Shayari
dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
abhi to chaak pe jaari hai raqs miTTi kaa
abhi kumhaar ki niyyat badal bhi sakti hai
ابھی تو چاک پہ جاری ہے رقص مٹی کا
ابھی کمہار کی نیت بدل بھی سکتی ہے
अभी तो चाक पे जारी है रक़्स मिट्टी का
अभी कुम्हार की निय्यत बदल भी सकती है

dil ke gulshan mein tire pyaar ki khushbu paa kar
rang rukhsaar pe phulon se khilaa karte hain
husn-o-jamaal-o-zist ki aaraaishein fuzul
ishq-o-junun ki aag jo dil mein javaan na ho
lo hamaaraa javaab le jaao
ye mahaktaa gulaab le jaao
Thiik hai jaao ta'alluq na rakheinge ham bhi
tum bhi vaada karo ab yaad nahin aaoge
jin ke mazbut iraade bane pahchaan un ki
manzilein aap hi ho jaati hain aasaan un ki
khvaahishein khvaab dikhaati hain tire milne kaa
khvaab se kah de ki taabir ki surat aae
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
mire dil mein koi maasum bachcha
kisi se aaj tak ruThaa huaa hai
ye dil ab mujh se thoDi der sustaane ko kahtaa hai
aur aanhkein muund kar har baat dohraane ko kahtaa hai
mujh se dilli ki nahin dil ki kahaani suniye
shahr to ye bhi kai baar luTaa hai mujh mein
jo phaans chubh rahi hai dilon mein vo tu nikaal
jo paanv mein chubhi thi use ham nikaal aae