Shayari
ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
itni saari yaadon ke hote bhi jab dil mein
viraani hoti hai to hairaani hoti hai
اتنی ساری یادوں کے ہوتے بھی جب دل میں
ویرانی ہوتی ہے تو حیرانی ہوتی ہے
इतनी सारी यादों के होते भी जब दिल में
वीरानी होती है तो हैरानी होती है

ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
daalaan mein sabza hai na taalaab mein paani
kyuun koi parinda miri divaar pe utre
zaraa ye dusraa misraa durust farmaaein
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraae-farokht
bhaav taao mein kami beshi nahin ho sakti
haan magar tujh se kharidaar ko naa kaise ho
isi liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nai nai hai naa
mere khvaabon ke jharokon ko sajaate rahiye
na sahi vasl magar yaad to aate rahiye
sab ko ham bhuul gae josh-e-junun mein lekin
ik tiri yaad thi aisi jo bhulaai na gai
main jab bhuke parinde dekhtaa huun apne aangan mein
mujhe apne vatan ke nange bachche yaad aate hain
nahin hai jis kaa hal ab to koi 'nadim' bas ik sivaa tumhaare
main ek aisaa hi masala huun mujhe duaaon mein yaad rakhnaa
ai mire dost mire saath tiri yaadon ki
ret itni hai huaa jaataa hai sahraa chehra
vo bhiiD mein khaDaa hai jo patthar liye hue
kal tak miraa khudaa thaa mujhe itnaa yaad hai