Shayari
tumhaare baad ye gham bhi uThaanaa paDtaa hai
khushi mile na mile muskuraanaa paDtaa hai
tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun
tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa
تشنگی آ تجھے دریا کے حوالے کر دوں
تجھ کو اس حال میں پیاسا نہیں دیکھا جاتا
तिश्नगी आ तुझे दरिया के हवाले कर दूँ
तुझ को इस हाल में प्यासा नहीं देखा जाता

tumhaare baad ye gham bhi uThaanaa paDtaa hai
khushi mile na mile muskuraanaa paDtaa hai
tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa
umr-bhar un se ta'alluq nahin TuuTaa kartaa
aise kuchh log hain jo dil mein utar jaate hain
unhein yaqin ki koi ranj-o-gham nahin mujh ko
mujhe bharam ki miraa masala samajhte hain
bas ik yahi to kharaabi hai us ki fitrat mein
vo mujh ko yaad to kartaa hai par zarurat mein
sab ko dil kaa raaz bataanaa Thiik nahin
duniyaa-daari duniyaa-daari hoti hai
mujid jo nuur kaa hai vo meraa charaagh hai
parvaana huun main anjuman-e-kaaenaat kaa
chali hai mauj mein kaaghaz ki kashti
use dariyaa kaa andaaza nahin hai
bah gae aansuon ke dariyaa mein
aap ki baat yaad hi na rahi
sadiyon se kinaare pe khaDaa suukh rahaa hai
is shahr ko dariyaa mein giraa denaa chaahiye
tiraa chaDhaa huaa dariyaa samajh mein aataa hai
tire khamosh kinaare nahin samajhtaa huun
aastin-e-mauj dariyaa se judaa hoti nahin
rabt teraa chashm se kyuun aastin jaataa rahaa