Shayari
ab mire vaaste har mauj hai aaghosh-e-sukun
bahr-e-gham mein jo nahin hai koi saahil na sahi
A
Abdul Hai Aarfidil ko tapish-e-shauq ki ye lazzat-e-paiham
mil to gai lekin baDi mushkil se mili hai
دل کو تپش شوق کی یہ لذت پیہم
مل تو گئی لیکن بڑی مشکل سے ملی ہے
दिल को तपिश-ए-शौक़ की ये लज़्ज़त-ए-पैहम
मिल तो गई लेकिन बड़ी मुश्किल से मिली है
ab mire vaaste har mauj hai aaghosh-e-sukun
bahr-e-gham mein jo nahin hai koi saahil na sahi
bahut badlaa mazaaq-e-dil khayaal-e-yaar ne lekin
jo shaayaan-e-mazaaq-e-yaar thaa aisaa kahaan badlaa
aai khizaan ki yaad to dil sard ho gayaa
kuchh der bhi to lutf na aayaa bahaar kaa
mohabbat khud mohabbat kaa sila hai 'aarfi' lekin
koi aasaan hai kyaa be-niyaaz-e-muddaaa honaa
ek hi phuul thaa bas gul-kada-e-husn mein tu
chun liyaa aankh mein apni tire shaidaai ne
hai 'aarfi' ab ye asar-e-tark-e-tamannaa
aane lage vo aur bhi kuchh had se sivaa yaad
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
maa-sivaa-e-kaar-aah-o-ashk kyaa hai ishq mein
hai savaad-e-aab-o-aatish diida o dil ke qarib
mere sukun-e-qalb ko le kar chale gae
aur iztiraab-e-dard-e-jigar de gae mujhe
abhi to chaak pe jaari hai raqs miTTi kaa
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
koi milaa hi nahin jis se haal-e-dil kahte
milaa to rah gae lafzon ke intikhaab mein ham