Shayari
mohabbat khud mohabbat kaa sila hai 'aarfi' lekin
koi aasaan hai kyaa be-niyaaz-e-muddaaa honaa
A
Abdul Hai Aarfihai 'aarfi' ab ye asar-e-tark-e-tamannaa
aane lage vo aur bhi kuchh had se sivaa yaad
ہے عارفیؔ اب یہ اثر ترک تمنا
آنے لگے وہ اور بھی کچھ حد سے سوا یاد
है 'आरफ़ी' अब ये असर-ए-तर्क-ए-तमन्ना
आने लगे वो और भी कुछ हद से सिवा याद
mohabbat khud mohabbat kaa sila hai 'aarfi' lekin
koi aasaan hai kyaa be-niyaaz-e-muddaaa honaa
ek hi phuul thaa bas gul-kada-e-husn mein tu
chun liyaa aankh mein apni tire shaidaai ne
dil ko tapish-e-shauq ki ye lazzat-e-paiham
mil to gai lekin baDi mushkil se mili hai
zaraa ai josh-e-gham rahne de qaabu mein zabaan meri
vo sunnaa chaahte hain khud mujhi se daastaan meri
jitni tavaqquaat thiin sab khatm ho chukin
main 'aarfi' kisi se bhi ab sargiraan nahin
toDnaa tauba kaa sau baar bhi aasaan thaa magar
jaam-e-mai mujh se to ik baar bhi toDaa na gayaa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
ho gae din jinhein bhulaae hue
aaj kal hain vo yaad aae hue
vahin pe TuTne lagtaa hai aitabaar-e-vafaa
jahaan yaqin zyaada dilaae jaate hain
baare duniyaa mein raho gham-zada yaa shaad raho
aisaa kuchh kar ke chalo yaan ki bahut yaad raho
'amir' ab hichkiyaan aane lagi hain
kahin main yaad farmaayaa gayaa huun
ik yahi soch bichhaDne nahin deti tujh se
ham tujhe baad mein phir yaad na aane lag jaaein