke aanchal"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum
Quote
"gar unhein hai apni surat par ghamanD ham ko hai apni mohabbat par ghamanD mere un ke phir bhalaa kyun-kar bane khatm hai donon ki khaslat par ghamanD kyaa nahin dekhi bulandi aah ki kyuun falak kartaa hai rifat par ghamanD kaam qaarun ke na aayaa maal-o-zar munimo bejaa hai daulat par ghamanD baadshaah-e-haft-kishor hai to kyaa kar na do din ki hukumat par ghamanD dekh kar aaina mujh ko dang hai mujh ko bhi hai apni hairat par ghamanD un ko apni subh-e-mahshar par hai naaz ham ko apni shaam-e-furqat par ghamanD chhup-chhupaa kar dekh bhi leinge tumhein ham ko bhi hai apni jurat par ghamanD kuchh nahin kar saktaa 'anjum' aap kaa aasmaan ko hai jo hasrat par ghamanD"
Mirza Asman Jah AnjumMirza Asman Jah Anjum