Shayari
tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun
tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa
tum miraa naam-o-nasab puchh rahe ho sab se
ishq ho jaae to shajara nahin dekhaa jaataa
تم مرا نام و نسب پوچھ رہے ہو سب سے
عشق ہو جائے تو شجرہ نہیں دیکھا جاتا
तुम मिरा नाम-ओ-नसब पूछ रहे हो सब से
इश्क़ हो जाए तो शजरा नहीं देखा जाता

tishnagi aa tujhe dariyaa ke havaale kar duun
tujh ko is haal mein pyaasaa nahin dekhaa jaataa
tumhaare baad ye gham bhi uThaanaa paDtaa hai
khushi mile na mile muskuraanaa paDtaa hai
umr-bhar un se ta'alluq nahin TuuTaa kartaa
aise kuchh log hain jo dil mein utar jaate hain
unhein yaqin ki koi ranj-o-gham nahin mujh ko
mujhe bharam ki miraa masala samajhte hain
bas ik yahi to kharaabi hai us ki fitrat mein
vo mujh ko yaad to kartaa hai par zarurat mein
sab ko dil kaa raaz bataanaa Thiik nahin
duniyaa-daari duniyaa-daari hoti hai
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
ham to apnon se bhi begaana hue ulfat mein
tum jo ghairon se mile tum ko na ghairat aai
ik sadma-e-mohabbat ik sadma-e-judaai
ginti ke do hain lekin laakhon ki jaan par hain
pichhaa kisi tarah ye miraa chhoDtaa nahin
haathon se ishq ke koi jaave kahaan nikal
aatish-e-ishq vo jahannam hai
jis mein firdaus ke nazaare hain