Shayari
khudi ki raushni mein main ne dekhaa hai aqidat ko
khudaai varna aazar ki miri Thokar pe rakkhi thi
A
Abdul Hameed Saqiapni aankhon kaa samundar bah ke to khaamosh hai
dil ke andar ki sulagti aag ko ham kyaa karein
اپنی آنکھوں کا سمندر بہہ کے تو خاموش ہے
دل کے اندر کی سلگتی آگ کو ہم کیا کریں
अपनी आँखों का समुंदर बह के तो ख़ामोश है
दिल के अंदर की सुलगती आग को हम क्या करें
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
thak gayaa hai dil-e-vahshi miraa fariyaad se bhi
ji bahaltaa nahin ai dost tiri yaad se bhi
'saif' andaaz-e-bayaan rang badal detaa hai
varna duniyaa mein koi baat nai baat nahin
na ho ehsaas to saaraa jahaan hai be-his-o-murda
gudaaz-e-dil ho to dukhti ragein milti hain patthar mein
barsaat kaa baadal to divaana hai kyaa jaane
kis raah se bachnaa hai kis chhat ko bhigonaa hai