Shayari
tu agar naazaan hai apne husn par maah-e-mubin
dil bhi vo zarra hai jis ki raushni kuchh kam nahin
A
Afsar Narvirah-guzaar-e-maarifat tak ho rasaai yaa na ho
jazba--e-pur-shauq ki vaaraftagi kuchh kam nahin
رہ گزار معرفت تک ہو رسائی یا نہ ہو
جذبۂ پر شوق کی وارفتگی کچھ کم نہیں
रह-गुज़ार-ए-मारिफ़त तक हो रसाई या न हो
जज़्बा-ए-पुर-शौक़ की वारफ़्तगी कुछ कम नहीं
nahin maalum kitne ho chuke hain imtihaan ab tak
magar tere vafaadaaron ki himmat hai javaan ab tak
hausla hai to safinon ke alam lahraao
bahte dariyaa to chaleinge isi raftaar ke saath
tu samajhtaa hai gar fuzul mujhe
kar ke himmat zaraa saa bhuul mujhe
piiri mein shauq hausla-farsaa nahin rahaa
vo dil nahin rahaa vo zamaana nahin rahaa
tumhein paane ki haisiyyat nahin hai
magar khone ki bhi himmat nahin hai
mire hijr ke faisle se Daro tum
main khud mein ajab hausla dekhti huun