Shayari
us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
giraftaari ki lazzat aur niraa aazaad kyaa jaane
khushi se kaaTnaa gham kaa dil-e-naashaad kyaa jaane
گرفتاری کی لذت اور نرا آزاد کیا جانے
خوشی سے کاٹنا غم کا دل ناشاد کیا جانے
गिरफ़्तारी की लज़्ज़त और निरा आज़ाद क्या जाने
ख़ुशी से काटना ग़म का दिल-ए-नाशाद क्या जाने

us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
gar shaikh ne aah ki to mat bhuul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
'ishq' raushan thaa vahaan dida-e-aahu se charaagh
main jo yak raat gayaa qais ke kaashaane mein
aaina kabhi qaabil-e-didaar na hove
gar khaak ke saath us ko sarokaar na hove
tu ne kyaa dekhaa nahin gul kaa pareshaan ahvaal
ghuncha kyuun ainThaa huaa rahtaa hai zardaar ki tarah
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phuul kar gul ho
tire gar gul-badan bar mein qabaa-e-chashm-e-bulbul ho
gham hai na ab khushi hai na ummid hai na yaas
sab se najaat paae zamaane guzar gae
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
mumkin hai ashk ban ke rahun chashm-e-yaar mein
mumkin hai bhuul jaae gham-e-rozgaar mein
maut ne aa kar bachaayaa phir mujhe
dard ne jab zindagi se baat ki
kyuun DhunDne nikle hain nae gham kaa khazina
jab dil bhi vahi dard ki daulat bhi vahi hai