Shayari
ba-paas-e-ehtiraam-e-ishq ham khaamosh hain varna
pareshaan kar bhi sakte hain pareshaan ho bhi sakte hain
A
Abrar Shahjahanpuridil arsh-gaah-e-husn hai dil jalva-gaah-e-naaz
ye aap hi kaa ghar hai hamaari guzar kahaan
دل عرش گاہ حسن ہے دل جلوہ گاہ ناز
یہ آپ ہی کا گھر ہے ہماری گزر کہاں
दिल अर्श-गाह-ए-हुस्न है दिल जल्वा-गाह-ए-नाज़
ये आप ही का घर है हमारी गुज़र कहाँ
main baDaa ho gayaa huun magar bachpanaa
mere dil se kabhi bhi gayaa hi nahin
khudaa ke haath mein mat saunp saare kaamon ko
badalte vaqt pe kuchh apnaa ikhtiyaar bhi rakh
chaand ne taan li hai chaadar-e-abr
ab vo kapDe badal rahi hogi
havaa shaakhon mein rukne aur ulajhne ko hai is lamhe
guzarte baadalon mein chaand haail hone vaalaa hai
phir mujhe dida-e-tar yaad aayaa
dil jigar tishna-e-fariyaad aayaa
dil miraa zulf seti chhuT phansaa abru mein
kufr kuun tark kiyaa maail-e-mehraab huaa