Shayari
vo nazar aai mujhe rail ki khiDki se magar
tai-shuda vaqt mein zanjir nahin khinch sakaa
kitne hi saanp yahaan aa ke paDe rahte hain
is liye aastin dil se bhi baDi rakkhi hai
کتنے ہی سانپ یہاں آ کے پڑے رہتے ہیں
اس لیے آستیں دل سے بھی بڑی رکھی ہے
कितने ही साँप यहाँ आ के पड़े रहते हैं
इस लिए आस्तीं दिल से भी बड़ी रक्खी है

main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
badalte vaqt ne badle mizaaj bhi kaise
tiri adaa bhi gai meraa baankpan bhi gayaa
aankhon se dil ke diid ko maane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi vasl-e-yaar hai
giraftaari ki lazzat aur niraa aazaad kyaa jaane
khushi se kaaTnaa gham kaa dil-e-naashaad kyaa jaane
khvaahishein dil mein machal kar yunhi so jaati hain
jaise angnaai mein rotaa huaa bachcha koi