Shayari
dil arsh-gaah-e-husn hai dil jalva-gaah-e-naaz
ye aap hi kaa ghar hai hamaari guzar kahaan
A
Abrar Shahjahanpuriba-paas-e-ehtiraam-e-ishq ham khaamosh hain varna
pareshaan kar bhi sakte hain pareshaan ho bhi sakte hain
بہ پاس احترام عشق ہم خاموش ہیں ورنہ
پریشاں کر بھی سکتے ہیں پریشاں ہو بھی سکتے ہیں
ब-पास-ए-एहतिराम-ए-इश्क़ हम ख़ामोश हैं वर्ना
परेशाँ कर भी सकते हैं परेशाँ हो भी सकते हैं
sabhi se jab mohabbat chaahte ho
mohabbat kyon nahin karte sabhi se
husn jalva dikhaa gayaa apnaa
ishq baiThaa rahaa udaas kahin
siine mein aabaad hamesha rahti hai
pahli mohabbat yaad hamesha rahti hai
jo kahaa main ne ki pyaar aataa hai mujh ko tum par
hans ke kahne lagaa aur aap ko aataa kyaa hai
vo jaa chukaa hai magar phuul khil rahe hain abhi
mohabbaton ko tamaashaa banaa diyaa us ne
ishq mein dard se hai hurmat-e-dil
chashm ko aabru hai aansu se