Quote
"ye imtihaan khuub hai husn-e-shabaab kaa lenaa thaa dil bhi mujh se hi khaana-kharaab kaa aankhon se dekhnaa hai tariqa hijaab kaa rahtaa hai dil mein jalva yahaan aaftaab kaa do khalq ko na rabt-e-adu se fareb-e-mehr uThne do rozgaar se Dar inqalaab kaa mai bhi thi aag aatish-e-hasrat hui nasib ai kaash daagh siina mein hotaa sharaab kaa uThnaa thaa us ke rukh se qayaamat naqaab kaa aalam har ek zarra mein hai aaftaab kaa qata-e-vafaa se rafa-e-shikaayat muhaal hai haan silsila hai naala-e-dil pech-o-taab kaa ye hashr kyaa huaa abhi main ne kiyaa nahin kuchh bhi bayaan apne gham-e-be-hisaab kaa martaa huun rashk se ki muqaddar huaa thaa kyon mahshar mein mujh se yaar se uThnaa hijaab kaa likkhaa hai shauq-e-vasl to main ne unhein magar dhaDkaa hai naama-bar kaa taraddud javaab kaa saaqi ke saath jaagein to soein buton ke saath lazzat vo jaagne ki hai ye lutf khvaab kaa rone se apni jaa chuki naakaami-e-azal namnaak ho kar aaina tishna hai aab kaa maghrur-e-husn hain unhein kyaa yaad raah mein maaraa huaa hai kaun nigaah-e-itaab kaa dil ko judaai-e-sanam us par shakeb haif khugar na ho gayaa ho ye kaafir azaab kaa kahne se qabl chehre kaa rang uD gayaa yahaan sunne se pahle samjhe vo haal iztiraab kaa nairangi-e-tilism-e-tamanna ko kyaa kahun aalam dikhaa rahaa hai zulekhaa ke khvaab kaa maadum ho 'zaki' hai agar shauq-e-vasl asl baad-e-fanaa hai bahr mein milnaa habaab kaa"







