Shayari
us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
aankhon se dil ke diid ko maane nahin nafas
aashiq ko ain-hijr mein bhi vasl-e-yaar hai
آنکھوں سے دل کے دید کو مانع نہیں نفس
عاشق کو عین ہجر میں بھی وصل یار ہے
आँखों से दिल के दीद को माने नहीं नफ़स
आशिक़ को ऐन-हिज्र में भी वस्ल-ए-यार है

us ki aankhon ke agar vasf raqam kijiyegaa
shaakh-e-nargis ko qalam kar ke qalam kijiyegaa
gar shaikh ne aah ki to mat bhuul
dil mein patthar ke bhi sharar hai
'ishq' raushan thaa vahaan dida-e-aahu se charaagh
main jo yak raat gayaa qais ke kaashaane mein
aaina kabhi qaabil-e-didaar na hove
gar khaak ke saath us ko sarokaar na hove
tu ne kyaa dekhaa nahin gul kaa pareshaan ahvaal
ghuncha kyuun ainThaa huaa rahtaa hai zardaar ki tarah
ho gul bulbul tabhi bulbul pe bulbul phuul kar gul ho
tire gar gul-badan bar mein qabaa-e-chashm-e-bulbul ho
yaar bhi raah ki divaar samajhte hain mujhe
main samajhtaa thaa mire yaar samajhte hain mujhe
jab ki pahlu se yaar uThtaa hai
dard be-ikhtiyaar uThtaa hai
barseingi aaj rahmatein aamad hai yaar ki
naayaab hain ye ghaDiyaan tire intizaar ki
jiteinge na ham se baazi-e-ishq
aghyaar ke piT paDeinge paanse
ziist se tang ho ai 'daagh' to jiite kyuun ho
jaan pyaari bhi nahin jaan se jaate bhi nahin
ajnabi mujh se aa gale mil le
aaj ik dost yaad aae mujhe