Quote
"hujum-e-shahr se hai ab talaash-e-viraana khirad ki bhiiD se ghabraa gayaa hai divaana kushaada zarf hai kitni ye bazm-e-rindaana janaab-e-shaikh ko samjhaa nahin hai begaana kitaab-e-zist hai majmua ik fasaanon kaa usi mein hai kahin meraa bhi ek afsaana pilaa kuchh aur ai saaqi ki hosh hai ab tak kisi ki yaad mein haail hai shor-e-mai-khaana jise bhi dekhiye maatam-guzaar-e-qismat hai havas ne kar diyaa duniyaa ko ik azaa-khaana hamin se mai-kada 'saalik' hamin rahein pyaase chalo uTho ki badal dein nizaam-e-mai-khaana"







