Shayari
tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun
tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa
bas ik yahi to kharaabi hai us ki fitrat mein
vo mujh ko yaad to kartaa hai par zarurat mein
بس اک یہی تو خرابی ہے اس کی فطرت میں
وہ مجھ کو یاد تو کرتا ہے پر ضرورت میں
बस इक यही तो ख़राबी है उस की फ़ितरत में
वो मुझ को याद तो करता है पर ज़रूरत में

tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun
tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa
tumhaare baad ye gham bhi uThaanaa paDtaa hai
khushi mile na mile muskuraanaa paDtaa hai
tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa
umr-bhar un se ta'alluq nahin TuuTaa kartaa
aise kuchh log hain jo dil mein utar jaate hain
unhein yaqin ki koi ranj-o-gham nahin mujh ko
mujhe bharam ki miraa masala samajhte hain
sab ko dil kaa raaz bataanaa Thiik nahin
duniyaa-daari duniyaa-daari hoti hai
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
khudaa raa bahr-e-istiqbaal jald ai jaan baahar aa
ayaadat ko miri jaan-e-jahaan tashrif laate hain
jab bhi main ne khol kar dekhi hai yaadon ki kitaab
yunhi safhon par taDapte mil gae kuchh vaaqiaat
suluk rakhtaa hai mujh se munaafiqon jaisaa
tamaam shahr mein jo mo'atabar ziyaada hai
jis ko raahat hai teri yaadon se
teri furqat mein ashk-baar bhi hai