SHAWORDS

Ghazal

ग़ज़ल·غزل

The lyric art form of Urdu poetry — every sher a universe of longing, love, and philosophy

Showing ghazals byParveen Fana Syed(clear ×)

Featured Poets

All Poets →

Trending Ghazals

Quote
"naamus-e-vafaa kaa paas rahaa shikva bhi zabaan tak laa na sake andar se to roe TuuT ke ham par ek bhi ashk bahaa na sake saahil to nazar aayaa lekin tufaan mein balaa ki shiddat thi maujon ko manaayaa laakh magar ham jaanib saahil aa na sake ham kahte kahte haar gae aur duniyaa ne kuchh bhi na sunaa jab duniyaa ne israar kiyaa ham apnaa dard sunaa na sake kab ham ne gulistaan chaahaa thaa kab ham ne bahaarein maangin thiin ik gul ki tamannaa thi ham ko vo bhi to chaman mein paa na sake"
Parveen Fana SyedParveen Fana Syed
Quote
"tumhaaraa zauq-e-parastish mujhe aziiz magar main is zamin ki miTTi mujhe khudaa na kaho tumhaare saath agar do-qadam bhi chal na sakun to khasta-paa huun mujhe mujrim-e-vafaa na kaho ye ek pal ki dhaDakti hayaat bhi hai bahut tamaam-umr ke is rog ko buraa na kaho is ek khauf se lab si liye tumhaare huzur ki harf-e-shauq ko izhaar-e-muddaaa na kaho ye be-rukhi kaa gilaa mujh se pahle khud se karo use nigaah kaa yak-tarfa faisla na kaho guzarte vaqt ke marham se bhar na jaae kahin is ek zakhm ko chaahat ki intihaa na kaho main ek zinda haqiqat huun ek pal hi sahi tumhaaraa aks huun tum to mujhe fanaa na kaho"
Parveen Fana SyedParveen Fana Syed
Quote
"tujh ko ab koi shikaayat to nahin ye magar tark-e-mohabbat to nahin meri aankhon mein utarne vaale Duub jaanaa tiri 'aadat to nahin tujh se begaane kaa gham hai varna mujh ko khud apni zarurat to nahin khul ke ro luun to zaraa ji sanbhle muskuraanaa hi masarrat to nahin tujh se farhaad kaa tesha na uThaa is junun par mujhe hairat to nahin phir se kah de ki tiri manzil-e-shauq meraa dil hai miri surat to nahin teri pahchaan ke laakhon andaaz sar jhukaanaa hi 'ibaadat to nahin"
Parveen Fana SyedParveen Fana Syed
Quote
"kaash tufaan mein safine ko utaaraa hotaa Duub jaataa bhi to maujon ne ubhaaraa hotaa ham to saahil kaa tasavvur bhi miTaa sakte the lab-e-saahil se jo halkaa saa ishaaraa hotaa tum hi vaaqif na the aadaab-e-jafaa se varna ham ne har zulm ko hans hans ke sahaaraa hotaa gham to khair apnaa muqaddar hai so is kaa kyaa zikr zahr bhi ham ko ba-sad-shauq gavaaraa hotaa baaghbaan teri inaayat kaa bharam kyuun khultaa ek bhi phuul jo gulshan mein hamaaraa hotaa tum par asraar-e-fanaa raaz-e-baqaa khul jaate tum ne ek baar to yazdaan ko pukaaraa hotaa"
Parveen Fana SyedParveen Fana Syed
Quote
"ahl-e-gham aao zaraa sair-e-gulistaan kar lein gar khizaan hai to chalo shaghl-e-bahaaraan kar lein phir to har samt andheraa hi andheraa hogaa pau phaTi hai to luTi bazm charaaghaan kar lein dil ki viraaniyaan aankhon mein uDaati hain ghubaar mil ke ro lein to kuchh un ko bhi farozaan kar lein qahqahon se to ghuTan aur bhi baDh jaaegi aao chup rah ke hi is dard kaa darmaan kar lein shaayad is tarah bagulon kaa guzar mumkin ho apne viraane ko kuchh aur bhi viraan kar lein ham jo zinda hain to sab kahte hain kyuun zinda hain aao mar kar bhi masihaaon ko hairaan kar lein"
Parveen Fana SyedParveen Fana Syed