Shayari
ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
kisi ne khvaab mein aakar mujhe ye hukm diyaa
tum apne ashk bhi bhejaa karo duaaon ke saath
کسی نے خواب میں آکر مجھے یہ حکم دیا
تم اپنے اشک بھی بھیجا کرو دعاؤں کے ساتھ
किसी ने ख़्वाब में आकर मुझे ये हुक्म दिया
तुम अपने अश्क भी भेजा करो दुआओं के साथ

ye kah diyaa hai mire aansuon ne tang aa kar
hamein ba-vaqt-e-zarurat nikaaliye saahab
ye nukta ik qissa-go ne mujh ko samjhaayaa
har kirdaar ke andar ek kahaani hoti hai
daalaan mein sabza hai na taalaab mein paani
kyuun koi parinda miri divaar pe utre
zaraa ye dusraa misraa durust farmaaein
mire makaan pe likkhaa hai ghar baraae-farokht
bhaav taao mein kami beshi nahin ho sakti
haan magar tujh se kharidaar ko naa kaise ho
isi liye hamein ehsaas-e-jurm hai shaayad
abhi hamaari mohabbat nai nai hai naa
ye naqsha hai ki munh takne lagaa hai muddaaa meraa
ye haalat hai ki surat dekhtaa hai muddai meri
main zindagi ki duaa maangne lagaa huun bahut
jo ho sake to duaaon ko be-asar kar de
fikr jab se ho gai hai jeb bharne ki unhein
ab duaa-e-shaikh ki taasir aadhi rah gai
main us ko bhuul jaaun raat ye maangi duaa main ne
karun kyaa main agar meri duaa vaapas palaT aae
ye rog lagaa hai ajab hamein jo jaan bhi le kar Talaa nahin
har ek davaa be-asar gai har ek duaa be-asar hui
na dekh mujh ko mohabbat ki aankh se ai dost
miraa vajud miraa muddaaa na ho jaae